Aakhri Gozaresh

  • Uploaded by: maqsood hasni
  • 0
  • 0
  • April 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Aakhri Gozaresh as PDF for free.

More details

  • Words: 367
  • Pages: 8
Aakhri Gozaresh

Maqsood Hasni

Aakhri Gozaresh Maan tairi hasti

Kitni azeem hai Hamala ki bolandioon say Boland’tar “tu damun nachoor day To fareshtay wazo karain” Jivan jab bhi satata hai Dard koe jab bhi othta hai Taira pak lamas Sakoon bakhshta hai Tairi somondar si shafeeq aankhain Nadamatoon ko bhi Apnay affo ki aaghosh main sama lain Mohabat say jidhar daikhy Khoda ki rahmatain machal machal parain Kah Paimanay bhi ma’azoor hoon Somondar ki tehoonka Kab kisi nay soragh paya hai?! Maan, Mairay Hazoor tairay qadmoon main Oqba ki sar’bolandi batatay hain Tairay aanchal main

Rahatoon kay khazinay Tairi nigahoon main Hormatoon kay safinay Tairi bahoon main Barkatoon kay sab qarinay Kaenaat ka her rang, Tairi mohabatoon ka rang hai Jahaan fareshtoon ka soch dhang hai Jo tujh say phira Hayat os par tang hai Taira vajood hasti kay liay Khoda ka hosein tohfa Tairi shafqat kay jab saghar chalkatay hain Sadyoon ki piyas Saraab ho jati hai Yaas kay andhairoon main Soraj taira ek mitha bool Kiya likhoon, Khama baibas, Lafz hiran-o-pashimaan Jahaan ibtada ka ho ekhtataam Wahaan tairay taqadas ka aaghaz hota hai

Soch ki parwaz Sitaroon say gozar jati hai Zoban main loknat aa jati hai Ab tairay bachoon kay pas Kuch nahain raha Janti ho, Tairay bachay tujhy kiya kehtay hain Keh doon?! Qalam kab gustakh howa hai Tairi hormat par Yah mar mitnay walay thay Ab taghiar kayoon? Tairay sinay kay Sheer-e-zam zam say Yah mehroom howay hain Sinay kay hosn ki shagoftgi ki khatar Shaed tum nay Botal ka dudh inhain palaya ho ga In ki ragoon main Agar taira dudh hota Yah khalaft-e-Arzi kay Sheh’Sawar hotay In ki dehshat say Zulm kay somondar

Khoshk ho jatay Tairay bachay bai’karaan ho jatay Kuch bhi nahain raha Tahi’dast hain Maan, Asar-e-hazar ko Insanoon ki zarorat nahain rahi???? Khokhlay dhanchoon kay saharay Kab tak, Yah ji paein gay? Mairi tum say iltaja hai Mairay ehhad ko bhi Apnay dudh say labraiz Tipu Day doo Kah aati nasloon ko Taira yah tohfa Marnay say bacha lay ga Es ehhad ko na’shi Apnay taqadas hi ko Yah tohfa nazar kar doo Kah mein Tari hasti ko

Yoon paemal hotay nahain daikh sakta Nahain daikh sakta

Related Documents

Aakhri Gozaresh
April 2020 13
Gozaresh
November 2019 1
Gozaresh
May 2020 2
Aakhri Dhruv
July 2020 9
Aakhri Nabi
July 2020 9
Aakhri Khutba
May 2020 30

More Documents from "Waris Husain"