Kaghaz Par Jigar

  • Uploaded by: maqsood hasni
  • 0
  • 0
  • April 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Kaghaz Par Jigar as PDF for free.

More details

  • Words: 408
  • Pages: 7
Kaghaz Par Jigar

Maqsood Hasni

Kaghaz Par Jigar Chand ki kirnoon say bhik mangi Os nay kasay main doo kirnay rakh dein Ghazal ankhoon ki thandak ho ja’ay Seep nay marvareed diay Kah dil os ka pur’sakoon ho ja;ay Qos-e-qaza nay surkhi bakhshi Kah rukh os ka Misal-e-yaqoot ho ja’ay Tablay ki thaap nay Ghongro ki jhankar nay Mayous na kiya Naseem-e-sahar say bhi Dast-e-sawal daraz kiya Qabroon kay katboon say Ghazal ki bhik mang kay laya Soraj say thori hidat lay li Simaab say bai’qarari lay li Lehar nay baghawat day di Golaab kay pas bhi giya Os nay kasay ko bosa diya Aur apni ek pati rakh di

Kasa labraiz ho giya Kush tha, Aaj mehnat rang la’ay gi Woh mairi ho ja’ay gi Daman maira khusoon say bhar ja’ay ga Ghazal kay cehray par Hosein sa koe, Onwan likh day gi Khloos ki tashtari main saaja kar Jab ghazal paish ki Jisarat pay woh mairi Bhiphar gae Zabt ki patri say otar gae Kasay main thook diya Boli-----------------------, “Bhikari! Apna khon-e-jigar nichoor kar lao Ghazal say, Zindgi ki khushboo aa’ay Rahtoon kay liay Lahoo ki ek boond Kaenat say bhari hai” Phir os nay Apni chati say joda karkay

Apni bachi Mairi goud main rakh di (mein nay daikha) Mumta ki nigahoon main ghazal thi Mumta ki bahoon main ghazal thi Bachi kay laboon par Bachi ki onglioon main Bachi ki sansoon main Magar bachi to Sarapa ghazal thi Phir os nay bachi mujh say lay li Mairi goud main sharmindgi Darmandgi Pasmandgi rakh di Apni aur mangay ki cheez main Kitna faraq hota hai Woh laeq-e-sad iftakhar thi Pu’waqar thi Os ka sar tana howa tha Maira sar jhuka howa tha Kah ghazal kay cehray par Bhik ka paiwand laga howa tha Ghazal ka badan zair-e-atab tha Mein bhi to haar giya tha

Woh muskara rahi thi Ghazal satpata rahi thi Ijtihaad ka dar wa howa Rovaet ka diya bujh giya Haqiqat say parda oth giya Shair nahin, Mein to bhikari tha Khorsheed zaef ho giya Mahtaab zard par giya Golaab murjha giya Tablay ka bhaid khol giya Jhankar tham gae Nadamat somondar pi gae Kasa doo lakht howa Jo jis ka tha Lay giy Ablees kirchiaan chonnay laga Bhikari mar giya Qbroon ko Apna diya mil giya Shair jaga Zaat main kho giya Khamshi cha gae Ab zaat thi

Shair tha Aankhoon main lahoo ki bondain Hath main qalm Kaghaz par jigar tha

Related Documents

Kaghaz Par Jigar
April 2020 8
Elegy On Jigar Moradabadi
December 2019 20
Par Par
November 2019 44
Par
May 2020 14
Par
June 2020 17
Par Savjeta
November 2019 10

More Documents from ""