Eak Karwa Sach

  • Uploaded by: maqsood hasni
  • 0
  • 0
  • April 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Eak Karwa Sach as PDF for free.

More details

  • Words: 930
  • Pages: 2
1

EAK KARWA SACH Musbat ekhtalafaat fikri balidgi kay liay yaqenan baray kaam ki cheez hain. Eslah-e-ahwal kay liay en ki mojodgi baray kaam ki cheez hain. En hi kay hawala say tameez-o-imtiyaaz ki surtain samnay aati hain. Insan ki baad’qismati yah hai kah insan sadyoon say taqseem dar taqseem kay amal say gozarta aa raha hai. Es say bari baad’qismati yah hai kah yah amal din ba din bharta hi chala ja raha hai. Mafad parast anasar inhain mazeed brha rahay hain. Natija-e-kar insan ka laho bay’waqar ho giya hai. Insan mehaz in kay hath ka khilona ho giya hai. Jab okta jatay hain toor phoor kar phank daitay hain. Aakhar yah sab kiya aur kayoon hai????? Ehsas tabqay na’seraf es par ghoor kartay hain balkah dukhi bhi hotay hain aur wo khud ko bay’bass samjhtay hain. Aman aur insani sakoon kay liay apni se kosheshain bhi kartay hain. Mafad parast tabqay aman aur sakoon kay kayam kay liay talwar otha rahay hain. Jan’kah haqiqat yah hai kah bay’sakoni kay wo khud zima’dar hain aur raad’amal ko khatam karnay kay liay gilay sokay sab ko ragra diya jar aha hai. Wo khud ko mehfooz karna chahtay hain hain. Wo jantay hain bil’aakhir moot oon ki ho gi. Chinay ga’ay wasael wapis chalay jaein gay. Ansted University kay bani member Dr. Roger Haw samaji zimadari ka ehsas karnay aur nibhanay kay hawala say kaam kar rahay hain jab’kah Dr. Adam B. Bodomo samaji sanjhoon kay hawala say apnay hisa ka kirdar ada kar rahay hain. Mairay nazdeek her doo omoor kay sath lisani mamaslatoon aur wahdatoon ko talashnay ki bhi zarorat hai. Goya aman sakoon aur wahdae-einsani kay liay in tinoon omoor par bhar’poor kaam karna aaj ki pehli tarji qarar pae jani chaheay. Es tara insan taqseem dar taqseem kay amal say najaat pa sakta hai. Ba’surat digar aatay kal ka insan, insan nahain darinda ho ga. Bawar rehna chahiay aatay door ki shabashi ya lanat, gozray door kay sar aati hai. Yah baat itni bareek aur mohbam nahain jo insan ki samjh main na aa sakay. Adaray shah kay gamashtay hotay hain aur her acha bora os ki khush’nodi kay liay sar’anjaam daitay hain. Onhoon nay kabhi aur kisi bhi door main logoon kay liay kuch nahain kiya halankah wo logoon ki behbood kay liay qiyaam main aatay hain. Shah aur os kay adaray hamaisha say awaam ki jaib ka bojh rahay hain. Jab tak insan samjh nahain jata bojh rahain gay. Logoon ki mehnat ki kamae par shah aur os kay gamashtay aish ki gozartay rahain gay. Logoon ko chota gosht daikhnay ko naseeb nahain hota likin shah ki moqadas ga’ay ko haftay main doo bar mayasar aata hai. Ajeeb andhair hai mehnat karnay waloon ki izzat karnay ki baja’ay onhain shah ki gholami karnay par majboor kiya jata hai. Inkar ki surat main in ki gardanain jisam ka hisa nahain rehtein.

2 Mein samjhta hoon es main shah aur os kay ghamashtoon ka koe qasoor nahain. Yah sara qasoor in mehnat’kashoon ka hai. Yah moti se baat aakhar aaj tak in ki samjh main kayoon nahain aae. Dunyaan ki sari laraeaan shah kay liay lari gae hain. Warna aam admi ka kisi dosray molak kay aam aadmi say kiya masla hai. Dunyaan kay her khitay ka aam admi kayoon nahain daikhta moamla shah ka hai lihaza wo jananay aur os ka kaam janay. Os ki madad aur ta’avan kaisa. Sarkain bana raha ho, hospital tameer kar raha ho, yatimoon kay liay koe project bana raha ho koe bhi kaam jo insan kay liay faeda’mand ho to es hawala say madad ka jawaz nikalta hai. Aisa koonsa adara hai jahan say aam admi ko faiz mil pata hai. Darkhast dahinda hi ko dhar liay jata hai ya phir wo insaf ki hasoli kay liay airiaan ragar ragar kar mar jata hai. Molvi pandat, padri waghera kabhi danista aur hamaisha adat say majboor insanoon ko taqseem kartay rehtay hain. Barah-e- rast na’sahi yah bhi shah kay madad gar hain. Mein kehta hoon hindo, muslin asae, yahodi, sikh waghera say pehlay her koe insan hai. Yahhi kora-e-arz par os ki shanakht hai. Es kay baad hi os ki koe sanvi shanakht aati hai. Ba’toor insan, insan ko insan kay qareeb’tareen hona chahiay. Apnay masael khud say hal karay. Apni zaroratain khud say pori karay. Dukh main eak dosray ka kaam aa’ay. Insan, insan ki khud say hifazat ka zima lay. Essay shah aur os kay gamashtoon ki zarorat hi nahain rehni chahiay. Jab insan, insan kay qareeb aa ja’ay ga to koe masla hi baqi na rahay ga. Aaj insan ko shah aur os kay gamashtoon ki zarorat nahain hai. Insan ko insan ki zarorat hai. Shah aur os kay gamashtay badi ka khoda hain. inhain taiyagnay ki zarorat hai. Insano aao shah aur os kay gamashtoon ka galap choro aur apni madad aap kay asool ekhtayaar karo. Mein yaqeen say kehta hoon in say tomhain kabhi kuch nahain mil pa’ay ga. Yah apna olu sidha karnay kay siwa kuch nahain jantay aur nahi janna chahtay hain. Aaj kay halaat main ehal-e-dard aur ehal-e-danish ka faraz hai kah wo insanoon ko eak dosray kay qareeb laein. Insan ko taqseem kay her harbay say bachanay ki sae karain. Samaji aur lisani sanjhoon ko talash kar dorioon ko nazdikioon main tabdeel kiya ja sakta hai. Shaed oon ki kosheshain insan ko shah aur os kay gamashtoon say bacha sakain. Mein janat hoon yah bara karwa sach hai likin es ko janay bagher aman aur sakoon ka sans nahain liya ja sakta.

Related Documents

Eak Karwa Sach
April 2020 17
Karwa Such
April 2020 26
Sach
November 2019 19
Eak Nadar Masavda2
April 2020 12

More Documents from "Sharafat ali"