“Urdu main nae nazam” ta’arfi-otanqidi motala Tehreer Prof. Younis Hassan
Paish’kash Sharafat Ali
Pechlay kae saloon main Nasri Nazam par bari lay day hoti rahi hai aur yah surat ab pehlay jaisi nain rahi ta’hum yah mozo farsoda bhi nahain howa. Donoon tara kay shoora main khicho ki surat ab bhi baqi hai. Es nazam nay es khicho kay mosam main apni zindgi kay kae saal gozaray hain aur gozar rahi hai. Yah hat ki paki hai. Aaj es ka vajood pehlay ki nisbat estahqam pakar choka hai. Prof. Drs Dr. Urdu Mr. Maqsood hasni nay es mozo par khul kar mukhtalif hawaloon say guftagu ki hai jo her lihaz say kar’aamad hai. Prof. Younis Hassan Sahib nay es kitab ka bari araq raizi say ta’arfi-o-tanqidi jaeza paish kiya hai jiss ka motala es nasri aur ba’aahang shaeri par karnay waloon kay liay her chand faeda’mand sabat ho sakta hai. Essi tara nazam par tehqiqi kaam karnay waloon kay liay bhi yah maqalay bari mofeed cheez hai. Prof. Dr. Mohammad Abdulla Qazi Sahib nay es moqalay ki naqal hasab-e-sabiq bari farakh dili say mujy ata kar di hai jo mein aap ki khidmat main paish karnay ja raha hoon.
Sharafat Ali