MOLA IMAM JAFFAR SADIQ(J.J.H) nay farmaya k rasool allah nay farmaya k ALLAH nay meray bhai ALI(J.J.H) ko woh fazail diye hain k in ka koi shumar nahi kar sakta jo shakhs ALI(J.J.H) ki fazilat ka zikar karay ga allah is k sab gunah maaf kar day ga chahay woh gunah kitnay hi kyon na hun or jo shakhs ALI (J.J.H) ki aik fazilat likhay ga jab tak woh tehrir rahay gi malaika is k liye istakhwar kartay rahy gian or jo ALI(J.J.H) ki fazilat ghur say sunay ga Allah is k tamam gunah jo is nay kano say kiye hun gay maaf kar day ga , or jo ALI(J.J.H) ki aik fazilat par nazar karay ga to Allah is k woh tamam gunah maaf kar day ga jo is nay ankhun say kiye hun gay , ALI(J.J.H) ki taraf nazar karna ibadat hy , ALI(J.J.H) ka zikar ibadat hy kisi insan ka EMAN MOLA ALI (J.J.H) ki wilayat k bagher or in k dushman say bughz k baghar qabul na kiya jaye ga . REF (kitab : tuhfa al-abrar: hadis 49: page: 29) Mullif shakhe sudduq