Jabr zindagi ki her kush'gowari chein laita hai aur aatay kal kay liay intahae khatarnak hota hai. Jabr Sakoon aur aasodgi kay liay ghon ka sa darja rakhta hai. Mazhab/Ism/Nazriyaat say shakas ka jazbati reshta aur ta'alaq hota hai. Mazhab kay moamla main, khasosan jabran mazhab philanay kay ziman main es kay nataej aati sadyoon ka gehrao kar laitay hain. Es say mojoda lamhoon kay liay shaed kuch faeda mil ja'ay likin zara sa khlao milnay par es hawala say dil-o-damagh main paida honay wala raad-e-amal kalastar bomb say kisi tara kam taba'kon nahain hota. Hindustan par musalmanoon nay sadyoon tak hakomat ki. Manfi surat-e-hal ka tanasab kam raha likin izzat, mohabat aur yahaan kay gher musalmanoon ka sacha sath bhi mayassar aaya. Reshta'dariyaan banein. Ravadari parwan chari. Hum Bar-e-Sagher waloon ki nafasyati kamzori yah hai kah hum apnay hero ko Insan nahain rehnay daitay. Ossay Fareshta qisam ki cheez bana daitay hain. Dusra woh shakas kaisa bhi ho os kay baad kidar ko nazar andaz karkay mehiz taital ka sath daitay hain. Os main khobiyaan hoon na'hoon likin ossay khobiyoon ka majmoa sabat kar daitay hain. Halan'kah yah darust nahain. Jahaan insaaf na ho ga wahaan sakoon ka samaan paida hi nahain ho sakta. Bai'ansafi aur sakoon eak sath nahain chal saktay balkah ya eak dusray kay jani dushman hain. Bar-e-Sagher say musalmanoon ki hakomat khatam honay kay jahaan aur bohat saray sabab rahay hoon gay wahan Aurang-Zaib es almiay ka aham'tarein kirdar hai. Os ki na'ehli eak taraf os ki so called Islam- dosti nay zawaal ko dawat di. Mazhab main jabr ko kab jaga mili hai. Mazhab ka ta'alaq dil say hai. Jis cheez kay sath dil ki raza shamal na ho os ki jarain kab mazboot hoti hain. Manafqat ko panpanay kay mowaqay mayassar aatay hain. Mazhab koe apni marzi aur mansha ki cheez nahein. Zair-e-hawala Shakhas nay apni marzi ka zabar'dasti Islam nafaz karnay ki koshesh ki. Os ki os zabar'dasti ka aaj tak bogtan nahain ho saka. Musalman os par ya os kay kirdar par ongli rakhnay nahain daitay kah woh musalman badshah tha. Chon chon kar khobiyaan, jo shaed ossay ya os kay door ko bhi maloom na hoon gi samnay latay hain. Sawal paida hota hai: 1- Halaat aisay thay jo Mukhus kisam kay Islam ka motahamal ho patay? 2- Mussalman aksariat main thay? 3- Musalman, gher musalmanoon say ziyada kamatay thay? 4- Kiya karobar-e-hayat aur defance main gher musalam pichay thay jo oon par jazya nafaz kiya jata? 5- Yah Devtaoon ki zamein hai, kiya yah mumkin tha kah log angothioon main tasaveer walay naginay jrna foran band kar daitay? 6- Molvi, Pandat ya padri ki shariat thek sahi likin hamaisha ahal-e-tariqat hi kamyaab howay hain. Yah badshah oon kay pichay lath lay kar par giya aur os nay Rohani paishwaoon ka jina haram kar diya. 7- Kiya Hindustan Islami molak tha?
Masheik hazraat kay liay yah dharti jahanam ban gae. Izzat Ma'ab Hazrat Sheik Sufi Goru Gobind Sahib (R)ka kiya juram aur qasoor tha? Aurang'zaibi tarikh es ka jawab dainay say qasar-o-ajiz hai. Sach sach hai aur sach ko monh say bhi tasleem kar lainay main kiya barae hai. Woh Izzat Ma'ab Hazrat Sheik Sufi Dara Shako (R)kay hami thay. Es kay alava oon ka kiya qasoor tha. Izzat Ma'ab Hazrat Sheik Sufi Goru Gobind Sahib(R), Izzat Ma'ab Hazrat Sheik Sufi Syed Vaji-o-Din/Syed Badar-ud-Din almaroof Peer Bodoo Shah Sahib (R)jo dargah Shah Abdul Wahaab kay gadi nasheen thay kay pass aa gay. Izzat Ma'ab Hazrat Sheik Sufi Syed Vaji-o-Din/Syed Badar-udDin almaroof Peer Bodoo Shah Sahib nay eak hi kaaz kay sabab oon ka sath diya. Yah moamla aisay hi hai jaisay Eak nadi kay doo kinaray (mazhab aur rohaniat)eak sath chaltay hain aur eak jaga khatam hotay hain likin en ka malaap kabhi bhi nahain ho pata. Sufi Shara say bahar nahain hota aur jo shara say bahar ya os ka monkar hai woh sufi ho hi nahain sakta. Mazhab ka thaikay'dar shara rakhta hai likin Tariqat say bohat door hota hai. Sufi/Darvaish/Bhagat/Peer/Faqeer diloon par hakomat karta hai jabah Mazhab ka thaikay'dar jism par bhi hakomat qaem karnay say qasar-o-ajiz raha hai. Eak pathar eak golaab. Hazrat Sheik Sufi Syed Ali Hajvairi Al'maroof Data Ganj Bakhsh Sahib (R)ko dunyaan say othay eak arsa ho giya hai woh aaj bhi logoon kay diloon par hakomat kartay hain. Aurang'zaib ki kis dil main os ehad main ya es ehad main hokomat hakomat!? Bawar rahay siyasat say maira koe ta'alaq ya dil'chaspi nahain. Mein nay eak goshay mein baith kar zindagi gozari hai aur siyasat kay qafas say yah mujhay kahein ziyada aziz hai. Maira masla yah hai kah mein insan ka khoon behtay daikh kar bai'skoon hota hoon. Sath saal kay bachay kay hath main tray daikh kar parishan hota hoon. Mein desambar ki sardi main raat 11 bajay galyoon main 10 sala bachay ki "Anday Garam" ki aawazain bardast nahain kar sakta. Mujhy en kay mazhab rang khoon qoom nasal alaqa waghera say koe laina daina nahain. Mujhay oon ki pira bai'kal karti hai. Mein poray vasooq aur zima'dari say kehta hoon: 'Taj ya mazhab kay baray pait walay say shakhas kay liay khir ki towaqo nahain. Mazhab kay baray pait walay mazhabi labar'dar samait tamam adaray Taj kay gamashtay hain.' Agar aaj koe insan ko bacha sakta hai, ossay jazba, mohabat, ravadari, qana'at sabr bardasht eman ki shakti day sakta hai to woh sufi kay siwa koe aur nahain. Izzat Ma'ab Hazrat Pope John Paul Sahib la'yaeni nahain howay. Izzat Ma'ab Hazrat Dalae Lama Sahib ki maniviat ossi shidat say mojood hai. Izzat Ma'ab Hazrat Sheik Sufi Goru Nanak Sahib(R)kay sachay bhagat hi Insan ki jan mal aur izzat ko bacha saktay hain. In naik tinat hazraat ki aaj bhi diloon par hakomat hai. In mohtaram Mashaekh Sahiban kay pas UNO ka plate Forum Mojood hai jahaan Rohaniat kay Azeem Paishwa Bashar-e-Baibadal Fakhar-e-Insaniat Hazrat Sufi Sheikh, Alama Shah Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib mojood hain. Mein en Rohaniat say motalaq mohtaram Hazraat say gozaresh karta hoon kah insan ko bachaein aur os ki pira ka madawa karain. Yahhi nahain insan ki aakhrat main najaat kay hawala say bhi poray zoor-o-shoor say sae farmaein. Yaad rehna chahiay: Baishak Mout bar'haq hai aur qabr ka azab bhi dard'nak sonnay main aaya hai. Yah bhi jhoot nahain kah baray logoon(Sufi/Darvaish/Bhagat/Peer/Faqeerka)ka os rooz Hisaab bhi bara ho ga.