Maqsood Hasni ki Talimi Fikar kay chand Zaviay
Tehreer Prof. Younas Hassan
Paish’Kash Sharafat Ali
Mirza Ghalib ki yah yaqinan kush’qesmati thi kah onhain Molana Altaf Hassain Hali jaisa honhaar shagird mil giya
jo oon ki shorat ka pehla qatra sabat howa. Bilkul essi tara Maqsood Hasni Sahib ki kush qismati keh lain kah onhain Prof. Younas Hassan jaisa shagird mayassar aaya hai. Maqsood Hasni sahib ko Mirza Ghalib ka manvi shagird kaha ja’ay to yah baat kisi tara ghalt na ho gi. Prof. Younas Hassan Sahib nay Maqsood Hasni Sahib kay tehqiqi aur takhliqi kaam kay bohat saray goshoon ko bari ehtyaat aur emandari say wa kia hai. Bilkul essi tara Prof. Dr. Mohammad Abdulla Qazi Sahib nay Maqsood Hasni Sahib par honay wala bohat sara kaam mafooz kar rakha hai. Onhoon nay es kaam ki naqool dainay main kisi qisam kay bukhal say kaam nahain liya. Mein yahaan yah kaam aahista aahista karkay paish kar doon ga. Es tara tehqeq say munsalik ahbaab ko mushkal paish nahain aa’ay gi aur woh apnay MphiL aur PhD kay mukhtalif mozoaat kay motalaq maqaloon kay liay ba’aasani mowaad hasal kar sakain gay. Ta’hum woh Prof. Dr. Mohammad Abdulla Qazi Sahib, Principal Govt. Post Graduate college Bahawalnagar say bhi mowaad ki naqool hasal kar saktay hain. Dr. Sahib intahae farakh dil waqay howay hain. es pehli qest main “Maqsood Hasni Sahib ki Talimi Fikar kay chand Zaviay” jo Prof. Younas Hassan sahib ki matboa tehreer hai, paish karnay ki jasaratkar raha hoon. Sath main hawala bhi daraj kar diya hai.
Sharafat Ali