Mosawar tasveer ko mowassar aur jazab-e-nazar bananay kay liay rangoon kay estamal main kamal hikmat aur maharat say kaam laita hai. Shair apni shairi kay liay lafzoon kay chanao main bari ehtayat aur bareek'bini say kaam lata hai. Khayaal aur jazba kitna hi behtarein aur ala darjay ka kayoon na ho, agar ossay os kay status kay motabaq aur mail khatay alfaz mayassar nahain aaein gay to qari motasar na ho sakay ga. Goya onda khayaal aur jazbay kay sath onda alfaz ka estamal hona bhi lazam hai. Acha moqarar apni rang'bazi say hi majma loot sakta hai. Ba'zahar tarekh waqiyaat kay tasalsal aur hisabi kitabi tateeb-o-tanzeem ka naam hai. Rang'bazi ya khoob'surat aur shaerana alfaz ka es say koe ta'alaq wasta hi nahai. Baad'qismati say yahaan bhi rang'bazi ko bara amal dakhal raha hai. Mowarakh kamal hoshyari aur chabak'dasti say kaam laitay howay kuch ko kuch bana kar paish karta hai aur kisi ko kanoon kan khabar bhi nahain ho pati. Aatay waqtoon main essay haqiqat aur gozray kal ki sachae ki tasveer samjhtay howay qabool kar liya jata hai. Agar koe es riya'kari ko kolnay ki koshesh karta hai to os garo kay motalqeen essay gostakhi par mahmool kartay howay wo jota parait kartay hain kah woh aati naloon ko bhi es qisam ki hamaqat karnay say mana kar daita hai. Yah andaz aur toor intahae gher sehatmandana aur gher'zima'darana hai. Mowarakh qari kay zehan par garift karnay kay liay mukhsus qisam ki estalahaat estamal main lata hai. Maslan Mazhabi jangain, tehzibi tasadam, Salibi jagain waghera waghera. Estamal ki gae in estalahaat ka oon tarikhi waqyaat say seray say koe wasta aur ta'alaq hi nahain hota. Korsi walay tose-e-hakomat ya apni hoqmat bachanay kay liay taqat ka estamal kartay aa'ay hain. Oon ka kiya aur fatouhaat waghera hi ko tarikh kaha jata hai. Koe tarikh ki kitab dikha dain, jis main os alaqa ya hakomat main rehnay walay shakas ko bhi mozo-e-kalaam banaya gaya ho. Fara'oon, kis mazhab ki jang lar raha tha, Ma'asoom Israeli bachoon ka kiya juram tha jis kay hawala say woh onhain khanjar ki nook par rakhay howay tha?! Hazrat Mosa (AS) ka kiya qasoor aur jurm tha? Kis mazhab ko bachanay kay liay Fara'oon oon kay dar'pai tha? Namrood ki larae kis mazhab kay liay thi? Hazrat Esa (AS) ko kis mazhab ko bachanay kay liay saleeb tak laya giya? Hajaj bin Yosaf nay kis mazhab ko bachanay kay liay qatal-o-gharat ka bazar garam kiay rakha? En sab laraeoon ka ta'alaq kisi mazhab say nahain tha. Yah to korsi bachanay kay liay talwaar otha'ay phirtay thay. Yahhi sach hai aur es kay siwa kuch bhi sach nahain. Mazhab agar larae ka bazar garam karta hai to wo mazhab hi nahain. Yah to insani khoon ko ehtam daita hai aur os ka behna darust nahain samjhta. Tehzeebi jangoon kay mozo ko kisi dosray waqt kay liay otha rakhta hoon. Yahaan seraf mazhab kay motalaq chand morozaat paish karta hoon. Donyaan ka koe mazhab tasadam ka rasta nahain kholta. Donyaan ka koe mazhab nahain
kehta kah baigonahoon ka khoon bahao. Oon ki amlaak par qabza karkay aish aur mooj ki gozaro. Dushman ya kamzoor khandanoon par tasalat hasal karkay onhain ghulam banao aur oon say aazad jinay ka haq cheen lo.Mazhab kay naam par es qisam ka koe bhi faial intahae ghalazat aur os mazhab ki toheen kay motradaf hai. Mazhab insan ko insan kay qareeb lata hai.Eak dosray kay dukh sukh main shareek honay ka hokam lagata hai. Zarorat'mand ki madad karnay ka hukam daita hai. Logoon kay liay aasaniyaan paida karnay par zoor daita hai. Mazhab, mohazab Society ki tashkeel karta hai. Socoety ko ghalazat say bachanay ki koshesh karta hai. Zindagi karnay ka saliqa ata karta hai. Wo kisi ka dushman nahain. Wo to sab ka dost aur khair'kha hota hai. Kisi molak main esae hakomat ho Holy Bible kab kehti hai kah oon ka jina haram kar doo. Gita, Garanth, Ramaen, Quran main kahan likha hai kah riya ki zindagi baisoon kar doo aur oon say insani haqooq cheen lo?! Agar koe mazhab insan dushman hain to ossay mazhab ka naam daina lafz mazhab ki toheein hai. Ossay tehreek ya kisi makhsus garo kay tahafaz ka kala qanoon kaha ja sakta hai. Asal main howa yah hai kah mazhab kay ahkamaat ki alag alag ashkas nay tafheem ki hai. Yah tafhimaat shariat ka darja ekhtayar kar gae hain. En tafheem konindgan ko Amam ka naam diya jata hai. Yah naam aasmani nahain askhas ka diya howa hai lihaza en ki shariatoon ko kisi aasmani kitab ya ahkaam ka darja hasil nahain aur nahi yah haraf-e-aakhar ya kisi kaji say pak hain. Agar yah aasmani hoon to eak dosray say motsadam na hoon. Yah sab tafhimaat asal shariat nahain hain bakah shakhsi tahimaat hain. Es liay kisi motsadam moamlay par jhagray ki rah nikal aa'ay to es ko mazhabi jang ka naam daina darust nahin. Bal'kah shakhasi shariat ki larae ka naam daina ziyada monosab ho ga. Yah Mosa (AS), Daood (AS), Esa (AS), aur Mohammad (oon par darood ho) ki sharit ki larae nahain. Mosa (AS), Daood (AS), Esa (AS), aur Mohammad (oon par darood ho) ki sharit apni asal main eak hi hai aur insan ki khair'kha aur ossay barkat ata karti hai. yah bhai charay ko faroogh daiti hai. Tafreeq ko mita kar insan ko os ka asal moqm daiti hai. Insan ki jan mal aur os ki izzat ki amin hai. Yahi surat Hindu-mat, Budh-mat, Sikhism kay sath da'paish hai. Marzi, mukhsus halaat, zarorat, mukhsus khita-e-araz, mukhsus ehad aur insani soch say ta'alaq rakhti shariatain hain lihaza in ka tasadam Quran, Toraat, Zaboor ya Ajeel ka tasadam nahain. Bhagvat Gita, Ramaein, Siri Garanth sahib waghera say joray asal ahkamaat insan ka noqsan nahain, bhala kartay hain. Batni taharat aur qalbi safae ko zarori qarar daitay hain. Kisi baat/hukam ki apni marzi, soch aur zarorat kay motabaq tashre ko asal shariat kayoon'kar tehraya ja sakta hai. Yah batan ki safae na karti hoon ya soch main mosbat tabdili na lati hoon to in asal honay par asrar kiay jana tabahi kay motradaf hai. Batni taharat soch badalti hai. Monh hath pair dho lainay aur makhsus mazhabi libas pehhan lainay say kiya hota hai. Dil aur soch main mosbat tabdili to nahain aati. Shakas, Mollaan Padri Pandat waghera ki shariat say bai'zaar aur na'omeed ho giya hai. Batni safae ka aaj wahad zariya Rohaniyaat say motalaq log hi hain. Aaj oon ki aazmaesh ka waqt aa giya hai. Es liay onhain Hazrat Allama Sufi Sheikh Shah Dr. Mohammad Nur-ul-Alam kay sath mil kar insan ki khidmat karni chahiay. Tasadam ki rahoon ko band karaein. Logoon ko tafriqaat mita kar eak dosray kay qareeb laein. Yahhi aaj ki sab say bari sachae hai.