Hindustani Dunyaan Ki Dosri Bari Zoban

  • Uploaded by: maqsood hasni
  • 0
  • 0
  • May 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Hindustani Dunyaan Ki Dosri Bari Zoban as PDF for free.

More details

  • Words: 605
  • Pages: 1
Hindustani Dunyaan ki Dusri Bari zoban Kal telephone par mairi aur Dr Riaz Majid ki Urdu rasam-ul-Khat ki tabdili kay hawalah say baat ho rahi thi. Oon ka kehna tha kay Urdu kay mojoda khat ko Roman khat main badalnay ki sazashain chal rahi hain. Yah koe aaj ki baat hai, yah to bohat pehlay say ho raha hai. Mein soch main par giya kya aisa ho sakay ga aur yah behtar aqdam hoga?! Es waqt Hindustani, (Urdu+Hindi) jo dunyan ki dusri bari aabadi kay rabtay ki zoban hai kay teen 1- Arabic bara’ay Urdu 2- Dav Nagri baray hindi jab’kah Roman (her donoon, Urdu aur hindi aur dusray bolnay aur samjhnay waloon kay mofeed hai) rasam-ul-khat raej hain aur yah aaj say nahain barsoon say, mustamal chalay aatay hain. Es mozo par guftagu say pehlay eak baat wazay kar Doon koe zoban os waqt tak mar nahain sakti jan’tak: 1- es kay doo bolnay walay mojood rehtay hain 2- eak likhnay aur eak parnay wala mojood rehta hai 3- aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq tabadeel nahain ho jatay En teen baton kay hawala say mein yah kehnay ki positon main hoon kah Hindustani (Urdu+Hindi) ko kisi qisam ka koe khatra la’haq nahain. Urdu kay khat badalnay say kuch nahain ho ga. Roman khat main likhi janay wali zoban seraf kitabi zoban ho gi. Kabi bhi bool chal ki zoban na ban sakay gi. Turki ka mojoda rasam-ul-khat bool chal ki zoban say laga nahain rahta. Turki ka pehaly rasam-ul-khat say mota’alq sarmaya zaya ho giya hai likin Urdu kay sath yah nahain ho sakay ga. Urdu walay oon say mukhtalif zehan kay log hain yah pehlay ko Roman main tabdeel kar lain gay. Pehli baat yah kah Roman khat ko bara’ay bool chal qabool hi nahain kiya ja’ay ga ya kya ja sakta ya es hawala say bai’haad mushkal ka eak arsa tak samna karma paray ga. Urdu 37 bunyadi awazoon par ostawar hai jab’kah aa aur noon ghona ko shamar main nahain rakha jata likin yah aawazain kasrat say estamal main aati hain. En aawazoon kay elava 12 maha paran (bhay, phay thay waghera) tarriban itni hi alamiti awazain (zabar, zair, shad waghera) aur 163 say ziyada morakab awazain estamal main aati hain. Yah surat kisi eak alaqay tak mehdood nahain. Eak aam aadmi Roman khat kay zair-e-asar en aawazoon say kayoon’kar dast’kash ho sakay ga. Angraizi ko 1754 say omomi aur 1835 say khasusi toor par jabri zoban ka darja hasal hai. Kya yah awami maqboliat hasal kar saki hai. Jawab yaqenan naïf main ho ga. Imtihanoon main na’kam honay waloon ki sab say ziyada tadad essi main hamaisha say chali aati hai. .Fazal Din dokandar ya manay pakoroon walay ko es say kya laina daina. Zindgi kay kisi eak shobay main bhi es ko koe moqam nahain mil saka. Log apni zoban aur lehjay main baat karkay ziyada farhat mehsus kartay hain. Roman rasam-ul-khat kay raej ho janay say logoon kay aalat-e-notaq aur moawan aalat-enotaq badal nahain jaein gay. Lihaza es ziman main koe fikar ki baat nahain essay sansikrat ki tara kitabi zoban say ziyada darja hasal na ho pa’ay ga. Ta’hum Dav Nagri khat aur Hindustani (Urdu+Hindi) bolnay aur samjhnay waloon kay mabain tehri rabatoon kay hawala say es rasam-ul-khat ki hosla afzae bura amal nahain. Es pehlo kay elawa bolnay kay ziman main koe khatar’kha natija baramad na ho sakay ga aur yah main baray wasooq say keh raha hoon aur es par her hawala say guftagu ki position main hoon. Roman rasam-ul-khat ka her hami jab chahay mairay sath es ziman main kisi bhi waqt guftagu kar lay.

Related Documents

Bari
November 2019 21
Bari
October 2019 20
Hindustani - Music
May 2020 6
Bari Labour
May 2020 9

More Documents from ""