Kya tumhe nahi lagta ki ek shakhs jo saye ke tarah har ghadi har pal tumhare sath tha wo ab kahi door chala gaya hai ? -door daraaz ke pahaa'di ilaakon mein -kohre ki dhoond mein -sadko ke an'dekhe kinaro par -dhuven ki lakiro mein -sarhad ki us paar -deewaro ke saye mein -raat ke andhre mein -safed baadlo ke paar chala gaya hai koi... lekin dekho door -hawao ko cheerti huvi talvaaro ki lakiro mein -yaado ke aashiyane mein -samander ki gehrayio mein -pehli barish ki bundo mein -sehrao mein udti huvi ret mein ya -paaniyo ke "saaraab" mein kabhi neend mein to kabhi khwab mein shayad tumhe yeh lage ki wo kahi nahi he par phir bhi tumhare dil par koi anjaan dastak-si huvi hogi ki wo yahi kahi he tumhare atraaf aas paas -kisi an'bujhi pyas ke taraano mein * alag hu mein sadko par chalti huvi is bheed se * kuch chehre chah kar bhi bhulaye nahi ja sakte kuch nishan chah kar bhi mitaye nahi ja sakte jo dil pe chhod gaye nishan umr bhar ke liye... ..kuch aise bhi lamhe honge tumhari nazar se guzre aankhe
ashqbaar hoti he raaten bekaraar hoti he subha ke khulte ujalo mein dopahar ki dhup mein aur dhalti huvi be'wafa sham ke mad'hosh kinaron par aur kisi masum muskurahat mein aur kisi ke lad'khadaa'te kadmo ki aahat mein kuch chhupa huva hai * aahat si koi aaye to lagta hai ki tum ho * shayad...shayad.... aaj phir tumhe bhi koi yaad aa gaya hoga kya mein wahi hu ?