Muskurate palko pe sanam chale aate hein, aap kya jaano kahan se hamare gum aate hein, aaj bhi us mod par khade hein, jaha kisi ne kaha tha, ki thehro hum abhi aate hein!!
vaade bhi usne kya khoob nibhaye hai, zakhm muft aur dard tohfe me bhijwaye hai. is se badhkar wafadari ki misaal kya hogi maut se pehle vo kafan le aaye hai.
Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi, har waqt muskurane ki aadat nahi rahi, ye soch ke ki koi manaane nahi aayega, ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi
dete ho kyu ye dard bas humi ko kya samjoge tum in ankho k nami ko yu to honge lakhon diwane is chand ke chand kya mehsus karega ek tare k kami Ko
hotho ki zuban ye aansu kehte hai, jo chup rehte hai lekin fir bhi behte hai, or in aansu ki kismat to dekhiye, ye unke liye behte hai jo in ankhon me rehte hai
Dil Ko Addat Si Ho Gai Hai jhoot Kahanay Ki Bheegi Palkoon K Sang Muskuranay Ki Kaash Anjaam Hum Pehlay Say Jaan Jaatay Toh Koshish Bhi Nahin Kartay Dil Laganay Ki
apni yaadon me hum tumhe basana chahte hai, apne paas tumhe hum bulana chahte hai, thak gaye hum tumhe yaad karte karte, ab hum tumhe yaad aana chahte Hai
Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lagay Koi Achha Bhi Is Qadar Na Lagay Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Say Jis Nazar Say Aap Ko Nazar Na Lagay
kabhi-kabhi aesa bhi hota hai, pyar ka asar jara der se hota hai, aapko lagta hai hum kuch nahi sochte aapke baare me, par hamari har baat me aapka hi jikr hota hai.
Jab Khamoosh Aankhon Say Baat Hoti Hai Aisey Hi Mohabbat Ki Shorowat Hoti Hai Tumharay Hi Khayalon Main Khoye Rehtay Hain Pata Nahin Kab Din Aur Kab Raat Hoti Hai
shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain
Yaad karte hai tumhe tanhai mein, dil dooba hai ghamo ki gehrai mein, hume mat dhoondna duniya ki bhid mein, hum millenge tumhe tumhari parchaai mein…..
jab yaad aati hai tumhari muskura lete hai, kuch palo ke liye har gam bhula dete hai, kaise bhig sakti hai aapki palken, aapke hisse ke aansu to hum baha lete hain.
Badi asaani se dil lgaaye jaate hain par badi mushkil se waade nibhaye jaate hain le jaati hai mohabbat un raaho par jaha diye nahi dil jlaaye jaate hain…..
Biizay Mishra
[email protected]
Dil todna humari aadat nahi Dil hum kissi ka dukhate nahi Bharosa rakhna meri wafaon pe Dil mein bas kar hum kissi ko bhulate nahi Yeh duniyawale bhi bade ajeeb hai. Kabhi hamse door to kabhi kareeb hai Dard na bataye to hame kayar kehte hai Aur dard bata de to hame shayar kehte hai
Jasbaate ishq naakaam naa hone denge, Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge, Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge, Par dost hum tumhe badnaam na hone denge ! ZINDAGII ROZ NAYE RANG MEIN DHAL JAATI HAI , KABHII DUSHMAN TO KABHI DOST NAZAR AATII HAI, KABHII CHAA JAYE,BARAS JAYE,GHATA BEIMAUSAM , KABHII EK BOOND KO BHII ROOH TARAS JAATII HAI
Baat rakhi dil me baat kahe na sake; yaad kiya aapko to saans le na sake puchha kisine dilko k tune pyar kis se kiya jaante the, phirbhi tumhara nam le nasake.
Aye dost teri dosti us ghadi tadpaaegi, Jab zindagi kahegi alvida, Aur maut bhi na aayegi.
Mohabbat ka yeh kaisa khel khela hai humne, Har baazi me shikast khayi hai. Do boond sharaab ki aur pila de ae saaqi, Kab se khali jaam liye, khade mere haath hai.
Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon, tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon, hai meri dosti mein itna dum, apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon.
Armaano ko alfazon me pirona hame nahi aata, Palkon ko ashkon se bhigona hame nahi aata. Dil ki baat kaise kahe aapse, Hame to izhare mohabbat karna hi nahi aata.
Zindagi se wafa hamne bhi ki hai bahot par gamon ke siva aur kuch mila bhi to nahi ek tujhko paakar bahut khush tha main par saath tera manzil tak mila bhi to nahi.
Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa, Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga, Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost, Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !
Maayusiyon ki dhool se har naksh hai dhundhala tera. Maine kabhi Ae zindagi dekha nahin chehra tera. Tu bhi kabhi mehsoos kar kya hai bikharne ki tadap. Ek roz bazi yun saje sheesha tera pathar mera.
Zindagi nahin humein doston se pyaari, Doston pe haazir hai jaan hamaari, Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya, Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !
Har shaam kah jaati hai ek kahani , har subah le aati hai ek nahi kahani , raaste to badalte hai harrdin lekin , manzil raha jati hai wahi puraani .
Biizay Mishra
[email protected]
Ab umar ho gayi hai dil ki kitaab mein, kuch khusk paton ke siva kuch nahin raha, Zazbaat tamaam kho gaye lamhon ki dhool mein, ab dil mein dharkanon ke siva kuch nahi raha Kehte hain ki ISHQ main neend ud jaati hai Koi humse bhi ishq kare Khambhaqat neend bahut aati hai Log kahtey hain ki ladkiyan zindagi hoti hain maut nahi, Magar voh kya jane ki dhoka bhi zindagi deti hai maut nahi Sabne kaha Dosti ek Dard hai, Humne kaha Dard kabool hai, Subne kaha is Dard ke saath Jee na Paogay, Humne kaha teri Dosti ki saath Marna kabool hai Kasur na unka hai na mera, Hum dono hi rishton ki rasmein nibhate rahe, Woh dosti ka ehsaas jatate rahe, Hum mohabbat ko dil mein chupate rahe. Na aana usse leke mere janaze mein, Meri Mohabbat ki tauhin hogi, Main 4 logon ke kandhe pe hounga, Aur meri jaan paidal hogi Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain Aansuon ko bohut samjhaya ke yun na aya karo, mehfil mein hamara mazaak na udaya karo, aansu boli mehfil mein tumhe akela paate hain isliye chale aate hain. Biizay Mishra
Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai, Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai, Use pana nahi meri taqdeer mein shayad, Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai. Chaand to nikla hai magar yeh raat na hai pehli si, Yeh mulaaqaat, mulaaqaat na hai pehli si, Ranjh kuchh kum to hua aaj teray milne se, Yeh alag baat ke yeh baat na hai pehli si. Bhool Se Agar Koi Bhool Hui, To Bhool Samajke Use Bhool Jana, Arey Bhoolna Sirf Bhool Ko, Bhoolkar Bhi Hume Na Bhool Jana Khuda kisi ko kisi pe fida na kare, Kare to qayamat tak juda na kare, Yeh mana ki koi marta nahi judai mein, lekin jee bhi to nahi pata tanhai me Khuda se maine ek dua mangi, dua me apni maut mangi, Phir khuda ne kaha maut to tujhe me de du par usko kya kahu jisne teri lambi umar mangi. Ankho me aansuo ko ubhar ne na diya, Mitti ke motiyo ko bikhar ne na diya, Jis raah pe pade the tere kadamo ke nishan, Us raah se kisi ko gujar ne na diya Rishton ki ehmiyat batate hain faasle, Magar thoda tadpate hain faasle.... Dilo mein ho na duri dua karna, Chahe yuhi rahe milo ka faasle....
[email protected]
Kisi ko mil jaati hain rangeen baharein,Kisi ko chaman bhi nahi milta... Kisi ki kabar par banta hai Tajmahal,Kisi ko kafan bhi nahi milta..... ek lamhe me unhone jindagi sanwar di, ek lamhe me unhone jindagi ujad di, par kasoor unka nahi hamara hai, kyonki us ek lamhe me hamne jindagi gujar di. waqt noor ko benoor kar deta hai, thode se jakhm ko nasoor kar deta hai, chahta hai aapse hamesha door rehna, par waqt hamen majboor kar deta hai. Kissa E Dil Sunane Se Kya Fayda, Ilzam Hum Pe Lagane Se Kya Fayda, Harbaar Tuta Mere Sapno Ka Mahel. Ret Ke Gharonde Banane Se Kya Fayda. Kanton ko chubana sikhaya nahi jata , Phulon ko khilna sikhaya nahi jata , koi ban jata hai khud hi apna, kisikon apna banaya nahi jata Hum khak zamien ki ho kar ke ush Chand ki hasrut kar baithe, Woh cheez Khuda se unchi thi hum jisse mohabbat kar baithe.... Aankho Mein Armaan Diya Karte Hai, Hum Sabki Neend Chura Liya Karte Hai, Ab Se Jab Jab Aapki Palkay Jhapkeygi.... samaj Lena Tab Tab Hum Aapko Yaad kiya karte Hai..... Khusbhu ki tarah aap K pas bikhar jayenge, Sukun bankar dil me utar jayenge, Zara mehsus karne ki kosish to kijiye, Dur hote hue bhi pas nazar aayenge. Biizay Mishra
Gam is kadar mila ki gabhra ke pe gaye, Khushi thodi si mili to mila ke pe gaye. Yuto na the hum pine ke aadi Sharab ko tanha dekha To taras khake pe gaye Aankhou ki gehraayi ko samaj nahi paate, Hoth he magar kuch hum keh nahi paate, Apni dil ki baat kis tarah kahe tumse, Tum wahi ho jinke bina hum reh nahi paateh Ban K ajnabi mile the zindagi K safar mein kahin, In yaadon Ki lamho ko kabhi bhulayenge nahi, Agar yaad rakhna fitrat nahi aapki, To bhul jane ki Adat hum mein bhi nahi. Har labz ko kagaz pe utara nahi jata Har naam ko sare aam pukara nahi karte Hoti hai pyar mein kuch raaz ki batein Yuhi is khel me hara nahi jata har khusi khusi mange aapse, jindagi jinda dili mange aapse, ujala ho mukaddar me aapke itna ki chand bhi roshni mange aapse ye raat itni tanha kyon hoti hai, kismat se apni sabko sikayat kyon hoti hai, ajeeb khel khelti hai kismat, jise hum pa nahi sakte usi se mohabbat kyon hoti hai. hamari to dua hai koi gila nahi, wo gulab jo aaj tak khila nahin, aapko har din wo sab mile, jo dunia me aajtak kisi ko mila nahi.
[email protected]
Jo hai dil mein batakar to dekho, Chahat ko honthon pe lakar to dekho.... Sab kuch mil jayega usi pal, Lekin mohabbat ko ek baar jatakar to dekho....
Ishq sabhi ko jeena sikha deta hai, wafa ke naam pr marna sikha deta hai, ishq nahi kiya to karke dekho yaar har dard ko sehna sikha deta hai.
Manzil bhi nazar aati gai, Hum bhi kadam badhate gaye.... Faasle bhi kam na hue, Apno se juda hum hote chale gaye....
Parai duniya saza rahi hai sapne ! Sapno main ab aitbaar na raha !! Kahne ko to sapne apne hain ! Magar sapno ko ab hum se pyar na raha !!
Kaash surat aapki itni pyari na hoti, Kaash aap se mulaqat hamari na hoti... Sapno me hi dekh lete aapko, To aaj milne ki itni bekrari na hoti....
Nafrat thi hamse to izhar kyo kiya? Dena tha jahar to pyar kyo kiya? Dekar jahar kahte hain ki peena hi hoga, aur jab pee gaye jahar to kahte hain jeena hi hoga
Jisne humko chaha, use hum chah na sake, Jisko chaha usae hum pa na sake, Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai, Kisi ka toda aur apna bacha na sake.
Humne manga tha saath unka... wo judai ka gum de gaye... hum yaado ke sahare jee lete.. wo bhulane ki kasam de gaye...
Bikhre ashkon ke moti hum pro na sake, Teri yaad Me sari raat so na sake, Bheeg na Jaye ansuo me tasvir teri, Bus yehi soch Kar hum ro Na sake.
Tanhaiyo ne jab bhi unhe sataya hoga... tab tab unhe mera khayaal aaya hoga... gam ye nahi ki wo bhool gaye hume... Gam ye hai ki ro-ro kar bhulaya hoga....
Bag Ki Baat Baag Ka Mali Hi Samje, Fulo Ka Dard zukti Dali Hi Samje, Ye Kaisi Rit Banai Duniya Walon ne, Diye Ka Dil Jale Aur Log Diwali Samje.....
Sehmi-Sehmi nighaon mein khawab hum jaga denge, Suni-Suni rahon pe phool hum khila denge. Aap hamare sung muskura kar to dekho, Aapka har gam hum chura lenge...
Samjha na koi dil ki baat ko, Dard duniya ne bin soche he de diya.... Sah gaye jo hum agar dard ko chupke se, To phir humko patthar dil keh diya...
Yu to koi tanha nahi hota, Chah kar kisi se juda nahi hota. Mohabbat ko majburiyan hi le dubti hain, Varna khushi se koi bewafa nahi hota...
Biizay Mishra
[email protected]
tuje dekhe bina teri tashvir bana shkta hun tuje dekhe bina tera haal bata shkta hun hain meri dosti main itna dum teri aankh ka aanshu apni aankh se gira shkta hun
Dard se dosti ho gayi yaaron, Zindagi bedard ho gayi yaaron. Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara, Door tak roshni to ho gayi yaaron....
Zindagi hai nadan isliye chup hoon, Dard hi dard subah shaam isliye chup hoon, Keh du zamane se dastan apni, Usme ayega tera naam isliye chup hoon.
Muje dard-e-ishq ka maza malum hai, dard-e-dil ki inteha malum hai, zindgi bhar muskrane Ki dua na Dena muje, Muje pal Bhar muskrane Ki saza malum hai..
Aap ki yaad me sab kuch bhulaye baithe hain, Chiraag khushiyon ke bujhaye baithe hain... Hum to marenge aap ki baahon mein, Yeh bhi maut se shart lagaye baithe hain...
Unse roj milne ko jee chahta hai... kuch sunne sunane ko jee chahta hai... kisi ka manane ka andaaz hai aisa ki aaj fir ruth jane ko jee chahta hai....
Teri pyar ka sila har haal mein denge, Khuda bhi maange yeh dil to taal denge.. Agar dil ne kaha tum bewafa ho, To is dil ko bhi sine se nikal denge....!!!
Teri Dosti me ek Nasha hai, Tabhi to ye duniya ham se khafa hai, Na Karo Humse Itni Mohhabat Dost, ki dil hi puche Teri Dhadkan kahaan hai...
Aap har manzil ko mushkil samajhte hain, Hum aapko manzil samajhte hain... Bada fark hai hamare aur aapke nazariye me, Aap hame sapna or hum aapko apna samajhte hain.....
Pyas wo dil ki bujhane kabhi aaya hi nahi, Kaisa badal hai jiska koi saaya bhi nahi, Berukhi isse badi our bhala kya hogi, Ek muddat se usne hume sataya bhi nahi
Mehfil me kuch to sunana padta hai, Gum Chupakar Muskarana Padta hai, Kabhi Unke Ham bhi Dost the, Aajkal Unhe Yaad Dilana Padta hai...
Hotho pe dil ke tarane nahi aate, Sahil pe samundar ke fasane nahi aate. Sote mein bhi khul uthti hai palkein, Aankho ko khawab chupane nahi aate.
Jazbaat e ishq nakaam na hone dena, dil ki duniya me sham na hone dena, dosti ka har ilzam apne sar lenge, par dosti ko kabhi badnam na hone dena...
Gile kagaz ki tarha hai jindgi apni, koi jalata bhi nahi or koi bahata bhi nahi, is kadar akele hai raahon me dil ki, koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi........!
Biizay Mishra
[email protected]
Mohabbat sabko mil jaaye jaruri to nahi. Woh bhi hame chahein jaruri to nahi. Kuch log bahut yaad aate hain dil ko, Hum bhi unki yaad ban jaaye jaruri to nahi....
Kaun jaane kab maut ka paigam aa jaye, zindagi ki aakhari shaam aa jaye. Hum toh dhundten hai waqt aisa, jab hamari zindagi apke kaam aa jaye
Zakham dene ka aandaz kuch aaisa hai zakham de kar poochte hai ke aab haal kaisa hai kissi ek se gila kya karna yaro sari duniya ka mizaz ek jaisa hai..
Waqt ke iss mod pe yeh kaise waqt aaya hai, zakham iss dil ka zubaan pe aaya hain, nahi rote thae hum kaaton ki chubhan se, aaj phulo ki chubhan ne humko rulayaa hai…
Mohabbat ki shama jalake to dekho, Zara dil ki duniya saza kar to dekho, Tumhe ho na jaye mohabbat to kehna, Zara humse nazrein milake to dekho....
teri har berukhi ko bhi rutba diya humne..... mohabbat ka har karz ada kiya humne..... mat soch humne tujhe bhula diya.... khuda se pehle tera hi sajda kiya humne ....
Khud ki Mohabbat tabah kaun karega. Sabhi nek benenge to gunah kaun karega. Ae khuda Sanam Bewafa ko bachaye rakhna warna hamari maut ki dua kaun karega...
tujh se bicharne ka khayal seh nahi paata phir bhi dil ki baat keh nahi paata kyun hain aakhir zindagi mein is qadr majbooriaan maut bhi nahi aati, zinda bhi reh nahi paata
Tamaam umar zindagi se door rahe, Apki khushi ke liye apni khushi se door rahe. Ab is se badkar wafa ki saja kya hogi, ki apke hokar bhi aapse door rahe...!!!
Chaahne se koi chiz apni nahi hoti, har muskurahat khushi nahi hoti, kehana toh chahte hai bahut kuch, magar kabhi waqt toh kabhi jubaan saath nahi hoti…
khusiyon par fizao ka pehra hai na jaane kis ummeed par dil thehra hai teri aakho se chalkte hue gam ki kasam yeh dosti ka rishta pyaar se gehra hai
In aakhon mein aasu aaye na hote.. Wo jo mud mudkar yu muskuray na hote.... Unke jane ke baad ye Gam hota hai..... Kaash wo Zindagi Mein Aaye na hote....
Mohabbat sabko mil jaaye jaruri to nahi. Woh bhi hame chahein jaruri to nahi. Kuch log bahut yaad aate hain dil ko, Hum bhi unki yaad ban jaaye jaruri to nahi....
Woh GUL hoon jo GULISTAN se nikala gaya hoon, MAUT ke bazar me bikne ke liye dala gaya hoon, Jo dava karte hain mere JINDA hone ka puchho jara jakar unse jinke hatthon mara gaya hoon.
Biizay Mishra
[email protected]
Bag ki bat bag ka mali hi samje Fulo ka dard zukti dali hi samje Ye kaisi rit banai duniya walone Diya ka dil jale aur log diwali samje
Kitni parwa karte hain hum unki, kaash unhe bhi yeh ehsaas ho jaye, kahin aisa na ho woh hosh main aayein, jab hum gehri neend main soh jaayein…
Dil ko aadat ho gayee hai chot khane ki, Bhigi palkon ke sang muskurane ki, kaash anjam hum pehle jaan jate, to koshish bhi na karte Dil lagane ki...?
Maut pe hume yakin hai, Unpe bhi hume aitbar hai. Ab dekhna hai ki kaun aata hai pahle, Humein to dono ka intezaar hai...
Rath kya dhali sitarae chale gaye , Gairo se kya kahe hum jub apnae hi chalae gaye , jeet to sakte the hum bhi ishq ki baazi , par tumhae jetane ke liye hum harte chale gaye
Humne Socha Shayad Humi chahte hain unko, Par unhe chahne walon ka to kafila nikla, Dil ne kaha shikayat kar KHUDA se, Par woh Khuda bhi unka chahnewala nikla....
Kash banane wale ne hame kitab banaya hota, Aap padhte padhte so jate aur hame sine se lagaya hota...
kudrat ke karishmo mein agar raat na hoti , khwabon mein bhi unse mulaqat na hoti , yeh dil hi to hai har gum ki vajah , yeh dil hi na hota to kol baat na hoti....
Gum ne hasne na diya, Zamaane ne rone na diya. Is uljhan ne chain se jine na diya, Thak ke jab sitaroon se panah li, neend aayi to teri yaad ne sone na diya...
Kisi ne dil ko is kadar chu liya ki hum kisi aur ko chu na sake! Hum to chale the Dost banane aur wo Dhadkan ban baithe!
Aankhen oonchi hui to dua ban gayi, Aankhen nichi hui to haya ban gayi. Jo jhuk kar uthi to khata ban gayi, aur uth kar jhuki to ADA ban gayi...
Khuda se thoda rahem kharid lu, tere zakhmo ka malham kharid lu, agar bik jaye meri khushiyan kahin to mein teri zindagi ke sare gum kharid lu...
Kitni jaldi mulaqat guzar jaati hai, Pyaas bujhti nahi barsat guzar jaati hai. Apni yadon se keh do is tarah naa aaya kare, Neend aati nahi aur raat guzar jaati hai...
Tanhaiyo se nahi ham mehfil se darte hai, Duniya se nahi hum khud se hi darte hai, yun to bahot kuch khoya hai humne, na jane kyon unhe khone se darte hai..
Biizay Mishra
[email protected]
Dost milke juda nahi hote, Ek dusare se khafa nahi hote, Bhul jana hamari sari kamiyo ko, Insan, Insan hote hai Khuda nahi hote
Sheeshey ka Dil samajh kar, Pathron ne jise Chhod diya, kaanton se to bach gaya, magar Phoolon ne usey tod diya!
Zindagi kisi ki mohtaj nahi hoti, DOSTI sirf jazbaat nahi hoti, kuch to khayal aaya hoga RAAB ko, varna yu hi aapki humse mulaqat na hoti..
yaad karne ke liye koi cheez chahiye, aap nahi to aap ki tasveer chahiye , par tasveer aapki hmara dil behala na sakegi, kyuki wo aapki tarah muskura na sakegi
Jis din tum se dil laga baithe, tanhai me gamo ki mehfil laga baithe, tum to kho gaye is duniya ki bheed me, or hum apni hi duniya me aag laga baithe.
Khuda ne agar ye rishta banaya na hota, ek dost ko dooje se milwaya na hota, Zindagi ho jati bejan , agar aap jaisa dost paya na hota.
Bagair jane pehchane ikrar na kijiye, muskura kar dil ko bequraar na kijiye, phool bhi de jate hai jakhm gahre kabhi kabhi, har phool par yu aetbaar na kijiye
Jo dil se karib ho use rusva nahi karte, Yun apni mohabbat ka tamasha nahi karte, Khamosh rahenge to ghutan aur badhengi, apno se koi baat chupaya nahi karte...
fiza par bhi asar hawaon ka hota hain, mohabaath par thoda asar adawon ka hota hain, aisi hi koi kisika deewana nahin hota, kuch tho kasoor nigahon ka hota hain.
Aansun se palke bhigo leta hoon Yaad teri aati hai to ro leta hoon Socha ki bhula doon tujhe magar, Har baar faisla badal deta hoon
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Har Shakhs Ke Pehlu mein ek dil hota hai, Har Dil mein ek dard-e-awaaz hoti hai, Mumkin nahi ki har koi bana de Tajmahal, Par har dil mein ek Mumtaj Hoti hai....
Khwaab dekh bhi nahi aur tut gaye, woh humse mile bhi nahi aur ruth gaye, hum jaagte rahe duniya soti rahi, ek baarish hi thi jo saath roti rahi.
Log apna banake chodd dete hai... Rishta gairo se jodd lete hai.. Hum to eak phool bhi na todd sake.. Log to dil bhi todd dete hai
Biizay Mishra
[email protected]
Naa karta shikayat zamane se koi, agar maan jata manane se koi, kisi ko kyu yaad karta koi AGAR BHUL JATA BHULANE SE KOI...
Aankhon pe aasunon ki lakir si bann gayi, Kabhi socha na tha aisi taqdeer bann gayi. Humne toh firayi thi ret pe ungliyan, Gaur se dekha to teri tasveer bann gayi…
Kalam uthai hai lafts nahi milta, jisko dhund rahe hai vo shaks nahi milta, firte hai wo jamane ki talaash me, bas humare liye unhe waqt nahi milta.
Saath chhod ke kabhi humse juda mat hona, wafa chahiye tumse bewafa mat hona, ruthe chahe sari khudai humse magar, tum kabhi bhi humse khafa mat hona...
Yun to aapko roj yad kiya karte hai, man hi man me dekh lia karte hai, kya hua agarpas nahi hum to, dil hi dil me mulaquat kar liya karte hai!
Khuda na kare aapko kabhi koi gham milay, khusian aur hansi har dam milay, gham jab bhi badh chale aapki aur, khuda kare raaste mein usay hum milay...
Sirf chahne se mulakat nahi hoti, Suraj ke saath kabhi raat nahi hoti, Hum jise chahete hai jaan se bhi jayada, Saamne hote hai par baat nahi hoti.
Aasuon ke chalne ki awaaz nahi hoti, dil ke tootne ki aahat nahi hoti, agar hota khuda ko har dard ka ehsas, to usse dard dene ki aadat nahi hoti...
Raat hogi to chand bhi duhai dega, Khawabon me tumhe wo chehra dikhayi dega, ye mohabbat zara sochke karna... ek aansu bhi gira to sunai dega....
Nazar ne nazar se mulaqat kar li, rah dono khamosh par baat karli… Mohabbat ki fiza ko jab khush paya, in aankhon ne roh roh ke barsaat kar li…
Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi, Yeh dil hai uske jaane ke baad Sambhalta hi nahi
jisne humko chaha ,use hum chaha na sake, jisko chaha usae hum pa na sake, yeh samaj lo dil tutne ka khel hai, kisi ka toda aur apna bacha na sake
Raat KE Bina Kabhi Chandani Nahin Aati...., Patjhad Mein Kabhi Bahaar Nahin Aati, Jaati Hoon Jab B Khuda KE Dar Par, Tujhe Maangne ke sive Koi Fariyaad nahin Aati....!! Maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum Magar unse jakar puchiye jin-hain hasil nahi hain hum Biizay Mishra
Unhe aadat hai zakham dene ki. Apni toh fitrat hai gham chupane ki, ab toh aadat si padh gayi hai aasoon pi janeki, kya haseen saza di hai zaalim ne dil lagaane ki…
[email protected]
Dard ko bhi ab dard hone laga hai, dard khud hi hamare ghav dhone laga hai, dard ke sath kabhi roye na hum, dard khud hi humko chu ke rone laga hai
aansuo se palke bhigo leta hoon yaad teri aati hai to ro leta hoon socha ki bhoola doo tujhe magar har baar faisla badal deta hoon
Palko k kinare jo humne bhigoye nahi, sab sochte hai hum roye nahi. Sab puchte hai khwabo mein kise dekhte ho, Hum hai k ek umar se soye hi nahi.
ek dil hi toh tha hamnavaj, jo jalim pe pyaar aagaya. kuch yun hua ki maut hamse, aur ham zindagi se haar gaye.
Maine unse pyar kiya, yeh mere pyar ki had thi. Maine unpe itabar kiya, yeh mere itabar ki had thi. Markar bhi khuli rahi meri aakhen, yeh mere intizaar ki had thi.
khali dil izhaar key kabil na raha, koi bhi piyar k kabil na raha, dil mein bas gayee dosti teri, ab to chaand bhi dedaar k kabil na raha
Usko chaha bhi to iqraar karna na aaya, Kat gayi umr, hamein pyar karna na aaya, Usney maanga bhi agar kuch to maangi judaai, Aur ek hum thay ke inkaar karna paya Jis shaam mere lab per tera naam na aaye, Khuda kare aisi shaam na aaye.... Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin, Afsaana likhnu aur tera naam na aaye Apnon ne maara hai humko Gairon mein kahan dum tha Kashti bhi apni to doobhi jahan paani kam tha. Har baat ka matlab inkaar nahin hota, Har jagah par baithana intezaar nahin hota, Yun to milti hai hazaron se nazrein, Har nazar ka milna pyaar nahin hota. Biizay Mishra
ek dil hi toh tha hamnavaj, jo jalim pe pyaar aagaya. kuch yun hua ki maut hamse, aur ham zindagi se haar gaye. "Chaha Tha Unhe Hale Dil Sunana, Chaha Tha Unhe Junoone Mohhabatt Dikhana, Nasme Laye The Hum Dil Kured Kured Kar, Per Alfaaz Bhi Chale Gaye Unhe Dekh Kar" Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki, Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki. Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo, Saza mili hai hume muskurane ki ! Mohabbat ke naam se darte thhey Dil ki dhadkan dhadka gaya koi Hum anjaani raahon pe chal rahe thhey Achaanak hi manzil dikha gaya koi
[email protected]
Haaton mein leeye paemana, jaam dhoonda karta hoon. Tere sang gujarne ko, ek saam dhoonda karta hoon. Duniya wale humare rishtey ko, yu hee badnaam karte hain. Ke main eis rishtey ko, dene ek naam dhoonda karta hoon. Humne jeena chhaha tha apne dhang se magar jindagi ko ye gawara na tha lo hum keh dete hai jindagi ko alvida ke jina humko gawara na tha.. Is sangeet ke nashe me Jo doob jaye jahan ko bhulakar Jeewan jharane ki tarah bahe Aur naiya mil jaaye saagar ko Har table Bottle Se sajja rakhi hai, har type ke daaru manga rakhi hai, Na jane kis gali se aaega mera dost, humne har gali bottlo se saza rakhi hai Beqaraar Dil Is Tarah Mile Jis Tarah Kabhi Hum Juda Na The Tum Bhi Kho Gaye Hum Bhi Kho Gaye Ek Raah Par Chalke Do Kadam Dard ko na dekhiye dard se dard ko bhi dard hota hota, dard ko bhi zarurat hai pyar ki aakhir , dard hi to humdard hota hai.
Biizay Mishra
[email protected]