Eak Jinsi Khilona

  • Uploaded by: maqsood hasni
  • 0
  • 0
  • May 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Eak Jinsi Khilona as PDF for free.

More details

  • Words: 1,259
  • Pages: 3
A Sex Toy Hum jo daikh rahay hotay hain, zarori nahain apni haqiqat main ossi tara say ho jis tara say hum daikh son ya mehsus kar rahay hotay hain. Shakhas aur os kay baz kamoon ko samjhna itna aasan nahain hota. Shakhas to kaenaat ka eak makhfi raaz hai jissay daryaft karna abhi baqi hai. Hamara raad'amal daikhay sonay ya mehsus kiay kay motabaq hota hai. kisi baat ya moamlay ki asal tak rasae kay bagher raad'amal boray ya bar'aks nataej ka hamil ho sakta hai. kisi shakhas kay kahay ya kiay ki asal tak rasae ka eak zareya body language ka janna bhi kar'aamad hatyar hai. Cehra insan kay batan ka aaena hota hai. Yah insan kay andar ka haal ahwal chopnay nahain daita. Dukh kay moqa par shadeed dukh ka izhaar batni bhi hai ya meaz dikhawa hai, chehra parnay kay baad poshida nahain rehta. Qehqahay moskarahatain aur khushi asli hai ya naqli, insan ka cehra wazay kar daita hai. Inter-net par Jahan tamam aloom-o-fanoon kay motalaq chizain wafar mil jati hain wahan date sites bhi bai'shamar mojood hain. Mujhy en date sites ko qareeb say daikhnay ka itafaq howa hai. Yah sites Rosi khatein say motalaq hain. Mein nay bohat sari khatein kay cehroon aur oon kay messages ka bari bareek'bini say motala kiya hai. Mein apna motala yahan bari eman'dari aur pori zima'dari say paish kar raha hoon: Orat khof'nak haad tak tanhae ka shakar hai. Bai'chargi baibasi aur baikasi aazadi kay naam par os kay hawalay kar di gae hai. Dar, khoof, haras, khadsha, bai'yaqini, mausi, andaisha aur la'yaeniat ki qaid main moqayad ho kar reh gae hai. Adam tahafaz ka bori tara shakar ho gae hai. Ossay apna aata kal kho giya mehsus hota hai. Woh andhairoon ki qaid main hai. Os kay aagay pichay kuch bhi nahain. Jis kay natija main os ki jinib say teen tara kay rovaeay samnay aa'ay hain: 1- Os nay apni zaat say intaqam laina shoro kar diya hai. Khud aziyati say ossay sakoon milta hai. 2- Nashay main kho kar tamam talkhioon ko bhool janay ki na'kaam sae main masroof hai. 3- Kae rang roop ekhtayaar karkay apnay tashna-e-takmeel khaboon ki tabeer hasil karnay ki koshesh main masroof hai. Rosi khatein kay hawala say mairi samjh main teen batain aae hain: a- Afghanisstan ki jang main marnay walay mardoon kay manfi asraat abhi khatan nahain howay. b- Mard zehni aur jismani toor par kamzoor par ga'ay hain. c- Oratoon ki shara-e-padaesh main azafa howwa. Kuch logoon ka kehna hai kah yah oratain adi ho gae hain. na'ay mardoon say jinsi malaap ka chaska nashay ki si surat ekhtayar kar giya hai aur ab en ka koe alaj momkin hi nahain. Yah essi tara hi rahain gi. Chon'kah yah na'qabal-e-etamad hain aur yah eak mard par ektafa na kar sakain gi lihaza inhain jiwan sathi banana hamaqat say ziyada nahain. Yahaan maira eak sawal hai kah yah oratain mard kay bagher jinsi taskeen hasil kar laiti hain?! Yaqenan nahain,

Aisay main en oratoon say jinsi milaap karnay walay mardoon ko kiya kahna chahiay?! Kiya woh bhi adi ho gay hain? Goya tali eak hath say nahain donoon hatoon say baj rahi hai. Es hawala say mein ba'toor mard, mardoon ki kisi qisam ki waqalat kay liay raza'mand nahain hoon. Maira es baat par esraar hai kah mard ki khud'kharzi kay hawala say orat tanha ho gae hai. Aaj donyaan ka her mard Dallar kamanay ki fikr main hai. Es kaam kay hawala say woh sab samaji-o-akhlaqi taqazay bhool giya hai.Orat os kay liay shay say ziyada nahain rahi. Aisi shay jo estamal kay baad os kay liay na'kara ho jati hai. Orat shay nahain, shakas hai. Shakas aur shay main zamein aur aasman ka faraq hai. Orat ko tahafaz aur khush'kon mostaqbal ki zarorat hai. Ossay eak mostaqil sathi chahiay ta'kah: Ossay mostaqil toor par jinsi taskein ki saholat mayassar aasakay. Os ki moashi zaroratain pori hoon. Os kay bachoon ka koe baap bhi ho aur bachoon kay mostaqbal kay liay fikar'mand ho. Koe aisa bhi ho jo os ka apna ho aur jis say woh apna dukh sukh bant sakay. Koe aisa bhi ho jis say woh tovaqaat wabasta kar sakay. Koe aisa bhi ho jis say woh piyar karay. Ghagra karay. Os kay naz nakhray othanay wala os ka apna ho jis say apnay reshtay ka ta'araf kara sakay. Bai'chint ho kar olaad ki parwaresh kar sakay. Yah bhi sonnay main aata hai kah yah to orat ki aazadi hai. Ha'ay! yah kasi aazadi hai jis nay shakas (orat) ko sex toy, aish aur aaraesh-o-namaesh ka zariya bana kar rakh diya hai. Bhok bhi bohat bar bala hai. Bhok shakas ko jaez na'jaez akhlaq gher'akhlaq asool aur gher'asool say kosoon door lay jati hai. Bhok kisi ki dost nain. Es ka hal roti aur seraf roti hi hai. Ghaliban bhok bhi orat ko es janib lay aae hai. Jis kay natija main woh darust aur na'darust ko bholnay par majboor ho gae hai. Jinsi lutaf'andozi kay liay to her mard midan main aa jata hai likin jiwan sathi bananay kay liay koe taiyar nahain. Wahan wazay'dari aaray aa jati hai. Inter-net par jism faroshi kay aday khol gay hain. Orat ko kamae ka zariya bana liya giya hai. Es karobar kay malik sharif izzat'day aur mohtaram fard hain. Hamaray haan en kay liay lafz "dalla" oon kay kaam ko "dalla'giri" aur hasil honay wali kamae ko "dalali" ka naam diya jata tha. Yah society kay ghaleez tarein aur ghatya qisam kay log samjhay jatay thay. Oon ki izzat -0 thi. Daikhna yah hai kah: yah oratain aazad ho gae hain ya ayash ho gae hain ya jism faroshi ki adi? Yah sab kuch essi tara say chaltay rehna chahiay? Kiya orat ko baibas, majboor aur tanha choor daina chahiay? Kiya orat ka essi tara sex toy banay rehna thek hai? Sawal yah bhi othta hai: Es qisam ki oratoon ki kokh say janam lainay wali olaad jo baap kay bagher parwan charay gi, aatay kal ko os ki shaksiat adhori na reh ja'ay gi? Aakhir en sawalaat par koe ghoor karnay ko kayoon taiyar nahain. Bai'waqar, ehtaram say mehroom kamae ka zariya, eak shay, aur sex toy say khir ki towaqo

hamaqat nahain???????? 14 soo saal pehlay Islam nay 4 shadioon ki ijazat di. Es ijazat ka koe to maqsad aur jawaz ho ga. Allah ko ilm tha kah mard orat ka ginti main tawazan bigar ja'ay ga. Es tara oratoon ka ghar ba sakay ga aur onhain samaji moqam hasal ho sakay ga. Eak bazari aur chalti orat ka moashray main bhala kia moqam hai. Yah bji kah onhain tahafaz mayassar aa ssakay ga? Adyaan, khasusan Islam nay orat ko izzat ehtaram aur tahafaz diya hai. Olma-eadyaan ko eak say ziyada shadioon kay moamla main khul kar aur ossi tara say baat karni chahiay jis tara say baat karnay ka haq hai. Es tara fahashi kay darwazay band ho sakain gay. Fahashi kharabioon aur boraeoon ki jar hai. Es kay sabab zindagi ka tawazan bigar raha hai. Orat, orat kay liay dil bara karay ta'kah orat ko sex toy honay say bachaya ja sakay aur woh por'itmad mata/maan sabat ho sakay. Yahhi nahain orat ki shakhsi anna ko tahafaz faraham kiya ja sakay. Es ehad kay Azeem Rohani Paishwa aur Qaid Hazrat Alama Shah Sufi Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib say mairi iltamas hai kah woh es maslay ki janib sanjidgi say tovajo dain aur koe manosab aur maqool lahya-e-amal teh farmaein.

Related Documents


More Documents from "maqsood hasni"