Dr. Mohammad Nur ul Alam, Eak Sacha socha aur bai'lag Baght/Sufi/Faqeer/Darvaish/Allah lok Sacha socha aur bai'lag Baght/Sufi/Faqeer/Darvaish/Allah lok wohi ho sakta hai jo apni zaat say, her hawala say alag'tar sochta hai. Jahaan kahein os ki zaat shamil hoti hai wahaan taseer bhi kam ya khatam ho jati hai. Kayoon'kah ahal-e-nazar qiyamat ki nazar rakhtay hain. Dusra Allah ta'ala ko dhoka ya faraib nahain diya ja sakta.Yahhi nahin os moqaam par os ki sari bhagti aur tapasya bhang ho jati hai. Yahhi nahain, os ki guftagu aur moamla kisi khas ya aam garo, mazhab, ism, qoom, qabilay konbay, jama'at ya khita-e-arz say nahain hota. Woh sab ka aur sab kay liay hota hai.Os ki namaendi ka daera tamam mazahib aur isms say jura howa hota hai. Osaay mahdood nahain kiya ja sakta aur na'hi mahdood hona os kay liay mikin hota hai. Os kay pass kisi garo, konba, qabila, zaat, qoom khita-e-araz, mazhab rang nasal ka daera, noqta-e-nazaar ya samaji-o-tehzibi paimana nahain hota. Os ka tool her kisi kay liay aur pora, doon kantoon kay darmiyan hota hai. Baat yahaan tak hi mahdood nahain woh gher insanoon ki jan aur bhook aur piyas ko mohtaram aur motabar rakhta hai. Woh sab ka aur sab kay liay hota hai. Woh soch aur fikar kay hawala say omoom say 40 qadam aagay hota hai. Goya os ki baat/moamla: 1- Aafaqi aur alohi asoloon par mabni-o-ostawar hota hai 2- Her zi'nafas ka dukh dard os ka apna dukh dard hota hai. 3- Woh hamaisha insan ki zafar'mandi, aasodgi, khush'hali, sakoon, aur chain ka khahaan hota hai. 4-Auroon ki bhook, os ki apni bhook hoti hai. 5- Janab'dari ka os kay mazhab main qatae aur koli toor par dakhal nahain hota. 5- Woh balagh aur omeeq nazar ka hamal hota hai. 6- Woh jo kehta hai, Khoda lagti kehta hai. 7- Woh kisi shakas kay samnay jawab'deh nahain hota. Woh seraf aur seraf Allah (God) kay hazoor jawab'deh hota hai. Woh Sacha socha aur bai'lag Baght/Sufi/Faqeer/Darvaish/Allah lok kaisa jo lalach, khoof, dar, bhook piyas khadshay ya andaishay ka shakaar ho ja'ay ya os ki qimat lag sakti ho. Woh na biik sakta hai aur nahi os ki koe qimat lag sakti hai. Halaat ya waqt kaisa bhi raha ho, hakam kitna hi jabar zalim aur khoon'khar kayoon na ho ossay apni jan aur apnay maal ki chinta nahain hoti. Woh kalma-e-haq keh daita ho. Es kay nataej os kay liay kha kaisay bhi rahay hoon. Boray nataej os kay liay sanvi haisiat kay hamal hotay hai. Os ki gardan main sarya hota hai aur na'hi kisi ki gardan main sarya bardasht karta hai.Takabar aur motakabar os ki nigah main chonti say bhi kam haisiat-oehmiat rakhtay hain. Ossay maloom hota hai kah yah seraf aur seraf Allah ki zaat
kay liay zaiba hain. Jab mein yah kehta hoon jumla insani baradri kay rohani Qaedein Bashar-e-Baibadal Fakhar-e-Insaniat Hazrat Sufi Sheikh, Alama Shah Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib ki qiyadat main insan ki rohani taleem ka ehtamam/bandobast karain aur insan ko dukhoon say nijat kay liay koshesh karain to es ka matlab yah hota hai kah mosoof main yah gon/khobiyaan es gay guzray door main bhi mojood hain mojood hain. Darya aur Magar'mach kay monh (USA/UNO)main reh kar Dr. Mohammad Nur ul Alam kehta hai: 1-
"The world federation, the United Nations, has been abandoned by the superpower.
2-
Gradually they develop their military in the name of so called peace.
3-
Billions of people are hungry, drying without food or medicine, all around the world. Unfortunately,
4-
the UN does not look into them.
5-
The leaders of many nations around the world are very weak.
6-
Some nations are leading through military leaders,
7-
and others are (:) playing the role of so called democracy and communism, but they have not succeeded to establish international security and peace." (Statement: Bashar-e-Baibadal Fakhar-e-Insaniat Hazrat Sufi Sheikh, Alama Shah Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib)
Daraj-e-bala her 7 points ka tanqidi nazar say jaeza/motala karain eak sacha socha aur insan'dost Bhagat/Sufi/Darvash/Faqeer hi es qisam ki batain kar sakta hai. Pori insani baradri ki moqtada qovatoon ko daikh lain, oon kay haan yahhi surat nazr aa'ay gi. Yah tajziya eak balagh nazar ka hi ho sakta hai. (Jari hai)