insan jab paida hota hai tab uska wazan 2.5 kg hota hai aur jab mar jata hai tab qabr me uske jism ko keede kha jate hai aur baaki bachi kuch haddiyo ka wazan bhi 2.5 kg rehta hai zindagi me jo pehla kapda pahanta hai insan usme pocket (jeb) nahi hoti aur jo aakhiri kapda pahanta hai (kafan) usme bhi pocket nahi hoti phir bich ki life mein pocket ke liye itni bhaag daud kyo ? itni dagebaaziyan, itne chhal kapat aur itni laalach kyu ? blood dene se pehle uska group check kiya jata hai lekin paise lene se pehle kabhi uska group check kiya bhi hai, ki woh mehnat ka hai ya haram ka ? agar galat group ka blood de diya jaye to insan ki zindagi ka risk ho jata hai to agar galat group ka paisa aa jaye to ghar me chain, sukoon aur raahat kaise aayegi? woh gym mein, aur medicines mein hi gayab ho jayega. bank balance badh jayegi lekin family balance kam ho jayegi. jaise galat group ka blood hame "suit" nahi hota waise hi galat group ka paisa bhi hame "suit" nahi hota...