There Is No Shortage

  • Uploaded by: maqsood hasni
  • 0
  • 0
  • April 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View There Is No Shortage as PDF for free.

More details

  • Words: 740
  • Pages: 2
There is no shortage Insan jab paida hota hai os ka dil golab ki pati ki tara naram nazok aur khush'bu say labraiz hota hai jab'kah damagh koray kaghaz ki tara sofaid ojla shafaaf aur baidagh hota hata. Os ki moskarahatain her qisam ki tameez-o-imtayaaz say bala'tar hoti hain. woh sab ka aur sab kay liay hota hai. Salamti aur dosti os ki fitrat main dakhal hotay hain. Os kay dil aur damgh main kisi kay liay nafrat ya janib'dari nahain hoti. Woh ossi tara say hota hai jaisay insan ko hona chaheay. Jab woh paida hota hai Ahsan aur Khlipha kay darjay par faiz hota hai. Tafreeq aur dehshat gardi qisam ki chizoon say na'aashna hota hai. Waqt halaat society mahool mafadaat os kay so called apnay ossay insan nahain rehnay daitay. Woh soni wahabi shiya barailvi mashraqi maghrabi sikh esae hindu kala gora mochi nae raja malak kambu rajpoot molvi pandat padri ghreeb ameer sufi bhagat darvaish aman'pasand dehshat'gard qatil maqtool Khoda janay kiya kuch, ho jata hai. Os ki zindagi en daeroon main ta'dam-e-marg moqaied rehti hai. Sar othata hai ya samajio-mazhabi nazriyaat waghera say nikalnay ki koshesh karta hai to baghi tehrata hai. Log os kay zahir ko malahza kartay hain aur yah daikhnay ki zahmat nahain otatay kah os kay mun/andar kiya chal rahai. Woh til til qatal hota hai aur auroon ko mukhtalif hawaloon say masloob karta rehta hai. Eak waqt aata hai jab os kay liay yah sab Zindagi ka roop ekhtayar kar jata hai. Os kay nazdeek yahhi zindagi hoti hai. Kamzoroon ki gardan marotay waqt os kay andar say koe aawaz boland nahain hoti.* Os kay insan kay darjay say gir kar wahabi shiya barailvi mashraqi maghrabi sikh esae hindu kala gora raja malak kabo rajpoot mochi nae darzi molvi pandat padri ghreeb ameer bhagat sufi dehshat'gard qatil maqtool ban janay ki zima'dari kis kay sar par rakhi ja'ay?! 1- Os kay ghar waloon par? 2- Samaj socity mahool ya insan kay tabeer yafta mazhab par? 3- Amir-e-shihar par jo saray wasael samait kar ossay gholami ki zindagi karnay par majboor karta hai? 4- Boray halaat-o-waqiyaat kay rad-e-amal par? 5- Aaghi kay darwazay band kar dainay waloon par? 6- Ustaad/Guru kay moashi-o-samaji aur os ki self respect kay qataloon par? 7- Khud os par kah os nay rasta ekhtayar kartay waqi apni samjh bojh say kaam na liaya? 8- ya phir hasab-e-ravaet taqdeer par? 9- ya phir samaji aur riyasti zulm-o-jabr par? Aakhar insan kay andar kay insan ka bai'dardi say khoon bahanay aur tafreeq kay darwazay kholnay ka alzaam kis ko diya ja'ay. Jis ki taraf ongli othein gay kobray saanp ki tara dasnay ko aa'ay ga. Jis say sawal karo gay khod ko sacha socha bata'ay ga. Agar apnay apnay hawalay say sab sachay aur naji hain to phir ghalt koon hai. Kiya qatil mujram hai ya maqtool ya phir donoon? Insan, insan kayoon nahain raha seraf aur wahabi shiya barailvi mashraqi maghrabi sikh esae hindu kala gora raja malak kabo rajpoot mochi nae darzi molvi pandat padri ghreeb ameer dehshat'gard qatil maqtool waghera ho kar reh giya hai. Jis say sawal karo gay barmala kahay ga mein pehlay falaan hoon os kay baad insan hoon. Hazrat Sufi Sheik Baba Ustad Goru Nanak Sahib ka yah kaha kisi tara ghalt nahain ho sakta: kQnw kQI n AwvY qoit ] There is no shortage of those who preach and teach**.

kathnaa kathee na aavai tot. Batan ki taharat kay sabab aur es hawa say mota'alaq log wasael kay hamil log mojood hain aur Woh soni wahabi shiya barailvi mashraqi maghrabi sikh esae hindu kala mochi nae darzi gora raja mochi nae darzi malak kambo raj'poot molvi pandat padri ghreeb ameer sufi bhagat dehshat'gard qatil maqtool ko phir say golaab ki pati lathay ki tara kora aur bai'dagh bana saktay hain. woh aisa saboon rakhtay hain jo diloon kay zang ko saaf kar sakta hai. Os kay baad kaan son sakain gay aankhoon ki roshnae dhanag say yaeni ossi tara say daikhay gi jis say tara daikha jana chahiay. Hazrat Alama Shah Sufi Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib es waqt alame-insani ki rohani namaendgi ka fariza sar anjam day ray hain es hawala jumla rohani taleem say mota'alqein ko oon kay sath chal kar alam-e-insani ki rohani tarbiat ka kaam karna chahiay ta'kah such aasudgi aur sakoon ka saman paida ho saky. --------------------* oon kay dil zang'aloda ho jatay hain

Related Documents

There Is No Shortage
April 2020 36
"there Is No Incurable"
November 2019 34
There-is-no-death.pdf
July 2020 33
There Is - There Are.docx
November 2019 59
There Is No Legal Tender
November 2019 17
Where There Is No Vision
November 2019 20

More Documents from "Kathleen"