Kasoor…. Kasoor na unka hai na mera, Hum dono hi rishton ki rasmein nibhate rahe, Woh dosti ka ehsaas jatate rahe, Hum mohabbat ko dil mein chupate rahe.
Dil ka haal Dil ka haal batana nahi aata, Kisi ko aisy tarpana nahi aata, Sunna chahte hai ek baar aawaz aapki, Magar baat karne ka bahana nahi aata!
Zeher woh mujhe pilake gaye Jinki najar taraste the meri ek didar ke liye, Aaj woh najar churake jane lage main dekhti reh gayi, Jinki dil dharak ti thi meri naam se, Aaj mujhe tanha chor gaye main tarapti reh gayi, Aaj main woh kal ki baat na rahi kahan kho gayi, Zeher woh mujhe pilake gaye main khushi se pi gayi, Yeh dil bhi dekho pagal hai samjhti hi nahi, Woh na raha aaj tera samjha samjha ke main haar gayi.
Chand ban ke aaye Khuda kare har raat chand ban ke aaye, Din ka ujala shaan ban ke aaye, Kabhi door na ho aapke chehre se hasi, Naya din aisa mehaman ban ke aaye.
Mere aansuon ka har ek katra Mere aansuon ka har ek katra, Teri mohabbat ki nishani hai, Jise tum samjho toh moti hai, Na samjho toh paani hai.
Karta raha tumse pyaar
Maine kabhi apna naam iss shairi mein ajmaya nahi, Karta toh raha tumhe pyaar bus kabhi keh paya nahi.
Ruk gayi hai raftaar Uske saath se humne har khushi mehsoos ki, Khush hokar har gam har mushkil door ki, Uske jaane se ruk gayi hai raftaar jindagi ki, Yeh aankhon pyaasi hai sirf uske intejar ki.
Mera dil pareshan hai Najane kyun woh jankar anjan hai, Bas yahi baat se mera dil pareshan hai, Teri meethi aawaj meri kamjori hai, Kya har baar tera inkar karna jaroori hai.
Tera naam gajal rakha hai
Ek ek shabd ka matlab badal rakha hai, Aaj se humne tera naam gajal rakha hai, Maine shahon ki mohabbat ka bhram tod diya, Mere ghar mein bhi ek tajmahal rakha hai.
Woh humse door hai
Mana ki woh humse door hai, Na mil sakne ko majboor hai, Hum mil kar bhi na mil sakein, Shayad khuda ko yeh manjoor hai.