Her Ghat Par (26 Urdu Poems)
Maqsood Hasni
Her ghaat par
Asar-e-doraan ki her ghaat par Magar’mach Aansu bahatay hain Kah Aag ka darya khoshk na ho Nafrat kay khalyan Siraab hotay rahain
Raksha Khoda par eman na rahay to Bachanay nahain aatay
Aasman say abbabeel
Indhan Daikhta andha sonta behra Saknay ki manzal say door khara Zulm daikhta hai Aahein sonta hai
Bolta nahain Kuch kehta nahain Jahunum main zaroor ja’ay ga
Bai’itnae Ab woh hum say aankh malata nahain Shaed gozaar aaya hai Apni kuch shamain London kay bazaroon main
Manta hoon Manta hoon Lamhoon ki aaghosh main Sab kuch hai Roti nazar nahain aati Wo kahaan hai, Kidhar hai?!
Anjaam Soqraat say mard-e-haq ki Dafan say pehlay Aankhoon main daikha Shakwa tha na koe shakaet Ek nasiat zaroor thi Maira anjaam daikh lo Kisi ko nasiat na karna
Khaghaz ka tokra Wo tasveer Jo mairay khoon-e-jigar say moratab hoe thi Ashkoon main dobi Keh rahi thi “Papa jahaiz” Os kay hath main Kaghaz ka eak tokra bhi tha
Shirini Shehad ki makhi say mein nay pocha Kalyoon ka ras tum chosti ho kis liay Boli, Tairay taraz-e-kalaam ki Shirini kay liay
Takalaf Dastanay pehantay thay Agalay door kay qatil Maira qatil Es takalaf main nahin parta
Majboor Oother ki Chiryoon ki conch main Bai’bas ho kar Azeem Asia Sisak raha hai Olajh raha hai
Zad main Sonay nahain daity Raat bhar machar Subh makheyaan Hukam’raan hoti hain Bimarioon ki zad main Aa giya hai Insan aaj ka
Kaisay Sajda say sar othata kaisay
Kamar par mairi Khoda-e-Arz-o-Marikh ka Moqadas paoon tha
Ala’aj Tabibo! Ghairat otaro
Mairi ragoon main Maslihat gazida hoon mein
Shagan Jahaiz ki chita pa Ek masoom larki Joor rahi thi Hina lagay hath
Jahil Ilm os ka dost Science os ki baandi Magar Aankhoon ki zoban Kab samjhta tha woh
Zara socho to Maghrab kay asiro! Zara socho to Donoon kiray sahi Machar apni fitrat main Jognu ho nahain sakta
Mohafiz Hath ko jumbash na rahay to Loot laitay hain aksar Raksha ko aa’ay hath
Harkat Bai’chint gozar ja’ay Wo zindgi, zindgi nahain
Khushi Doo laenain Khushi ko day raha hoon Jo kabhi Ras na aae mujh ko
Hathoon hath Os hotal kay Basi khanay Bai’zaeqa cha’ay Nakammi sharaab Bik jati hai hatoon hath Bara hotal honay ka Os ko sharaf hasil hai
Mehromi Mahboob ko pehlu main baitha kar Mehar-o-mah ki kirnay chora kar Aaftoon say door Pashmaan khayaloon say aazad ho kar Meh’kaday kay bich Saqi kay ro’ba’ro Mehromi par ek nazm likhnay ko tha Saqi nay mairay hissa ka jaam Mairay raqeeb ko thama diya Muskaraya bhi nahain Kah mein samjhta Pehlay mehman nibaya kartay hain
Zarorat Apni qabaein otar doo Tumharay tan ko En ki zarorat nahain Zamini khoda nay Sorakh-o-safaid maimain bajwa di hain Tum ko en ki hi zarorat thi
Agar mein yah keh doon
Agar mein yah keh doon Doo aur doo 9 hotay hain to Es main ghalt kiya hai Magar tum kab mantay ho Science nay taraqi kar li hai Doo aur doo taraqi pa kar 6 ho gay hain Teen jo reh gay hain Shamil ho jaein gay Waqt Inhain kayoon nazar’andaz karay ga
Tazaad Aankhain band thein Raam ka naam zoban par tha
Aastein main koe bool raha tha
Taraqi Tariki mehman bani ojaloon ki
Dar’haqiqat Nind na aanay say Kuch faraq nahain parta Nind main dar jata hoon Jagtay main Haal ki talkhiyaan Khoof-e-farda
Pashaiman rakhta hai Hiqiqat main Yah eak hi mosam kay doo naam hain