mere dil ki daastan dedicated to the girl i loved most... and who left me
mujhe doston ne itna samjhaya ki itne pyar mat kar usse, par chahat mein itne doobe the hum uski ki hum khud ko pyar karne se rok na sake. sabne kaha ki dhokha milega pyar mein aabhi bhi sambhaj ja, par pyar mein fisalne se khud ko rok na sake. mila dhokha pyar mein hame maafi mangi usne hamare dil se khelne ki, par dimag k laakh mana karne par bhi hum aapne dil ko usse maaf karne se rok na sake. doston ne kaha ki aab to usse bhula de aur khuda se aapne liye kuch maangle, magar maangte the jisse har pal hum khuda se. aaj usse chhood hum khuda se kuch aur maang na sake. chaha to tha ek pal ko ki mujhe maut aajaye kaash ki meri zindagi yahin khatam aajaye. fir khayal aaya mere saath aur bhi zindagiyan judi hain mein na raha to kya hoga unka, to kuch zindagiya bachane k liye hum mar bhi na sake. aaj kehte hain dost mere ki mein khushi se ji raha hoon aapni zindagi, par maine duniya k liye chehre pe hassi ka maukhata lagaya hua hai kyon ki aaj bhi hum usse bhula na sake. don't do love