Insan Aur Os Ki Rohani Taleem

  • Uploaded by: maqsood hasni
  • 0
  • 0
  • April 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Insan Aur Os Ki Rohani Taleem as PDF for free.

More details

  • Words: 860
  • Pages: 2
Insan maday say takhleeq howa jis kay sabab os ki sochain bhi maday say wabasta ho gaein. Es tara Unseen par itbar oth giya. woh koe cheez khareed karta hai to sasti kay sath sath achi pai'dar aur khoob'surat ko bhi mad-e-nazar rakhta hai. Ta'alqaat ki ostawari main bhi yahhi paimana mad-e-nazar rehta hai kah jis say ta'alaq banaya ja raha hai woh kaisa hai aur os say kiya labh othaya sakta hai. Goya soch ka mehwar bhi mada rehta hai. Pojiwar kay moamla main insan bara ehsas waqay howa hai. Woh ossay bhi daikhnay ka khaesh'mand raha hai. Es moqaam par os ki soch teen hisoon main taqseem ho gae: 1- Jo dikhae nahain daita os kay vajood par kaisay kayoon aur kis bonyad par yaqeen kar liya ja'ay. Ird gird kay log eak say hain lihaza onhain pojiwar man lainay ka sawal hi nahain othta. Ashya dastaras main rehti hain lihza ashya pojiwar nahain ho saktein. goya koe pojiwar siray say hai hi nahain. 2- Ambya kehtay hain kah koe pojiwar hai aur ossay daikha nahain ja sakta. Lihaza Unseen God ko tasleem karkay ossay pojiwar qarar day diya ja'ay, es main koe mazaheqa nahain 3- Khoda ka vajood hai aur os ki Existence sifati hawalay say hamaray samnay hoti rehti hai. Pehlay tabqay kay log zair-e-behas nahain hain. Essi tara dusra tabqa bhi mobahas say bahar hai. Yahaan baat seraf taisray tabqay say motalaq hai. Es main Musalmain, Hindu aur Esae dakhal hain: Bohat say Musalman hazraat Allah ta'ala ko 99 sifaat* kay hawala say janta aur penchanta hai aur woh en sifaat ko insanoon main talashta hai. Jahaan kaein kisi main koe sift nazar aati hai wahaan os sift kay hawala say naam bhi day daita hai ta'hum woh ossay pojiwar qarar nahain daita likin os ki izzat, taqreem aur mohabat pojiwar ki si dainay lagta hai. Khayaal karta hai kah woh os ki madi khahshast ko pora kar sakta hai ya Allah say pora karwa sakta hai. Yah mohabat taqreem aur izzat ka jazba aur khayaal os shakas kay marnay kay baad bhi ossi tara baqi rakhta hai. Hindu Allah Ta'ala ki sifaat ko Devtaoon say mansoob karta hai. Chonkh devta nazar main aanay wali cheez nahain hain es liay onhain botoon ki surat main majassam kar laita hai. woh oon botoon ki poja nahain kar raha hota balkah oon say mansoob sift kay hamal davta ki poja kar raha hota hai ya yoon keh lain mutshakal boot kay hawala say os sift kay hamil devta ko pokar raha hota hai. Oom kiya hai yahi? Yahi to hai. Yah toheed kay taqseem nahain par'tu hain ya hain. Insalaak

liay bhi hai. Agar teen eak nahain to kaenat ka chalna mohal hai. Yah apni origan main eak hai aur vidhi kay bagher God ka vajood bai'maeni

hain to baikar ya eak teen main teen apni asal main eak hi ka kay vidhan say isalaak rakhtay aur la'yaeni teharta hai.

Esaeoon kay haan bhi taslees ka falsafa bunyadi cheez hai. Wo eak ko teen main aur teen ko apni haqiqat main eak mantay hain. Musalma hoon ya hindu ya esae yahaan bhi madi hajaat kay hawala say wabasta hotay hain. Koe baita mang raha hai to koe maraz say khalasi . Es tara ki un'haad hajaat os main malavas hoti hain. shaed hi koe aisa ho jo God ko bila hajat man raha ho. Madi shoch asal haqiqat tak rasae say manay rakhti hai. Pojiwar gher madi hai lihaza jism say jori soch os tak ponch nahain sakti. Lihaza Khoda hissoon bikhroon main hota rahay ga. Khoda ki taqseem ossay maday say door na janay day gi. Madi

soch mafaad say zara idhar odhar nahain ho sakati. Goya mara mari aur tashadad amal nahain rok sakay ga. Insan ka khoon essi tara behta rahay ga aur insan ko ki ghalt aur maday say wabasta soch say nikalna opar say koe nahain aa'ay ga. hawala say insan kay batan/rooh ki taharat az bas zarori hai. rooh ki taharat sabab insan ka qatal rok ja'ay ga.

ka os Es kay

Rooh/batan ki taharat maday say wabasta koe bhi band na kar sakay ga. Yah kaam batan ki taharat say wabasta log hi kar saktay hain. Hazrat Pope John Paul Sahib jo na'seraf Esae mazhab kay namenda hain balkah Rohani Paishwa bhi hain. Aisi surat Hazrat Dalae Lama Sahib kay sath hai. Hindu Dhram kay logoon kay haan Rohaniat say wasta logoon ki kami nahain. Agar yah sab es waqt kay Rohani Paishwa Bashar-e-Baibadal Fakhar-e-Isaniat Hazrat Shah Sheik Sufi Dr. Nur-ul-Alam Sahib kay shana ba'shana ho jaein to insan ko maday ki kathoor garift say nikala ja sakta hai aur es tara insan ki asal pojiwar ki janib marajat mokin ho sakti hai. Yah sab Allah kay hazoor surkh'ro ho saktay hain warna her qatl honay wala Qiyamat kay rooz in kay ro'ba'ro poray ghaiz-o-ghossa kay sath khara ho ga. Os rooz Allah ki sakht garfit say koe kisi ko na bacha sakay ga. --------------------------------------------------------------------------------------Asal haqiqat yah hai kah woh un'haad sifaat ka malik hai. Agar os ki sifaat ginti main aa jaein to os par garift mushkal nahain rehti.

Related Documents


More Documents from ""