Shahadat Ka Asal Maqsad Aur Mafhoom

  • Uploaded by: Sajid Holy
  • 0
  • 0
  • May 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Shahadat Ka Asal Maqsad Aur Mafhoom as PDF for free.

More details

  • Words: 987
  • Pages: 3
Shahadat ka Asal Maqsad aur Mafhoom Naye sal ki ibteda hai... Naya sal shuru ho raha hai..Muharramul haram....1430 saal pure ho chuke hai hamare nabi ko humse rukhsat huve, aur uski bhi aaj 10 tarikh ho chuki hai...yeh muharram ek bade Azimush shan waqiye ki yad dila raha hai...jume ka din aur 10 muharram yeh izzat ka taaj un 72 jaanisaro ke sar par rakha gaya jinho ne shahadat ka surkh joda pehna....jinki rago se nichoda huva khun aajbhi is chaman ki aabeyari kar raha hai jo mar kar bhi nahi mare aur unko maarne wale huqumate le kar bhi nakaam ho gaye. To kamyabi kya hai aur nakamiyabi kya hai.? Allah Farmata hai : E iman walo is naakami se dar jao Yeh kon si naakami hai jis se Allah Rabbul Aalameen Hame Dara Raha hai ? Jahannum me chale jana ye nakami hai. Allah razi ho gya, hum fatah paa gaye. Chahe hame maidan mein shikast ho gayi Yeh mafhum is waqt na samja ja raha hai, na bola ja raha hai, lihaza sari dunya ke samajne ka jo meyar hai woh wahi ban gaya jo magrib ki talim ne (western culture) ne hame diya. Hame aise Rahbar mile Jinho ne Allah ke Nabi sallallahu alaihi wasallam ko kabhi rehbar mana hi nahi tha. Neon signs ki roshni se mutassir huvi, suraj chand ki roshni kabhi dekhi hi nahi, chehere ki taraf tavajjoh di, dil ke ander jo noor hai use kabhi dekha hi nahi, paise ki khanak ko unho ne pasand kiya, dil par ho rahi imaan ki dastak ko kabhi suna hi nahi, kagaz ke phulo ko unho ne gulaab samja, khiza ko unho ne bahaar samja, jhut mein unhe sach nazar aaya, dunya ke raago rang mein unhe izzat nazar aayi, bhadkile chamkeele libas, bulando baala skyscrappers - buildings, new model ki beshkimti cars, nayi nayi technologies ke mobiles, 5 star 7 star hotels mein sair-o-tafreeh - yeh unko dunya ki izzat nazar aayi aur unho ne logo ko isi ki tarf bulaya jab ki tera rab keh raha hai "Call unto the way of thy lord with wisdom and beautiful preaching." ek sari generation is galatfehmi ka shikar ho kar isi dariya mein behti chali gayi. ek puri

generation is galatfehmi mein gumrah ho gayi ki bulando bala rutba ho society mein, tagda bank balance ho, flats ho aur parking mein four wheelers ki qataar ho - yeh mafhum Quran rad karta hai, Allah ka Nabi is mafhoom ko rad karta hai - Allah razi ho jaye phir chahe pakka ghar de de, kachha ghar de de, Allah razi ho jaye phir chahe takht de de ya takhta de de, izzat de de ya zaleel kar de, shohrat de de ya gumnami de de, chahe urooj de de ya zawal de de, aala khandan de adna khandan de, khubsurti de ya badsurti de, har haal mein kamyabi uske liye wajib ho gayi, uske haq mein taraazu ka paldaa jhuk gaya, jis se Allah razi ho gya, uske haq me zaahiri chize outer looks koi buniyad nahi hai.

Aaj ka nadan insan jo bad kismati se apne aap ko educated aur civilized samajhta hai, wo jo kehta hai ki meine doctorate kiya hai phd kiya hai, physics ka padhne wala chemistry ko kya jane, chemistry ka padhne wala botony ko kya jane, botony ka padhne wala economics ko kya jane, yeh aapas mein bhi dunya ke uloom mein har subject mein haavi nahi hai..geology alag hai, biology alag hai, phisiolgoy alag hai anatomy alag hai yeh to kayenat ka bikhra huva ilm hai...phir islam ko abhi tak usne samja hi kaha ? Aasman se utra huva ilm -

TANZEEL, MINAR RAHMA NUR RAHEEM, KITABUN

FUSSILAT AAYATAHU, TANZEEL, MIMMAL KHALAQAL ARD, WASSAMATIL ULA, AR RAHMAN, ALAL ARSHIS TAVA,LAHUMA FISSAMAWAAT, WAMA FIL ARD, WAMA BAYNAHUMA,WAMA

TAHTASSARAA,WA

=== yeh aasmani utara huva kalam..jise Allah farma raha hai...Rehman jiski sifat hai ... Zameen Aasman ka tane tanha Badshah hai...Woh dil ki dhakano me uthne wali ibaaraat ko bhi sun leta hai. samaj leta hai..lekin hamari nasal ne kaha samja ? IN

TAJHAR

BIL

KAUL

Naam se musalman kehlate hai log, shakal kaha milti hai Nabi salllalahu alaihi wasallam ke huqm ke mutabik ? Aur samjo ki Nabi s. ki sunnat par amal kar bhi liya to akhlaaq kaha milte hai ? sari ke sari generation western culture ki kaali chadaro mein doob gayi hai. woh darinde jo phad khane mein aur khun bahane mein barabar jisne puri nasal ko gumrah kar ke rakh diya. kya islam is liye qubul kiya hai ki apne aane wali nasal ko hum music, dancing aur magribi tehzeeb sikhaye ? yad karen unlogo ko hum jinho ne islam ke liye apne jaane qurban kar di. aaj jo log shariyat ke huqm ke khilaf kaam karte hai aur phir phi apne aapko musalman kehte hai, woh log yaad kare un shahido ko jinho jo lahu luhaan ho gaye, jinko dafan karne wala koi na mila, jinko kafan na mila, kya woh hamara gareban na pakdenge ki "Are o zalimo ! humne apni jaane isliye to qurban nahi ki thi ki tum naach-gaane ko aur mosiki ko apni tehzib bana lo ? " kya jawab degi yeh nasal jo mujrim karaar de di jayegi. yeh dunya isliye nahi banayi gayi ki yaha yeh ho jo aaj ho raha hai. jis kaum ka ilm galat ho jaye use tabahi se koi nahi bacha sakta. Kaafiro ka kya tarika hai naya sal manaane ka ? new year night manate hai, nachte hai, sharabe pite hai aur jashn manate hai, aaj kal is behayai ke kaam mein apne aap ko musalman kehne wale log bhi shamil hai jo 31st december ki rat is me sharik hote hai aur new year manate hai. woh nach gane ki mehfil sajti hai. To aaj kaha hai woh lakho karodo aankhe jo baras padti hai shahido ki yad mein ?

Related Documents


More Documents from ""

15th Shabaan
May 2020 18
Islamqa
May 2020 16
Q & A On Islam
May 2020 15
Kya Mein Wahi Hu
May 2020 12
Signs Of Qiyama1
May 2020 11