Sab Jantay Hain
Maqsood Hasni
Dar band hain
Mujhy es ki fikr nahain Koe maan faraoon ko janum day Haan darya ka sakoot daikh kar Dar jata hoon Ab who aa kar ja’ay ga nahain Bani Aadam kay bachoon ka qatl Koe Mosa roknay nahain aa’ay ga kah Nabovat kay sab dar band hain
Sach to yah hai Sach to yah hai Oon alaqoon main badil nahain jatay
Jahaan oon ka intazar hota hai Jalti aag kay naseeb main Agar baresh hoti Bai’gona qatl kayoon hotay Saithoon ka pait chota hota
Kis khushi main Yah falsafa tumhari soch main nahain aa’ay ga Daikho------------!
Bhook bhar jati hai to Chiryaan kisan ki mehnat nahain daikhtein Bhook main billa Chiryoon ki kamzori say faeda othata hai Kottay ko es say koe gharaz nahain, Billa paltu hai Kamaiti walay kis khushi main Kottay ko moaaf kar dain?!
Almiya Kae bar giri Aakhir char hi gae
Chonti magar wo os door ki thi Rishvat kay lambay hath Sifaresh ki kulzam aashami Qareeb manzil say gira daiti hai Tum jo chaho keh lo Mein essay, Es door ka almiya kehta hoon
Jab tak Woh qatl howa Phir qatl howa
Eak bar phir qatl how Es kay baad bhi qatl howa Phir woh masalsal qatl hota raha Jab tak saithoon ki bhook nahain marti Khashaat ka janaza nahain othta Woh qatl hota rahay ga
Sa’ay ka Raqs Wo agni thi kah kisi yogi ka yoog tha Kah Rahda ki onglioon kay nishan thay Sohni kay totay ghary ki
Baz’gasht bhi ho sakti hai Ya na’farman baitay ka aaq nama ho sakta hai Wo malairiya say toot’tay badan ka bukhar ho sakta hai Kehkashani rangoon ka aamaiza bhi keh saktay hain Tanha kanwari kay badan ki khanak ho sakta hai Mafrozoon ka door Zaat kay sa’ay mehv-e-raqs hain Insan in sayoon ki bheer main Kab ka-----, Kahein kho giya hai
Sab jantay hain Sab jantay hain Yah batanay ki zarorat nahain Hum kayoon zinda hain
Her chotay ko baray kay liay Zinda rehna parta hai Os ki bhook kayoon mar ja’ay Nashtay kay maiz par Gard kayoon jam ja’ay Os ka bacha ghor sawari ka zooq rakhta hai Os ki darindgi ka Koe darinda Ab mothamal nahain ho sakta Aur yah bhi kah Sard ratoon main Os kay bistar par koon soay ga Yah sab, Sab jantay hain Batanay ki zarorat nahain Hum kayoon zinda hain
Kal behtar nahain Mashraq ka khoda lahad main otar giya Hadyoon ka goda Other ka khoda nigal giya
Kafan baiwaoon ki orni bana Kuch say Haiz’zada oratoon kay paid banay Es kay paiat say nikalti hawa say Aafat-e-samavi keh kar Hartali mazdoon kay Qatl ka samaan ho raha hai Zarori nahain Kal marnay walay Kal hi maray Kal kab behtar hai aaj say
Kuch faraq nahain parta Mein golaab hoon Yah naam tumhara diya howa hai Yah naam acha hai ya bora
Yah tumharay zooq ka moamla hai Khushbo aur hosn Namoon kay paband nahain Dudh ko kisi bhi bartan main dal doo Dudh hi rahay ga Khush’bo aur hosn ko Koe bhi naam day doo Kuch faraq nahain parta
Tum hi kaho Es shehar main Wo titliaan od nahain saktein Jin kay paroon pay
Hakam-e-shehar ki Mohar sabt nahain hoti Darya oon kashtioon ko kayoon janay day Jin par os ka jhanda nahain lehrata Wo masvday kirm ka shikm bhartay hain Jin main hakam-e-shehar ka zikr nahain hota Bari pagrioon walay Apna naam Es main likhwa aa’ay hain Ohain sans lainay ki ijazat hai Tum hi kaho Exsal kay bagher Koe ghari chal sakti hai????????????
Tum apnay kal ki socho Jo cheez apni ho Os kay kal ki socho La’yaeni baat nahain?!
Mein apnay kal ki kayoon sochoon Mairi kal, Kab mairi kal hai Jab sandooq khoolay ga Bargad kay sab pattay Hawaoon say lar lar kar Mati say dosti kay qabil na hoon gay Aur yah bhi Khooli hawaoon main Honay ka ehsas mit ja’ay ga Kal walo! Agar tum baqi ho Sandooq mat kholna Tum apnay kal ki sochna Maira kal, Kab koe kal hai
Ziyada’tar Baray shitan kay marnay ki dua Qabool ho bhi gae to kiya?! Os kay anday bachay Fitna’padazi main
Os kay bhi baap hain Estaqamat ki dua Larnay ka hosla Aur saman paida kar Dua mangnay walay Ziyada’tar Zulm ka shikar hotay hain
Mairi aankh kay ashko Jao, Mairi aankh kay ashko, jao Aag khati
Hawa say keh doo Nawa-e-Badar ban kar Shawat kay bhanwar main Khailtay bhagoon ki Rag-o-jan main Otar jaein Mairi aankh kay ashko, Jao
Firat Taizaab barsatay badil Gowahi day rahay hain Paltu darinday Apni fitrat main
Mohazab nahain ho saktat
Yah mosam-e-wa’az nahain Wa’azo! Yah mosam-e-wa’az nahai Zulf tarash banoo Oon ki zulfoon main
Olajh gae hai zindgi
Aman kay liay Bala’dasti kay kobray ki zoban par Tehreer tha “aman chahtay ho tum?
Mujhy laho darkar hai”
Chup Khoda kab chup hai Zulm ki haad say pehlay Char aata hai darya Mitanay waloon ko Mitanay kay liay
Rehnay doo Qabr ka dar wa howa Bola, “Qayamat ho gae hai?” Bahar andhairay thay Ojaloon main
Surkhi doob gae thi “nahain, Nahain Mujhy yahein rehnay doo”
Mard-e-Aazad Suna hai Yousaf ki qimat Soot ki “Anti” lagi thi Kah woh majboor tha Door-e-hazar ka mard-e-aazad Dhonvain kay evaz
Baich raha hai khud ko
Jawaz Mairay sajdoon ko Hadaf na banao Aankhoon main os bot kay Zara jhank kar to daikho Janay kab say baitha hai Eak bai’vajood
Sajda ka haq lay kar
Gher’qanoni Yah to mehaz kehnay ki baat hai warna Rait ki diwarain Qaem nahain rehtein Gher qanoni ortoon say dost Khala main rehti hai
Aur khala main parwaz kartay parinday Agarchah zamein kay bhi mehtaj hain Likin, Khala hi oon ka watan hai
Shakast Rakibo! Thak giya hoon mein Lartay lartay Woh maira na ban saka Tum hi bhar kar
Sinay say laga lo mujh ko
Iltaja Os nay mairi traf daikha Kabhi na daikhnay kay liay Os daikhnay main Ek iltaja thi, “In lamhoon ko yaad rakhna”
Bhaid Bai’qarari lehar ki Daikh kar bolay, “Ajab hamaqat hai, Aabad jahan choor kar tum Kinaroon ka rukh karti ho”
Boli, “ apnay andhairay, Ojaloon say behtar hain”
Jagtay rehna Jagtay rehna Choor tairay sohaag ki choriaan chora na lay Jagtay rehna Chanda ki koe kiran aankhoon ki masti Hontoon ki sukhi
Chora na lay Jagtay rehna Hawa ka koe jhonka Tairay badan, tairay cehray Haya-o-taqadas kay sab reshtay Apnay na’pak lams say Choor choor na kar day Jagtay rehna Shab kay pechlay pehar ki anaetoon main Khoda tujh ko bhi shareek kar lay Jagtay rehna Gholab chanda ki ragoon say Sari shabnum nachoor na lay Jagtay rehna Raqeeb tujh ko tairi mohabatoon say Mehroom na kar day Jagtay rehna,Mairay dost jagtay rehna Jaagna hi zindgi, Jagtay hi aazad hain
Sochta hoon Siya nagoon si zulfoon ko Jabain-e-naz ko chotay daikh kar Sochta hoon Ebadat eak roman hai kah Jhok janay ka naam hai