Nasri Nazam Ka Emteyaz

  • Uploaded by: maqsood hasni
  • 0
  • 0
  • May 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Nasri Nazam Ka Emteyaz as PDF for free.

More details

  • Words: 586
  • Pages: 1
NASRI NAZAM KA EMTEYAZ Urdu main Nasri Nazam shoru say mutnazeah senaf-e-sukhan rahi hai aur essay kabi farakh delli say qobool nahain kiya giya. Aazad nazam ki kush nasibi hai kah rovaeti shoraa nay na’seraf ossay tasleem kar liya hai balkah woh es main taba aazmae bhi kartay hain. Halaankah aam qari nasri aur aazad nazam main koe faraq nahain karta. Woh nazam kay andar mojood mowad say lutaf andoz hota hai. Woh essay shaeri es lea tasleem kata hai kah es main alfaz ki tareeb-o-tanzeem nasar say hat kar hoti hai. Dusra lehja aur asloob bhi nasar sa nahain hota. Alfaz nasar kay barakas khoobsurat aur muntakhab hotay hain. Jin omoor ka darj-e-bala main zikar kiya giya hai, kiya woh nazam ko nasar say alag kar dainay kay liay kafi nahain hain? kiya en hawaloon say nazam aur nasar kay paimanay teh nahain patay? Agar mazkorah aanasar kisi fun’paray main mojood hain to ossay sha’ery kahna kayoon’kar ghalat aur qabal-e-etaraaz ho ga. Nasar ravaan davaan hoti cheez hai, es ka nahvi set up nazam say qatae mukhtalif hota hai. Assal moamlah mehsos karna hai. Kisi tehreer ko parh kar aap kaisa aur kiss andaz say mehsos kartay hain, Yahhi assal cheez hai. Aam rozmara ki baat cheet ya phir wakeel ki aadalat main wakalat aur mahbooba say aankhoon say ya lafzoon say batain karnay ka andaz, lehja, asloob, aur chalan eak sa hota hai ya ho sakta hai?! Aab-e-hayat main, Mohammad Hussain Aazad nay Hazrat Meer sahib ka kaha naqal kiya hai. Meer sahib nay kaha tha maira mohavra samjhna ho to Jamea Masjad Deli ki serioon per jao. Oon kay kahnay ka maqsad yah tha kah main aawam ki zoban main likhta hoon. Ehal-e-Zoban kitnay laeq alam fazal aur phannay khan kayoon na hoon, Onhain pazerae aur tarekh main zinda rahnay kay liay aawam say sand-e-qobuliat hassil karna paray gi. Sari tehrerain logoon kay liay hi to hoti hain. Aawam ki sand kay bagher gari nahain chal sakti. Her sha’er shohrat nahain pata aur yah bhi zaroori nahain hota kah koe dusara bhi ossi sha’er ko pasand karay. Her koe eak shai’ar ki qerat eak andaz say karay, yah mumkin hi nahain. Bohat kam chizain hoti hain jo qabool-e-aam kay darjay par faez hoti hain. Ustad Ghalib kay Dewan ko hind ki alhami kitab kaha gaya. Yah baat ghalat nahain aur es main koe mobalgha bhi nahain kah Ghalib ko aglay pach soo saloon main fikri hawala say samjha or jana ja sakay ga. Kiya log Ustad Ghalib kay saray ashaar gatay aur batoor hawala boltay hain. Nahain bilkul nahain. Oon ka mohavra qabool-e-aam kay darjaay par faez nahain ho saka. Oon ka seraf eak misrah, jo mohavra nahain likin mohavra ban gaya hai “Koon jeta hai teri zulaf kay sar honay tak” Es misray ko parh lain aur mazmoon ki dusri tehreer ko perh lain nazam or nasar main faraq wazey ho ja’ay ga. Yah mesra tehreer ka hessa hotay howay bhi apni alag say shanakht rakhta hai. Khud aaghi aur zarorat kay motabaq dhalnay ki salaheat nasri nazam ko dusri asnafe-adab say mumtaz karti hai. Doo tein nasri Nazmain likhta hoon. Aam nasar aur es main faraq wazay ho ja’ay ga: •

Rangoon ka paband mosawar jiwan ka hosein tasawar kaisay daikh sakay ga

• Tu lakhoon main eak sahi hosn par itna na itrao hamala ko sar kiya hai logoon nay • Jab tak roshni aasman say aati rahay gi taira jism bai’noor rahay ga jognu ko misal bana’ay ga koon

Related Documents

Nazam
December 2019 39
Nazam Ajal
October 2019 53
Nazam Ajal
October 2019 50

More Documents from "Nur Ain Mohd Amin"