madine ka safar hey aur mey namdeda namdeda jabeen afsurda afsurda qadam laghzeda laghzeda chala hoon eik mujrim ki tarha mey janib e taiba nazar sharminda sharminda badan larzeda larzeda kise key hath ney mujh ko sahara dey diya warna kahan mey aur kahan ye rasty pechida pechida kahan mey aur kahan us roza e aqdas ka nazara nazar us samat uthte hey magar duzdeda duzdeda ghulaman e mohammad dour sey pehchany jaty hein dil e girweda girweda sare shoreda shoreda madine jaa key hum samjhy taqadus kis ko kehty hein hawa pakeeza pakeeza faza sanjida sanjida basarat khoo gai lekin basirat to salamat hey madina hum ney dekha hey magar nadeda nadeda wohi iqbal jis ko naaz tha kal khush mezaji par firaq e taiba mey rehta hey aab ranjida ranjida madine ka safar hey aur mey namdeda namdeda jabeen afsurda afsurda qadam laghzeda laghzeda __________________