Wo Lafz Kahaan Hai, Kidhar Hai?!
Maqsood Hasni
Wo Lafz Kahaan Hai, Kidhar Hai?! Surkh ho kah sopaid siyah ho kah kasni Jadeed ho kah qadeem Dost ho kah dushman Kaisa bhi raha ho, Mujhy es say koe gharaz nahain Haan, Sakht ho mongay ki tara Naram ho raisham ki tara Boland ho hamala aisa Roshan ho aaftab aisa Hosein ho mahtab aisa Ashaq ho Balal aisa Omeeq ho somondar aisa Parwaz main Jabreel aisa Sama’at main Soor-e-Esrafeel aisa Bai’karaan charakh-e-nili faam aisa Zaat ka khoji, lehar aisa Gohar shanas Hans aisa Bai’qarar, Simaab aisa Shoja, Haider-e-Karar aisa Yahi nahain
Apni zaat main ba’kamal ho La’zawaal ho Wo Lafz Kahaan Hai, Kidhar Hai?! Sadyoon mein os ki talash main hoon Kah Noh-e-Bashar ko Os ki azmatoon ka raaz keh doon Aazmat-e-Aadam ka aaj phir charch ho Mukhlooq-e-Falqi Phir say tajdeed-e-azmat-e-Adam karay Khoda-e-Lamyazal keh day “Kehta na tha, Jo mein janta hoon, tun nahain jantay” Koe to khijay Koe to talashay Wo Lafz Kahaan Hai, Kidhar Hai?!