Rasool Allah k walidain nay MOLA ALI(J.J.H) ki wilayat ka qirar kiya Ans ibn malik nay kahan aik din SARKAR ABUZAR(a.s) masjid-e-rasool main tashrif laye or farmanay lagay k aye logon gozishta raat jo kuch may nay dekha tum nay nahi dekha ???to logon nay kaha gozishta raat aap nay kay dekha ?? SARKAR ABUZAR(a.s) nay bola k may nay dekha k rasool allah raat ko apnay darwazay par kharay hain bas aap bahar tashrif laye or MOLA ALI(J.J.H) ka hath pakara or phir aap dono Janat-ulBaqi ki taraf rawana howebas may in k pechay chalta raha yahan tak k may make k qabrustan main pohancha , or phir rasool nay apnay padar-ebuzurgwar ki qabar k agy kharay ho kar 2 rakat namaz phari, to achanak say qabar shak hoi or is main HAZRAT ABDULLAH(a,s) bethay howe thay, or woh keh rahay thay k may gawahi dayta hun k koi nahi hy mabud siwaye ALLAH k or beshak muhammad is k banday or rasool hain to rasool nay in say farmaya, aye padar-e-buzurgwar aap k WALI kon hain ?? to woh kehnay lagay yeh wali kya hota hy aye meray betay?? to rasool nay farmaya k Woh WALI yeh ALI(J.J.H) hain to unhonay kahan or beshak ALI (J.J.H) meray WALI hain , to rasool nay farmaya k baba aap apnay bagh k janib luot jain, is k bad rasool nay apni walida BIBI AMINA(A.S) ki qabar k samnay kharay ho kar woh hi kiya jo apnay padar-e-buzurgwar ki qabar k samnay kharayt ho kar kiya tha , bas yak dam qabar shak hoi or aap yeh keh rahi thin may gawahi dayti hun nahi hy koi mabud magar allah k or beshak aap allah k nabi or rasool hain to rasool allah nay in say farmaya aye madar-e-girami aap k WALI kon hain ??? to aap kehnay lagi aye meray bethay yeh wilayat kya hoti hy ?? to rasool nay farmaya aap k wali yeh ALI(J.J.H) hain, to aap kehnay lagin or beshak ALI(J.J.H) hi meray WALI hain to rasool nay farmaya k ab aap apni qabar k bagh main dubara luot jain, logon nay SARKAR ABUZAR(a.s) ki is baat ko jhutlaya or aap k dast-e-gireban Ho kar kehnay lagay YA rasool allah aaj is nay aap par jhut bhanda hy, to rasool nay farmaya woh kya?? logon nay kahan k jandab nay aap k baray main is is tarhans ay aik hikayat(mazallah) bayan ki hy, to RASOOL ALLAH nay farmaya k : aasman nay kisi par saya nahi kiya or na hi roo-e-zameen par kisi aesay shakhs nay qadam rakha hy jo abuzar say ziyada sacha ho. REF (kitab : mani-ul-akhbar: bab: 157: hadis :1: jild:1: page:224)