zindagi ka safar hai ye kaisa safar koi samjha nahin koi jaana nahin hai ye kaisi dagar chalte hain sab magar koi samjha nahin koi jaana nahin zindagi ko bahut pyaar hamne kiya maut se bhi mohabbat nibhaaenge ham rote rote zamaane mein aaye magar hanste hanste zamaane se jaaenge ham jaaenge par kidhar hai kise ye khabar koi samjha nahin koi jaana nahin aise jeevan bhi hain jo jiye hi nahin jinko jeene se pehle hi maut aa gayi phool aise bhi hain jo khile hi nahin jinko khilne se pehle fiza kha gai hai pareshaan nazar thak gaye chaaraagar koi samjha nahin koi jaana nahin