KOE ZOBAN KISI EAK HALAT PAR NAHAIN REHTI Haroof ki banawat aur sakht kay hawala say omuman kaha jata hai kah falaan zoban etnay sakhtyati diamention ki hamal hai. Likhae (Kitabat ya kamposing) kay hawala say diamention ka taeyan ghalat nahain likhae jo sikhae jati hai, moqara ya moeyan likiroon/asoloon ki paband hoti hai likin baad’azaan mujmue toor per likiroon/asoloon ki pabandi momkin nahain reh pati aur nahi aisa hona mumkin hota hai. Es moamlay ki misal aisi hi hai, jaisay kisi foji ko training centere main jomla askari asoloon say zabani aur amli tarbiat de ja’ay aur yah toaaqo ki ja’ay kah woh es training kay assooloon ko ekhtayar karkay dushman ko maray aur khud ko bacha pa’ay ga, say zeyada koe ahmaqana baat na ho gi. Sekhay ga’ay (Amli aur zabani) assool bila’shuba hikmat-e-amli main moaawan sabat hotay hain likin fatah kay zaman nahain ho saktay. Madan-e-jang main mooqa aur noeat kay motabaq kaam karna hota hai. Zobanoon ka moaamla es say kuch mukhtalif nahain hota. Sekha giya lisani system aur muktobi atkal likhnay aur bolnay main moavan hain. Boltay samay majavza lisani system aur maktobi atkal bai’maeni aur la’yaeni ho kar reh jati hai. Wahaan mustamal aur hasab-e-zarorat mohavra hi kaam aata hai aur sath main mojooda zarorat paish-e-nazar rehti hai. Mein nay bohat sari hath say likhi gae tehriroon ka ba’ghoor motala kiya hai enhain majavza aur moqarra likiroon kay hawala say malahza kiya, haroof kisi asool kay paband nahain reh pa’ay. a,c,d,e,f,g,h,I,j,k,l,n,o,p,q,r,x,y kisi bhi hawala say majavza/moqarra likiroon kay nazam kay tabay farman nahain reh patay. Yahhi surat-e-hall Bar-e-Sagheer ki zobanoon kay sath dar’paish hai. Arbi aur Farsi ka moamla es say mukhtalif nahain. Angrayzi main ba’az haroof ommomi bool chall main eak aavaz kay hamel nahain hain. Maslan: But, put, university, umbrella (U) Kae aur zobanoon main bhi surat-e-hall es say mukhtalif nahain. Mukhtalif jazboon aur haltoon main bhi haroof ki aawazain badal jati hain ya en ki surat bilkul mukhtalif ho jati hai. Yah kah en jazboon aur haltoon main aalat-enotaq aur moawan aalat-e-notaq apni assal halat main nahain reh patay, kayoon'kah en main pehalnay aur sukarnay ki hamaisha shakti mojood rehti hai. Chand kafeatoon aur haltoon ka tazkara yahaan zaroori lagta hai takah moamla wazay ho ja’ay: 1-
Ghusay ki halat main aawaz bhari ho jati hai Dukh main naheef aur kam'zoor par jati hai Paraishani main aawaz bay’tarteeb aur adam-tawazan ka shakar hoti
23hai
45-
Bimari main aawaz tootti hai Koe bhi andar moamla chall raha ho to lehja aur talafaz badal jata hai
jurra a b pehalti c
kayoon'kah her moamlay kay
sath
koe na koe jazba zaroor
howa hota hai aam aur achay mood main baihthnay ki halat main aawaz matwazan rehti hai Aam aur achay mood ki halat main laitnay ki surat main aawaz hai jab'kah karwat ki halat main aawaz sukarti hai. Es qesam ki tabdeli entahae ghoor karnay say hi mehsoos ki ja sakti hain kuch logoon ko sotay main bolnay ki aadat hoti hai en ki batain ommuman samajh main nahain aatein es ki vaja yah hai kah sotay main aalat-e-notaq aur moaavan aalat-e-notaq main tabdeli aa jati hai. Dosra shaori koshesh na honay kay sabab guftagu/baat cheet ki tarteeb aur alfaz ki nashest-o-barkhast maravja nahvi nazam kay
“Noon”
tabay nahain rehti 1-Ommumi chaltay bolnay say aawaz daera banati hai aur alfaz main
C
ka aazafa ho jata hai 2- Ommumi bhagnay say aawaz bikharti hai 3- Ghusay main doornay/lapaknay say na’seraf aawaz bikharti hai,
bay’tarteeb
aur tukroon main taqseem ho jati hai 4- Khushi main doornay/lapaknay say nathnoon ka faction bhar jata hai D # nahain rehti
Door aur kisi dusaray rukh say bolnay say aawaz saaf aur wazey #
jati hai aur
Monh kay rukh ki tabdeli say aawaz adam tavazan ka shaker ho
es main bikhrao ki bohat se suratain paida ho jati hain E a Ghusay ya pher khusi ki halat main lehjay aur talafaz main tabdeli aa jati hai b Teaz teaz bolnay ki surat main lehja aur talafaz badal jata hai F 1Aalat-e-notaq ya moaawan aalat-e-notaq main khalal ya mazoori kay sabab aavazoon ka nazam matsar hota hai Aalat-e-notaq ya moaawan aalat-e-notaq ki bimari (Dama, galay ki kharash, gala puk jana, monh puk jana, sanass ki takleef, tap-e-diq, namuniya, naak ki hadi bharna, gillar waghera). Aawazoon kay nazam ko matasar karti hai. na ’ay haroof goya vajood pakartay hain. Paray daant ya samnay kay doo daant toot janay say aawazoon ka maravja nazam badal jata hai. G 1Aalaat-e-notaq aur moaawan aalat-e-notaq apnay aalaqay halaat mahool aur mosmoon kay motabaq tarqeeb patay hain. Es hawala say zobanain dusri walaitoon ki bohat se aawazoon say mehroom hoti hain lihaza ba’daisi zoban boltay samay es zoban ka ommuni lehja aur talafaz barqarar nahain reh pata. Ommumun movannas mozakkar ka majavza emtiyaz bhi barqarar nahain reh pata. Gharaz aisi bohat sari chezain aur moamlaat hain jo sekhay ga’ay nazam ko es kay assal kay motabaq rehnay nahain daytay. Zobani aur amli surat-e-haal main zamein aur aasman ka faraq/bood mojood rehta hai. Kisi bhi kalchar main hazaroon mini kalchar pori aazadi kay sath, apnay apnay daeroon main sans lay rahay hotay hain. Nasloon kay mazaaj aur zarortoon main faraq mojood rehta hai. Yah faraq assal par apnay asraat moratab zaroor karta hai, issay nazar'andaz karkay nataej akhaz karna kisi tarah darust aur hoshmandi ki baat nahain.