"bagher Haq K Imamat Ka Dawa Karnay Wala Jahanumi Hy"

  • Uploaded by: Banda E Qalandar Faraz
  • 0
  • 0
  • July 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View "bagher Haq K Imamat Ka Dawa Karnay Wala Jahanumi Hy" as PDF for free.

More details

  • Words: 318
  • Pages: 1
"Bagher Haq k IMAMAT ka dawa karnay wala jahanumi hy" MOLA ALI RAZA(J.J.H) nay farmaya: ALLAH rehmat nazil karay is banday par jis nay hummaray AMAR ko zinda kiya, rawi nay MOLA say arz kiya k bhala banda aap k AMAR ko kesay zinda karay ga ?? MOLA nay farmaya hummaray ulum ko hasil karay ga or in ulum ko logon ko sikaye ga, bas agar log hummaray qalam ki achaiyon ko jan jatay to yaqinan hummari peerawe kartay , rawi kehta hy may nay MOLA say arz kiya ! Aye farzand-e-rasool(j.j.h) MOLA IMAM JAFFAR SADIQ(J.J.H) k hawalay say hum say yeh riwayat bayan ki jati hy k aap nay farmaya : jis nay is liye ilm hasil kiya k nadanon say jhagra karay ya ULMA k muqablay main apnay aap say fakar karay , ya phir is liye k log is ki janib rojo karin to woh jahanumi hy, MOLA ALI RAZA(J.J.H) nay farmaya meray jad nay bikul sach farmaya hy ! kya tum samjhay k nadan kon hain ? may nay arz kiya nahi ya MOLA : rawi kehta hy MOLA nay farmaya: woh hummaray mukhalifin say hummari batain bayan kar nay walay hain , or tum samjhay k ULMA kon hain ?? RAWI KEHTA HY MAY NAY ARZ KIYA NAHI ya mola TO AAP NAY FARMAYA : woh ULMA AL-E-MUHAMMAD(j.j.h) hain k jin ki ata'at ko allah nay farz qarar diya or in ki mawadat ko wajib qarar diya hy. phir farmaya , kya tum samjhay Meray jad MOLA JAFFAR SADIQ(J.J.H) k qul ( ya phir is liye ilm hasil karay k log is ki janib rojo karin)?? rawi kehta hy may nay arz kiya nahi YA MOLA to aap nay farmaya: qasam ba-khuda is say murad yeh hy k bagher HAQ k dawa-e-imamat karna or jo bhi yeh karay ga woh jahanum ki aag main hy. REF (kitab mani-ul-akhbar: bab: 159: hadis:1: jild:1: page:226)

Related Documents


More Documents from ""