Khitab : Dr. Tareek Jameel Saheb
Humne Jinn aur Insano ko iske siva kisi kam ke liye paida nahi farmaya ke woh Hamari Ibadat kare. Wama Khalaktul jinna wal insa illa li ya'a budoon
Is Tarah Allah ne hamare wajood ke maqsad se hame aagah kiya hai. Tumhe Humne apni bandagi ke liye banaya hai. Aasmaon par, Mashrik Magrib mein, Shimalo junoob mein, Khalao fizao mein woh hoga jo Allah chahta hai. Tahe Khaak, Tahe Samandar mein Bahro Bar mein, woh hoga jo Allah chahta hai. Jo
Allah chahega
Mashaa Allaho Qaan... woh hoga
Min Gayri Zyada
WaLa Nuksaan Wala Taqaddum Wala Ta'akh'khur Na kami na zydati na Aage na Pichhe
Wama Lamyasha Jo woh nahi chahega
Lam Yakun Na hoga
YafAlullahum Ma Yashaa'a Woh jo chahe kare
Yahdi Mayn Yashaa Jise chahe hidayat de
Wa Yudillu Mannyashaa Jise Chahe gumraah kare
Yakhtussu birahmatihi Maynyashaa Jise Chahe Rehmat ke kareeb kare
Yu Ayyudu binasrihi maynyashaa Jiski chahe madad kare
Yaghfiru limaynyashaa Jisko chahe maaf kare
Wa yuazzibu maynyashaa Jisko chahe azaab de
Yudkhilu maynyashaa fi rahmatik Jisko chahe apni jannat mein daakhil kare
Wad'daalimina Addalahun Azaaban Aleema Jisko chahe jahannum ka indhan (fuel) bana de
Wa tuizzu mantasha u wa tu zillu mantashaa Jisko chahe izzat ata farmaye jise chahe zillat ata farmaye.
Tu'a'til mulka mantashaa Jise mulk de koi chheen na sake
Wa tanziul mulka mimmantashaa... Jisse le le usko koi de na sake
Yaffaturrizka limaynyashaa... Jiske liye rizk ki raah khol de usko koi tang na kar sake.
Wa yakdir
ALLAH JO CHAHE KAR DE YE IS KAYENAAT KA ALLAH HAI Jiska Chahe Takht Palat de Fakiro Ko Shah Aur Shaho ko Fakir bana de Usi ki Shahenshayi hai... Usi ki Badshahat hai.. Usi ki rehmo karam par ye sari kayenat hai Usi ke rehmo karam par is kayenat ka zarra zarra hai Hum apne wajood ke, apne jism ke, apni rooh ke, apne maal ke, apni chizo ke maalik nahi, apni zindagi ke malik nahi bilkul nahi Fir Ghar, zameen, jayedaad, dukane, factories ye to is dayre se bhi bahar hai. Hum unke maalik kaise ho sakte hai ? Allah hi hai jo kisi ko shohrat deta hai to kisi ko gumnaam karta hai. kisi ko gani karta hai
Fa yandura kaifaa ta'almoon Wo yeh dekhna chahta hai ki hum kaisa amal karte hai.
Yeh kayenaat kaee dafa bani hai Kaee dafa ujdi hai Iske uroojo zawaal ki dastane har pal mein janam leti hai aur so bhi jati hai. Yaha kai kaume uthi hai kai giri hai. suraj chand sitare zamin falak sab gawah hai. Kaee kaume takht par bhi baithi aur takhte par bhi latkayi gai kaee logo ki tajposhi huvi to kai logo ko sare bazar rusva bhi kiya gaya. Is kayenaat ke wahdalu la shareek Allah ka ek kanoon hai ek shariyat hai ek dastoor hai
WOH KYA HAI
?
inni iza uti'a'tu radeet wa iza radee'a'tu baa raktu walaysa li barakati nihaaya Allah farmata hai E puri duniya ke insano Mera dastoor suno
Agar tum meri ita'at karoge to mein raazi ho jaunga. Aur jab mein razi ho jaunga to barkato ke dar khol dunga. Phir meri barkat ki had koi nahi hai.
Jang-e-khandak ka mauka hai, Allah ke nabi sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya Hazart Jabir Bin Abdullah R. ne khana pakaya hai. Khana 10 logo ka pakaya hai aur 1000 log hai. Aaap tashrif laye aur khane ki handi mein apna lua'ab dala. Phir kahan taksim hone laga. Log uth kar aa rahe hai. Kha rahe hain, ja rahe, 10 nahi 20 nahi 1000 aadmin pet bhar kha kar chale gaye handi mein se shorba kam nahi huva. Aur aata kam na huva.
walaysa li barakati nihaaya
Allah farmata hai tum meri ita'at karo mein barkato ke dar khol dunga. Phir Allah farmata hai
Jab meri nafarmani karoge to mein naraz ho jaunga. Aur jab mein naraz ho jaunga to mein lanat barsaunga. Phir meri laanat sat sat pushto tak chalegi. Yeh Allah ka kanoon hai ise atomic power nahi badal sakta. ise scientist aur warfare nahi badal sakte. Arshe bari par Allah ta'ala hayyun qayyum kayam dayam zinda hai aur rahega. Rabbul Mashrik wal magrib. Woh har har shay ka rab hai, patte patte ka, har simt ka bute bute ka, hawao ka aur tufaano ka fizao ka khalao ka insano ka jinno ka ret ke zarre zarre ka dariyao ka uski lehro ka aasmaan aur chand taro ka rab hai, pahado ka khazano ka, aag aur dhup aur suraj uski tapish ka pani aur uski thandak ka woh rab hai, chand aur uski shuaao ka wohi rab hai. Koi uska sharik nahi, wazeer nahi, musheer nahi, Insan agar Allah ko bhul jaye aur na'shukra ho jae to uski shahenshi mein kami nahi aati. Sare'aam kufr hai isse uski azmat mein koi khalall nahi aati, woh bada hai hai aur hai. woh khalik, woh baari, woh musavvir, to muta'aal, hamare Allahu Akbar kehne se bada nahi hota, woh paak hai bada hai Lafze paak bhi uski paakizgi ko batane ke liye na'kafi hai. Lafze Akbar uski kibriyaayi ko batane ke liye na'kaafi hai. is zamin par wo hoga jo Allah chahega. Nooh Alaihissalam ki kaum aayi aur kaha "Le aao azab kaha hai jisse tum hame dara rahe ho ?" 950 saal apne mehboob tareen bande ko nooh Alaihissalam ko galiyo me phira diya tableeg karne ke liye Allah ne. Phir Nooh Alaihissalam ne aakhirkaar hath uthaye ki ye log to imaan late hi nahi. Yeh meri baat sun kar aur door ho gaye. Allah Tu apna faisla farma de. Allah ne faisla farma diya "Kashti bana" "Tu inhe apni aakho ke samne gark hota dekhega. Doobta dekhega."
Nooh Alaihissalam ke bete ko jab Nooh A.s ne pukara ki ab iman le aa aur Allah ki panah mein aaja to bach jayega..to beta bola nahi nahi..mein pahaad par chad jaunga....bach jaunga..... isir tarah aaj ke kafir aur nafarman log yeh samajte hai ki muje mere lohe ke ghar meri z plus security mere bullet proof glasses, mere weapons, mere security guards, mere atomic powers, missiles, dollars, pounds panah de denge ! Kyo nahi.. Zarur edi choti ka zor laga lo naadano... "Mauj aayi aur Nooh ne apne bachhe ko apni aankho ke samne gark hota dekha" Yeh misaale hai, yeh dalaail hai : Jaise ke Nooh Alaihissalam ne duaa ki thi
La tadar Allal arde minal Kaafirina dayyara Ya Allah ek ko bhi zinda na chhodna yahi Mafhoom hai
FARMABARDARI
PAR KAMIYABI NAFARMANI PAR HALAAKAT
(Plz rectify the Arabic Transliteration if errors found and if possible plz place original Arabic Text and fwd. me)