Irtiqa Ka Musafir

  • Uploaded by: Shoaib Arif Butt
  • 0
  • 0
  • April 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Irtiqa Ka Musafir as PDF for free.

More details

  • Words: 2,265
  • Pages: 21
IRTIQA Ka Musafir Urdu Poetry Collection By Shoaib Arif

Main Kia hun Ik aisi khuli kitab hun main Parh parh ky jsko bhula sko khud py gira hijab hun main jisy sadion tlak na utha sko Ik IRTIQA ka sarab hun main jisy chaltay chalatay na pa sko Ik by sura sa rubab hun main jisay ksi ko na suna sko Arif ap apna jawab hun main sawal jis py na utha sko

I am Black shadow Burning in fires of love Wandering for perfection of soul In the deep hollow life’s bowl I am Black shadow I am Black Shadow Connecting the broken connections Not caring for Worlds sanctions Mystifying the spirit of glory Running in circle of peoples Gathering the words for story Unlocking the secrets of heart Digging the graveyards of thought I am Black Shadow I am Black Shadow Glimpsing into Galaxies and stars Enlightening the paths of logic Flying in winds of evolution higher than Mars Though living in nights of evils Though fighting with monstrous devils But converting Black shadows to white mornings Still singing the enigma of life in rhyming I am Black Shadow I am Black Shadow

Teri Hasti Fani say lafani ho zara Tu milay to jeevan main asani ho zara Dil ki nagri main koi to rut suhani ho zara Samay to beet gaya beet jana tha Kash tu bhi mere dil main purani ho zara Main gir parun to na ana mujh ko uthanay Mere baad meri amar kahani ho zara Main nay chaha tuje deewana ban kir Tu meri khatir deewani ho zara Main wo qatra hun jis ki khwahish ye ha Meray andar bas ishq ka pani ho zara Tujh pe khul jayenge bhaid sare ARIF Teri hasti fani say LAFANI ho zara

Ab to khwabon main milan hua krta ha... Ab to khwabon main milan hua kirta ha Ab to ankhon main sajan hua kirta ha Jis kay honay say dil dharkta ha Mera mehbub wo dharkan hua kirta ha Do ghari paas bhaith janay say Dil ka dil say lagan hua kirta ha Jo zamin pe bichar jatay hain deewanay Un ka asmanon pe shagan hua kirta ha Apnay rukh say hijab uthao janan Main bhi daikhun kia girhan hua kirta ha Tum ko dekha to ye yaqin aya Sang e marmar sa badan hua kirta ha Jab bhi likhta hun teri baaton ko Meri baaton main wazan hua kirta ha Kitna madhosh lagay ARIF daikho Jab tere tassawur main magan hua kirta ha

Junun Khird kay mukabil to nahi Junun khird kay muqabil to nahin Ishq kisi dar ka saail to nahin Saleeb to hadh thi Masihai ki Saleeb MASIHA ki qatil to nahi Qarbala ki hawa si garmi Ab kisi hawa main shamil to nahi Iblees tera dushman ha azal say Wo Ibn e Adam ka qaail to nahi Tujh pe maail to hua ha mera dil Ye kisi huur pe maail to nahi ARIF to sar e rah bhataknay kyun laga Ishq tera baatil to nahi

Ae dil tu ksisi rah pe to chal Ae dil tu kisi rah pe to chal tasalsul kay sath Manzil kisi maqaam pir ubhar hi jaye gi Ijaz kay hathoray mare ja baar baar Ana ki zinjeer tuut kay bikhar hi jaye gi Tere bina guzarna buhat mushkil umar ka Par rafta rafta ye bhi guzar hi jaye gi Gar dekho gay usay yaqeen ki aankh say Tasveer uski dil main utar hi jaye gi Har ik shay pe taskhir ka rang charh raha ha Har ik shay pe meri nazar hi jaye gi Ye zawal raaat ka pal bhar ko ha ARIF Aruj pe to roshan sahar hi jaye gi

Meri Manzil Wakt ha........ Zindagi main tere brhana bdan pe ik geet likh rha hun main hara hun har ghari pir jeet likh rha hun Jane kyun main apni siskion ko lafz de rha hun Shaid jo ankhi ka karz tha wo karz de rha hun meri aankon main ye kiska aks thahar gya ha mere dil main ye kaisa dard bikhar gya ha kay meri zindagi ka libas tar tar ho chuka ha Ishk ka meri hasti pe hisar ho chuka ha Ae zindagi muje maaf krna kay mere geeton main wo tranum nhi mere jazbon main wo sangam nhi JO tere brhna bdan ko phir say dhak skain Jo tuje Karb ki gahrai say dur rakh skain Main to awara sa insaan hun jo kbi Sufi kbi shair kbi musawir kbi afsana bn ke rahta ha Meri Han meri... manzil wakt ha....

Awara Main Basti basti nagri nagri ghum phira main tere ishk ka rog lga kr ban gya awara main sari dunya jeet kay nikla shahkar bnany tuj say ankh milai,hara main Apni pahchan bi khoyi maine kabi sab kay dil ka tha pyara main Muje Dast e masihai ki zarurt bi nahi Ab tut kay bikhra sara main Mere Bad subah ka saya hoga is Rat ka akhri sitara main Jis traf koi moj nahi jaati samundar ka Khamosh kinaraa main Aao logo or hanso Arif pe pagal main banjara main awara main

Maine socha MAINE SOCHA kay mot ayegi pir aisay kabi nahi Maine socha kay tu hamesha ko kho jayegi pir aisay kabi nahi maine socha kay mujhe tanha chalna hoga pir aisay kabi nahi maine socha kay dunya kay circus main jab main tammasha dikhaunga to kursian khali hongi pir log bhatay thay muj pe hansnay kay liye maine socha kay main sari dunya apni muthi man samait lunga pir dunya nay mujko samait lia maine socha kay main wakt say panja laraunga go mere hath kmzor sahi main akhiri dam tak zor lagaunga pir wakt mere pass aya or muskura kay chala gaya maine socha kay ciggrette phunk kay main apne gham ki aag bhuja dunga pir cigrt sali khud hi bhuj gai aur meri aag aur taiz bhrakny lagi maine socha kay main tlash krunga sach ki pir sach ik roz jhut ki bahon man mila maine socha kay kuch bhi namumkin nahi pir main dairon main ghumta raha

meri manzil dairon say bahir thi Han main namukamal hun Han main kai bar hara hun Han main pagal hun Han main RAB SAY bichra hua sitrara hun MAINE socha meri soch ha sab kuch Pir main takhlik tha Mere KHALIK ka takhayul mere KHALIK ki soch AH kuch aur thi

AAP hum ko dekh kir kyun muskra gaye Ap hum ko dekh kir kyun muskra gaye hum aap ki isi ada main aa gaye jab aap ko malum na thi humare dil ki baat dunya ko ye baat hum kyunkir bata gaye aap asiay sath hain har pal ki gardishon main hum aap ko na pa kir phir bhi pa gaye aap jaisa sundar koi nahi jahan main hum aap kay hi naam apna sab kuch luta gaye humari chahat ab ki nahi behad qadim ha kabi ranjha kabi mirza kabhi punu kabi majnu ban kir aa gaye humari dua ha rab say aap khush rahain humara kia ha ARIF hum khud ko mita gaye

MAIN HUN TUJH MAIN GUM Ha gumnam si ik raat main hun tujh main gum Meri khud say ha mulaqat main hun tujh main gum phir aisay teri yaad ka daur chal para bhooli ha apni zaat main hun tujh main gum sab log gum is daur kay apni zaat main ha kaisi ajab baat main hun tujh main gum kis nay kaha kay mujh say kho jaye gi sari dunya dunya ha mere sath main hun tujh main gum main mar gaya to phir bhi fiqar kaisi yaro mil jayegi phir hayat main hun tujh main gum Mera marz ISHQ ha jo Lailaaj ARIF Muje ko nahi ha maat main hun tujh main gum

Shoaib tu kon ha Ik cigerette nay mujh ko jala kir rakh dia mere dil ka dard phir say bhara kir rakh dia maine madhoshi kay liye bhara tha aik kash jis nay mujh ko tuj say mila kir rakh dia Dhuwan hi ban gayi ye zindagi apni Waqt ki hawa nay mujhko ura kir rakh dia SHOAIB tu kon ha kahan say aya ha kyun ik chehre kay faraib nay tujhe mita kir rakh dia

ASAL TO ARIF BAAD E SUUR THA Main dunya main pal bhar ka mahman zarur tha Pir mere dil main janay kaisa gharur tha Main raston kay sarab main khud say kho Gaya Go achay or buray ka mujh KO shaur tha Asman say zamin pir aansu bras paray Meri siskion main janay kaisa sarur tha Maine buhat chaha badal dalun sari dunya Pir Inquilab ka zamana mujh say Bara dur tha Ye mere nasib ki maat thi so mujh KO mil gai Ae dil chor khud say kehna kay kis ka qasur tha Malaik bhi jhuk Gaye meri taazim ki khatir Mere dil kay andar jab khuda ka zahur tha Aakhiri sans pe paya naqal thi hayat sari Asal to ARIF baad e Suur tha

AJ mosam aya tuje yaad krine ka Aaj mosam aya tuje yaad kirnay ka Dil ka shehar phir say abad kirnay ka Teri mang meri muhabbat kay lahu say sajay Ha irada ye RAB say faryad krine ka Tu mot kay baad bhi mere sath chale Main tariqa dhundta hun tuje hamzad kirne ka Main tere ishq main aisa aseer ho Gaya hun Koi Zaria hi nahin muje azaad kirne ka Ae mere RAB meri kavish KO zinda rakhna Mera khwab ha Teri rah main jihad krinay ka

GHazab kia jo tere waday pr aitbar kia GHazab kia jo tere waday pir aetbar kia Main deewana ho chala tere ishq nay aisa khumar kia Raaz e hasti bhi samjhne ki zarurat na rahi Maine jo kuch kia hasti kay aar paar kia Pehlay faqiron ka libada orha Aaj tang aa kir us ko bhi taar taar kia Tu nay ik roz nikala apni chokhat say Phir tere baad kisi ko na apna yaar kia Main khud hi nahi samjh ye dunya kia samajhti Pir ye sach ha maine tujh say bara pyar kia Ab pila bhi day bekhudi ki may saqi Zara dekh tune ARIF ko kitna talabgar kia

KITNA PYARA HOTA Teri cahhat ka muje sahara hota ik tuje pa kay main sab hara hota jo kabhi chalti tu mera hath thamay kitna haseen har nazaara hota dur rah kir bhi tuje takta rahta tu agar chand main sitara hota har tammana teri puri kirta teri palkon say bas ishara hota main apni zaat bhula kir janan tera hi faqat istaara hota tu muje milti to sach ha ARIF kitna pyara hota kitna pyara hota

GHALIB teri ghazal ka madah hua kire ga Jo zair e lab ki dua hua kire ga wohi umar bhar ka mudda hua kire ga muje ranj o alam ki sayyahi say na dara ae dil us kay ahsas ka ujala meri dua hua kire ga maine phainki ha soch ki kamand har ik janib meri hasti ka ajab masti main tammasha hua kire ga ye zamin khun main dubay to uthta ha Inquilab aisa hota ha or sada hua kire ga us waqt samjh aaye gi sari mantaq jab mere andar ik khuda hua kire ga main darta hun apne sawalon ka jawab denay say warna ae dil tu bhi mujh say khafa hua kire ga Ah us wakt saki jam pilanay ko na hoga Jab uski may ki nasha hua kire ga Tujhe or kia chahiye ae mere gumnam ARIF Ghalib teri ghazal ka madah hua kire ga

Mera naqsh bhi mittata jaye ha AB to har deewar say mera naqsh bhi mittata jaye ha Phir bhi dil ye deewana apni baat kehta jaye ha Koi tughyani hi nahi is ki awargi main Kaisa darya ha jo chup chap bahta jaye ha Maine tera nam likha tha hawa kay chehre pir Ab har samt tera chahra hi banta jaye ha Maine to kuch bhi nahi likha khud say Mera hath pakar kir koi likhta jaye ha Kaisi may ha kay pi kir bhi pyas nahi bujhti Kaisa saqi ha jo phir jam bharta jaye ha Is dor ki tareeqi main kon zinda ha Har shaks lahasil kay liye marta jaye ha Main chala us asman ki wusaton ko chunay Mere wajdan ka par jahan urta jaye ha Ab to choti hi lage gi tujh ko dunya ARIF Aks uska jo tere dil main utarta jaye ha

At The End I am Shoaib arif and I have done Textile Engineering from National Textile University Faisalabad. Now I am doing job in master Textiles as Asst weaving Manager. My passion was to write poetry from heart right from the very beginning. I can write in Urdu, English and Punjabi. My topic of discussion in my words and in my impressions is passion of ISHQ (Love with ALLAH, Humans and nature). I have written a lot but only very few I am uploading on this site for all of you kind observers to have a view at my creativity… I think my words are not very special and you would find thousands of mistakes in it. But the passion behind it is very special and I feel myself honored to exhibit that passion. If you like or dislike my words you can email me for your queries at [email protected] or you can contact with me on this number 03324706297. I am looking forward for your replies…I am not fond of my appraisal…I love to correct myself…Do share if u find errors..I would love them all. Thank you for bearing my words my dear readers

Related Documents

Irtiqa Ka Musafir
April 2020 5
Anjing Musafir
April 2020 24
Musafir Diseru Terus Puasa
November 2019 20
Pengenalan Solat Musafir
December 2019 1
Panduan Bagi Musafir
May 2020 23

More Documents from "abu abdirrahman"