First Four

  • October 2019
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View First Four as PDF for free.

More details

  • Words: 591
  • Pages: 2
acchi lage to daad dena(daad- khaaj -- khujali wali nahi ...shabbashi wali ) aur agar pasand na aye to jhooti tareef kar dena ... bahut hua .. ab ye padh lo ...

kyun rakhun main ab apni kalam main syahi , jab koi arman dil main machalta hi nahi , na jane kyon sabhi shak karte hain mujh par,jab koi sukha phool meri kitab se nikalta nahi, kashish to bahut thi mere pyar main magar, kya karun koi patthar dil pighalta hi nahi, kash aisa hota - kash waisa hota , par is kismat par kisi ka zor chalta nahi, lakh baharen aa kar chali gayin ,par mere chaman main koi phool khilta nahi, lakhon daag hain to kya hua ,chand kabhi chandani se jalta nahi, agar mile khuda to usse apna pyar mangunga, par kehte hain woh marne se pehle kisi se milta nahi, i wont lie ... pehla sher "kateel shifai" ki nazm se prerit hai tc & have a great day ahead !!!!!!

******************************************

khuda chahe kuch bhi le le mujh badnaseeb se, bas sile main teri surat dikha de mujhe kareeb se, is kadar choor ho chuka hai dil mera bikhar na jaun dar lagata hai halki si naseem se, is kadar tanha ho chuka hoon duniya ki bheed main, ki ab dushman bhi dushmani nahi karte mujh waheed se, har baar dua main kuch na kuch mangata hoon, par khuda kuch na kuch le hi leta hai mujh gareeb se

(pata hoga phir bhi ....) naseem = hava ka jhonka waheed - alone *********************************************** sochta hoon tumko har pal, tum yaad mujhe na ao kabhi har baar tumhen koi na koi kaa hota hai,

kaash hamen tum yun hi bulao kabhi mere saare gham khushiyon men badal jayenge, lehra ke mere liye jhoom ke muskurao kabhi aazmaish ho hamare andaaz-bayan ki bhi, hamen apni mehfil main khuloos se bulao kabhi shamil ho jaunga tumhari zindagi ke har zarre main, mujhe apni tanhaiyon se milao to kabhi log kehte hain patthar dil hoon main, apni sadaon se mujhe rulao to kabhi de doonga aapni sari duniya tumare hawale, tum ummedon ke haath meri taraf failao to kabhi qayamat se pehle qayamat barapane ka jigar rakhta hoon, aapni mushqilon main mera hausala aazmao to kabhi!!! ****************************************************** teri aawaz ke kayal hain sabhi,main teri khamoshi se pyar karta hoon, nazdeekiyan shikve lati hai kayi, main to bas dooriyon pe aitbaar karta hoon, jawani pe kharch karke dekha lakhon karodon, bachpan phir se mil jaye ,dil-o jaan nisaar karta hoon, kehte ho apne gham ko diriya-e-bebasi tum, aise dariya to yaron main roz paar karta hoon, toota hua dard- o- jahan se mera ye badan hai, maa ke narm hathon ko yaad beshumaar karta hoon, har baar maine joda ,tune ,har baar tod dala, bhula dunga tujhe ab to phir jhoota qaraar karta hoon, tere " teer-e- nazar se ",ghayal hoon ,har waqt main tadapta, tum kyon nahi tadpte, main bhi to waar karta hoon, apne har zakhm ke liye sharminda khud ko hi main hoon pata, jab bhi bayan-e haal -e- dil tujhse main yaar karta hoon, ye main hi janta hoon, guzara hoon main kis gadar se, yaron! tum pe aisi kabhi na guzare ye dua baar baar karta hoon, tum khud ko kuch bhi samjho par main bhi kam nahi hoon , na nazar aaun to chain nahi ,dikh jaun to beqaraar karta hoon, chupti nahi nafarat ki aag se pyar ki shabnam kabhi , aaj bhi tere sapnon mein ,main khud ka deedaar karta hoon, ***********************************************

Related Documents

First Four
October 2019 29
First Four Pgs.docx
December 2019 15
Pandora First Four Chapters
December 2019 22
Four
May 2020 39
Four
April 2020 50