Panch Nasri Ghazlain Maqsood Hasni Sahib ki shaeri parh kar andaza hota hai kah yah moashray kay masael aur insan kay dukhoon ko mehsus kartay hain aur phir os ka izhar apnay ashar main adbi nazaktoon aur jamalyati khobioon kay sath bhar'poor andaz main kartay hain. Aisa hi adab, mein samjhta hoon logoon main shaoor paida kar sakta hai. Dr. Mobarik Ali
(1) Sach say tomhain qata ta'alaq karna ho ga Es ka zoban par aana Soraj ka ka sawa naizay par aana hai Intakhabi postar parh kar yoon laga Shaihar main kae paighambar otar aa'ay hain Hojray main baith kar rah-e-eshq main Marnay ki baat to karta hai wa'az Bara moshkal hai talwar par aana Mosa ka kiya kamal paighambri sath thi Ek hum hain na paighambri na asa mila hai Bach kar kahaan jata baat kayoon barhti agar maira bhi koe giriban hota Jala kar jali rehti to afsus na hota Khud bhi na rahi sahar honay tak Mein Farhad nahin jo khud'koshi kar loon ga Mohabat aur hisab, Doo mazmoon rahay hain mairi nazar main (2) Zindagi mango day doon ga Anna ki shakast mujhy manzoor nahain Rindoon nay sukh ka sans liya Jab say tumhara ajara nahain raha sharab par Mairay mohsan nay yah hukam lagaya hai Es ka hosh main aana thek nahain Meh'khanay par apna haq jata'ay ga Jin makanoon kay darwazay band rehtay hain Roshan'dan wahan hawaoon ka asra hotay hain Aa jao ab to bam par Wo raat adhori hoti hai Chand jis raat nahain hota
Hosn bin khoshbu kis kaam ki Chah main thora dudh mila dia hota (3) Woh jin aankhoon main bas ga'ay Wo aankhain salamat rahein Mein kaisay yaqeen kar loon Mohabat ka ehtaram karo Magar kisi kay qareeb'tar na raho Mun main zihar liay phirtay hai log Itni bhari dhandli aur kahan ho gi?! Kisi ka mar mitna sar'kashi, Mita daina jahan ada tehra Dar par paray diwanoon ki qadr karo Kiya karo gay , Hussain aa giya agar koe aur Ab apni ravash ko badlo Roshni koon khariday ga tumhari Roshni kay agar khareed'dar na rahay (4) Aankhoon main haan zoban par nahain nahain Dil ki baat kisay samjhoon?! Faislay ki saleeb par yoon na latka mujhy Sajda main jo gir ga'ay koon janta hai oon ko Mein bhi agar sajda main gir jata Tairi kawashoon main monfarid hota kaisay??? Jis baat main koe baat hoti hai Yahaan wohi baat bori baat hoti hai Dil tortay nahain mairay shaihar kay fatwa'gar Raqeeb to kafir tha hi Musalman bhi to musalman nahain raha Chal oth yahaan kiya rakha hai Wada-e-farda nahain hota Jin tiloon main tail hota hai (5) Makhlooq ka woh kab Khuda raha hai Yahaan to hakomat kar raha hai koe aur Bhook sehna aa giya hai naind nahain aati Sochta hoon, Khuda to nahain ho giya kahein Sharab main wo lutaf kahaan tha Jo lutaf aansu pinay main aaya Aqal ko kiya maloom mein kiya hoon
Janoon mujhy mairi zaat tal lay aaya Yah bhi day doo kayoon bacha rakhi hai Mujhy jana nahain wa,az ki dunya main Mairay eshq ko paimanoon par na rakho Intahaoon ko koe naap saka hai?!