Sms Mohabbat

  • November 2019
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Sms Mohabbat as PDF for free.

More details

  • Words: 5,952
  • Pages: 21
- kab dil uski yaad mein chur nahi hota, kab us se milne ko dil majbur nahi hota, ye sach hai zindagi mein dil usi ka tut ta hai, jiska koi kasur nahi hota...

-woh mil jatay hain kahani ban kr.. dil main bas jatay hain nishani bn kr.. jinhain ham rakhjtay hain apni ankhoon main.. kiyun nikal jatay hain wo pani bn kr.

ik zara si bhool khata ban gayi, meri wafa hi meri saza ban gayi, dil liya aur khel kar tod diya, hamari jaan gayi aur unki adaa ban gayi!!! jaane kya zamana chahta hai, mera dil todkar mujhe hasana chahta hai, jaane kya baat jhalakti hai mere chehre se, har shaks mujhe aazmana chahta hai!!! -jab teri dhun mein raha karte the, hum bhi chup chap jiya karte the, aankhon mein pyaas hua karti thi, dil mein toofan utha karte the, log aate the ghazal sun ne, hum teri baat kiya karte the,

sach samajhte the tere waadon ko, raat din ghar mein raha karte the, kisi viraane mein tujhse milkar, dil mein kya phool khila karte the, ghar sajane ke khatir, hum tera naam likha karte the, kal tujhe dekh yaad aaya, hum bhi kabhi mohabbat kiya karte the!!!! barsat aye aur zamen gili na ho,dhup nikle aur zamen pili na ho,phir tumne kaise soch liya tumhare yad aye aur ankhe gili na ho. khayal aapka ata hai to soch lete hai, darad aakhon me aata hai to ro lete hai,need to aati hi nahi, khayalo me aap aaoge yahi soch lete hai...... aansu aa jate hai ankhon mein rone se pehle, har khwab tut jate hai sone se pehle, ishq hai gunah ye to samajh gaye, kaash koi rok leta ye gunah karne se pehle.

-

aansuo mein raatbhar rona pada

, tere milan se to haath dhona pada , tera milna tha khwaab mera ; khwaab laane ke liye sona pada� aaj hi teri yaadon ko nikaala hai dil se socha bhulaa doongi tumhe hamesha ke liye aa jaana tum mujhe yaad fir kabhi raatbhar rotee rahi tere gam mein aaj hi aansoo sukh gaye aankhon ke tum fir se roolaa dena mujhe fir kabhi apne jazbaaton ko sambhaala hai maine aaj hi badi mushkil se inn jazbaaton ko ab mehsoos nahin karna mujhe iinke saath tum khel lena fir kabhi jaao tum, akela chod do mujhe aaj hi tanha jeene ki aadath lagi hai meri iss aadath ko tum bigaad dena fir kabhi - kisiko chahte rehna koi khata toh nahi har chahar puri ho, yeh rab ki ada toh nahi ummid se hi roshan hai saara jahaan har ummid ka pura na hona koi sazaa toh nahi - baat din ki nahi, ab raat se dar lagta hai... ghar hai kaccha mera, barsaat se dar lagta hai... tere tohfay ne to bas khoon ke aansoo hi diye... zindagi ab teri saugaat se dar lagta hai... pyaar ko chhod ker tum aur koi baat karo... ab mujhay pyaar ki har baat se dar lagta hai... meri khaatir na wo bandnaam kahin ho jaein... iss liye uski mulaqaat se dar lagta hai... - hur zakhum ko seenay peh saja laite hein, her dard ko hum dil mein basa laite hein, tum pholoon peh soutay ho tu dukhta hai badan - e khuda aaj ye faisla karde, use mera ya mujhe uska karde. bahut dukh sahe he maine, koi khusi ab toh muqadar karde. bahot muskil lagta hai usse duur rehna, judai ke safar ko kum karde. jitna duur chale gaye woh mujhse, use utna kareeb karde. nahi likha agar nasib me uska naam, to khatam kar ye zindagi aur mujhe fanaa karde

- dhoka diya tha jab tum ne mujhe, dil se main naraaz tha, phir socha ki dil se tumhe nikal dun, magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.....

-usko kya saaza dun jisne muhabbat mein humara dil tor diya gunah to humne kiya jo uski baanton ko muhabbat ka rang diya - koyi chiz hai meri khoyi hui si, sapno ki duniya hai soyi hui si, na jao yaar mere in hoto ki muskuraahat pe ye nami aakhen hai meri kuch royi hui si

- khubsurat hai zindagi khwaab ki tarah, jaane kab tut jaye kanch ki tarah, kisi mod pe mulakat ho gai hamari to ankhen mat modna anjano ki tarah - "badi asaani se dil lgaaye jaate hain par badi mushkil se waade nibhaye jaate hain le jaati hai mohabbat un raaho par jaha diye nahi dil jalaaye jaate hain " - gila aap se nahi koi, gila hum apni majbooriyon se karte hain. aap aaj hamare karib naa sahi..... mohabbat to hum aapki dooriyon se bhi karte hain. . - pyaar karne waala zindgi bhar kuch nahi kehta... pyaar karne waala zindagi bhar kuch nahi kehta ... k dariyaa shoorr.. karta hai., samandar kuch nahi kehta..!!!! - hum khaak zameen ki hoke, us chaand ki hasrat kar baithe, wo cheez khuda se unchi thi, hum jisse mohhobat kar bethe. - u unki sawari chali laga gulsan main

bahar chali wo dekho khune arman ki mahandi lagaye hua ban k dulhan mohabbat hamari chali

-kuch khwab khwab reh jaate hai kuch sapne adhure reh jaate hai chahat ka wada, wafa ki kasmein kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai tujhse milna, tujhe paane ki aarzoo kuch khwahishein hasratein reh jaati hai tere saath bita waqt, tere sang guzre lamhe maazi k faqt yaadein reh jaati hai. -apni aakhon ke samunder main utar jaane de tera mujrim hoon, mujhe doub ke mar jaane de zakham kitne teri chaahat se mile hain mujhko sonchta hoon kahoon tujhse, magar jaane de yeh bhi aadab hamare hai, tumhain kya malum hum tumhain jeet ke harey hain, tumhain kya malum ek tum ho ke samajhte nahi hum ko apna ek hum hain ke tumhare hain, tumhain kya maalum -yehi wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se safeena doob raha hai, to koi baat nahi rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi kise majaal kahe koi mujh ko deewana agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi - ek kasak dil ki dil mein dabi reh gayi...zindagi mein unki kami reh gayi...itni ulfat ke baad bhi wo mujhe na mile...shaayad meri ulfat mein hi kuch kami reh gayi... - mere janaje mein tu mat aana meri mahoobat ki tohin hogi main hoonga char kandho par or meri mehbooba pedal hogi.......... -e kalam jara adab se chalna

mahoobat ka paigaam hai... teri noke ke niche, mere dilbar ka naam hai. -ehsaas bohut hoga jab chalay jaingay, rona chahoge magar aansu nahi aaingay, jab sath na dai koi too awaz humain daina, asmaan par bhi hoon toh loot aaingay - zaruri nahi ki jeene ka koi sahara ho, zaruri nahi ki jiske hum ho vo bhi hamara ho. kuch kashtiyan doob jaya karti hain, zaruri nahi ke har kashti ke naseeb meinkinara ho��. - woh chand hai magar aap se pyara to nahi, parwane ka shama k bin guzara toh nahi., mere dil ne sunni hai methi si awaz, kahin aap ne humain pukara toh nahi.......????? - wo tum hi na the jo kaha karte the ki milenge har mod per pe har dawaje pe piche...... or ek tum hi na the mere janaje ki piche...... girl-boy... haa wo main hi thi jo kaha karti thi ki milenge har mod pe har darwaje ke piche..... per tum hi palat ke nahi dekha ek or janaja tha tumhare janaje ke piche.........

- main lafzon main kuch izhaar nahin kerta is mutlab ye nahin kay main tujse pyar nahin kerta... - hume bhi pyaar hai....!!!!! jab kisi ke sapne kisi ke armaan ban jaye, jab kisi ki hasi kisi ki muskaan ban jaye, bepanaah pyaar kehte hai use, jab kisi kisaanse kisi ki jaan ban jaye.....

-zindagi mein padta hai, har kayi baar waqt bina bhi jeena

har kisi ko jina dard pina padta hai, itna majboor kar deta hai, ki apni jaan k padta hai!

-

kya kahen aab, tumse aykin nahi karoge, sirf humm hi pyar nahi hai apse humare assun bhi aap hi pe marte hai duniya ke samme tho chup zate hai bas aap ki panaho mai nikal padte hai

- jab tum mile tho jana, pyaar kya hota hai jab tumne chuva tho samja ehesas kya hota hai

khusiya mili humme tumse tho kaise kahen aab tumhi se jaana ke dard kya hota hia - ishq junnon jab hadse badha jaye, aashiq haste haste suli chad jaye, ishq ka jadoo sar chad kar bole, khoob laga lo pehere rasste rab khole! - na pyaar karo kisi se dil kho doge unki ek galti pe roo doge is dard se tho khuda bhi n aubhar paya tum ubhar payo tho humme bhi sikha dena

-tarasti nazron ne harpal aapka deedar manga, jaise amavas ne har raat chand ko manga, ruth gaya woh khuda bhi humse, jab humne apni har dua me aapka saath manga... -mere marne ke baad mere jalne se phale aaye yaaro ! mera dil nikal leena kahi is me rahne wale ne jal jaye -hawa mein saans chali gayi saza mein aas chali gayi mehsoos hui itni mujhe paani ki pyaas chali gayi jis dava ki chah thee itni mujhe woh dua bhee aaj chali gayi mohabat ibadat hoti hai kabhi thee paas chali gayi -jisne humko chaha,use hum chah na sake. jisko chahte the,use hum pa na sake. yeh samjhlo k dil tootne ka khel hai, kisi ka toda aur apna bacha na sake. -aankhon mein aake ruk jate hai aansu. palko pe aake ruk jate hai aansu, dil to bahut karta ki inhe beh jane du. par apko hasta dekh sukh jate hai ye aansu.. - yaadon ki dhund me teri parchai si lagti hai, sannate mein gunjhti koi shehnai si lagti hai, tum kareeb ho to apnapan hai, varna seene mein sanse bhi parai si lagti hai.. - ek din hamare annsoon humse pooch baithe,

humey roz -roz kyon bulate ho, humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho. - ankhen apki ho, par ansu mere zindagi apki ho, par sanse meri dil apka ho, par dhadkan meri zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi kafan apka ho, aur maut meri. -manzile bhi uski thi, rasta bhi uska tha. ek main akela tha, kafila bi uska tha.. sath-sath chalne ki soch bi uski thi, fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha... aaj kyo akela hoon, dil sawal karta hai, log to uske the, kya khuda bhi uska tha....? milegi,

-pyar jo kisise karoge rusvai hi wafa jitni b karoge burai hi milegi, chahe kisiko kitna bhi apna banalo, jab bhi ankh khulegi tanhai hi milegi

- bikhre ashko ke moti hum piro na sake, aapki yaad mein sari raat so na sake, beh na jaye ansuo mein tasveer aapki, bus yahi soch kar hum ro na sake. - pee hai sharab har gali har dukan se, ek dosti si ho gayi hai sharab ke jaam se, guzre hai hum kuch aise mukaam se, ki nafrat si ho gayi hai mohabbat ke naam se. nasha ilzam kasur jinka

hum kiya karte sharab ko diya sharab ka nahi chehra hum har

hai karte hai unka hai jam me talash kiya karte hai

- yeh wafa ka silla hai to koi baat nahi,

yeh dard tumne diya hai to koi baat nahi, ye hi bahut hai ki tum dekh rahe ho kinare se hum doob rahe hai to koi baat nahi -ek lamhe mein unhone zindagi sawar di, ek lamhe mein unhone zindagi ujad di, kasoor unka nahi hamara hai, humne un do lamho mein zindagi guzaar di. - aarz karta hun....... zindegi ekk safed kagaj ki tarha hei....

zindegi ekk safed kagaj ki tarha hei.... jis par kuch likho to...... banta hai naagma kuch na likho to...... banta hai eek sadma!!!!!1 -jakhm itna gehra hai izhaar kya kare, hum khud hi nishana ban gaye vaar kya kare marr gaye hum magar khuli rake aankhen ab isse zyada apka intezaar kya - dur se hi woh salaam kar gaye, apni yaadon ka hame ghulam kar gaye apni zindegi girvi rakh kar kharida tha jise aaj wohi hame bhul gaye. -dard kafi hai bekhudi ke liye, maut kafi hai zindegi ke liye kaun marta hai kisike liye hum to zinda hai sirf unke pyaar ke liye - yeh yaad hai tumhari ya yaadon mein tum ho, yeh khawab hain tumhare ya khwabon mein tum ho, hum nhi jaante hamein bus itna bata do, hum jaan hai tumhari ya hamari jaan tum ho.. - kyun rakhu main ab apni kalam mein syahi, jab koi armaan dil mein machalta hi nahi, na jane kyun sabhi shak karte hain mujh par, jab koi sukha phool meri kitab main milta hi nahi, kashish o bahut thimere pyar mein, magar kya karu koi pathar dil pighalta hi nahi, agar khuda mile to usse apna pyar manguga, pr suna hai wo kisi se milta hi nahi!!!!

-kitni paas hai hum kitni duur hain hum.. waqt jaanta hai kitne majbuur hain hum... saza hain yeh ki ab unse mil nahi sakte.. gunaah hai yeh ki bekusoor hain hum!!! - jawaani ko zindagi ka nikhaar kehte hain.. patjhad ko chaman ki majdhaar kehta hain.. ajeeb dastur hai duniya ka yaaron.. ek dhokha hai.. jisse sab pyaar kehte hain!!! anonymous 18/09/06 unase dur jaane ka iraada na tha sada saath rehne ka vada b na tha.. wo yaad na karenge, yeh jaante they hum par itni jaldi bhul jayenge... andaaza na tha!!!

- aaj phir teri yaad ne mujhko rula diya.. kitni akeli hu yeh yaad dila diya.. do lawz likhne ka saleeka na tha mujhe.. par teri yaad ne mujhe shayar bana diya!!! - kissi aur ki bahon mein rehkar wo mujhse wafa ka izhaar karta raha.. yeh kaisi chahat thi meri, ki sab jaan ke b yeh dil usise pyaar larta raha!!! - rooth gaya hai mujhko manaane wala.. ab koi nahi naaz mere uthane wala.. jaane kya sochta hai yeh khula darwaaza.. shayad rast bhul gaya hai koi aane wala!!! -ek dil meree dil ko zakhm de gaya zindagi bhar tadapane ki kasam de gay.. hazaro phulon mein se ek phul chuna tha.. jo zindagi bhar ki chubhan de gaya!!! - jis din se wo mila mujhko har ek pal mein kyu wo hai? saans kyu lu main, kyu mere dil-o-jigar mein wo hai? tanha thi main khush apni sadgi bhari shaam se ae khuda, hatho ki lakeero mein meri; 1 shaksiyat wo kyu hai? milke judai hi naseeb mein likhi thi agar phir aaj is judai se meri aankhen nam kyu hai? jab pighalta hi nahi wo pathhar dil mere khatir toh mere dil mein, uske khatir har waqt yeh marham kyu hai? ab tak maine koi gam na diya kisiko ae khuda phir mere hi naseeb mein likhe yeh sitam kyu hai? wo dil jo mere bin ek pal bhi na dhadakta tha kabhi aaj kyu wo door, aakhir uski badli yeh ada kyu hai? ae khuda aa aaj de jawaab mujhko..main hu yahan gar tere bhi hain lab sile. toh tu sabka khuda kyu hai???? - nasha zaruri he jeene k liye par sharab hi nahi hai bekudhi k liye,kisi ki mast nigaho me dost,bada haseen samundhar he khudhkushi k liye....... dil se

- rait par likh ke mera naam mitaya na karo aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo log har baat ka afsana bana lete hain sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "mohsin"

dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo - apne apne andaaz hote hain jaagti ankhoon mein bhi khwaab hote hain zaroori nahi gum mein aansoon niklein muskurati aankhon mein bhi sailab hote hain - ishq karte the ham logone nafrat karana sikha diya, jis chehare ko dekhkar hasate the ham usane rona sikha diya, hum to marna chahte the, magar maut ke intzaar ne jeena sikha diya... anonymous 19/09/06 thanks yatheesh -unhe aadat hai zakhm dene ki apni toh fitrat hai,gum chupane ki. ab to aadat si pad gayi hai aansu pi jane ki, kya haseen saza di hai zalim ne dil lagane ki -ishqwale ankho ki baat samajh lete hain, sapno main mile tho mulakat samajh lete hain, rota tho asmaan bhi hai pyaar ke liye, par log usey barsaat samajh lete hain... -vishwas banke log zindagi me at hai, khwab banke ankho me sama jate hai pehle to ye yakin dilate hai ke wo hamare hai phir najane kyu tanha chod jate hai.. - mohabbat karne waale, na jeete hain na marte hain phoolon ki chaah mein, kaanton par se guzarte hain yoon to hamesha hothon par hansi rehti hai sabke par shaayari mein na jaane kyon, dil ke dard ubharte hain. -daikh k humain wo sir jhukatay hain bula k mehfil main nazrain churatay hain nafrat hai hum sa to koi bat nhi par ghairon sa mil k hamara dil kyun jalatay hain

- deewangi ne hamme kya sikhaya, in aankhon ne kya dikhaya, is dil ne kya samjaya, is jeevan mein kya maine paya, - khuda ne jab ishq banaya hoga, to khub pe zaroor azmaya hoga,hamari to khair baat hi alag hai,is kambakht ishq ne khuda ko bhi rulaya hoga

- sochta hun in sagar ki lehron ko dekhakar kyun ye kinare se laut jati hai..... karti hai kinare se bewafai ya smundar se wafa nibhati hai..... - log mohabt hai, agr koi krta kehte hai ki to pahado se

ko khuda ka nam dete hai to ilzam dete hai, pathardil roya nahi karte, jharne kyon gira karte hain..!

- hame ankho se zakhmo ko dhona nahi aata, milti hai khushi use khona nahi aata, seh lete hain saare gam has ke, log kehte hain hume rona nahi aata!!! -kaun kehta hai ki kisi ka pyar kabhi poora hoota hai... arre ye to vo shabd hai jiska pehla akshar hi adhoora hota hai.. - ishq vale ankho ki bat samaj lete he,sapne me mil jaye to mulakat samaj lete he.rota to aasma bhi he apni dharti k liye,log uske anson ko barsat samaj lete he. - har yado mein usi ki yaad rehti hai, meri aankho ko usi ki talash rehti hai, kuch tum bhi dua karo yaro, suna hai dosto ki dua mein farishto ki fariyad hoti hai - tadapke dhekho kisi ki chaahat mein,to pata chale intezar kya hota hai,uhi mil jaye jo koi bina chaahe,to kaise pata chale pyar kya hota hai. - dil k jazbaat chupane ki aadat hai purani, maut ko zindagi banane ki aadat hai purani, tumhe to dard ka ehsas bi na hoga, or hume dard ko pee jane ki aadat hai purani!!!

- mohabbat karne walon ko inkaar acha nahi lagta, duniya waalon ko ye ikraar acha nahi lagta, jab tak hoti nahi aashiq ki maut, in zaalim haseenao ko pyar sacha nahi lagta!!!

- agar har chehre mein usika chehra nazar aata hain agar har baato par uski naam lete hain

agar ise pyar kehte hain toh haan meine bhi kisise pyar kiya tha... agar kisike inthzaar karne mein samaye nahin deykte agar uski aane par dil jhoom uttha hain agar ise pyar kehte hain toh haan meine bhi kisise pyar kiya tha.. agar kisike door jane ke baad unki yaad satati hain agar sab ke saath rehte huye bhi akele mehsoos kartein hain agar ise pyar kehte hain toh haan meine bhi kisise pyar kiya tha.. khud mein khud baatein karna har pyarisi gaane par sirf hum donoka nazar aana agar ise pyar kehte hain toh haan meine bhi kisise pyar kiya tha... agar uski dil mein pyar ki koyi jaga nahin phir bhi uski pyar ki intzaar karna agar ise pyar kehte hain to haan meine bhi kisise pyar kiya tha....... -lumhoon ki door baandh lai khud per jafa na ker mai gair ki terha hoon mujhe say wafa na ker raahon mai zindagi k naye moor bhi to hain tunha hi "tu" rahay gaa abhi faisla na ker khushboo phoolon ki doosray aangun bhi jaye gi in khushboon ka bund kubhi raasta na ker likha hai jo naseeb mai mil ker rahay ga woh dunya ki kum naseebi ka khud say gilla na ker shaam-o-seher mai raaz hai chupa hua bus iss nukta-e-hayat ko khud say juda -kisi ke yaad mein bar bar rone se dil ka dard kam nahi hota, pyaar tho takdir mein likha hota hey, kehne se koi apna nahi hota.....! -gulabon ki mehfil se ja faraar hokar us mehak ko dhondte hum kis raah kho gaye dharti se jannat ki rahein bhulakar in hawaon me saansein bhi bekaraar ho gaye -zakhm itna gehra hai ki izhaar kya kare, hum khud nishana ban gaye izhaar kya kare, mar gaye hum magar khuli rahi aankhen, ab isse jyada unka intezaar kya kare!!!! -pani me pathhar mat maro, use koi aur bhi pita hoga. tum humesha hasate raho kya pata tumhe dekhakar koi aur bhi jita

hoga >>>>>

-yun nazar ki baat ki aur dil chura gaye, andhero ke saaye mein dhadkan suna gaye, hum to samjhe the ajnabi aapko, aap to hume apna bana gaye... - jo aasani se mile wo hai gum, jo mushkil se mile wo hai paisa, jo kisi ko bhi mile wo hai pyaar, jo naseebwalon ko mile wo hai aap aur sirf aap..

- milane ki khushi hai ya bichadne ka gum, aankho me aansu hai ya udas hai man, kaise kahe kaise hai hum, bus itna samjhalo ki tum bin bahot akele hia hum... - kyun gila kareein hmum unse bewafaai ka

hum hi to laye the ye mausam tanhaai ka wo to miloon dur rahte the humse hum hi peecha kiya karte the unki parchaai ka -hay abhinav those ones are trully gr8 - naa chaho kisi ko itna, ki chahat tumari majburi ban jayee, chaho kisi ko itna, ki tumhara pyar uske le jaruri ho jaye..... - kyun dil k itne kareeb aa jata hai koi,kyun pyaar ka ehsaas kara jata hai koi,jab aadat si ho jati hai dil ko uski,kyun rula kar chala jata hai koi

-kareeb aaj tak khud hi taki un

reh kar bhi woh hame jaan na paye, wo hamain pehchaan na paye, bana li humne duriyan unnse, par koi ilzaam na laga paye . . .

- jise hamne chaha use pa na sake, jisne hame chaha use chah na sake, ye to bus dil tutne ka khel hai, kisi ka toda aur apana bacha na sake... - be careful to whom u give ur heart coz wen u give ur heart 2 sumbdy u're nt only gvng dat prsn d rite 2 luv u bt also d power 2 hurt u. -dil k bazar me daulat nahi dekhi jati, pyar ho jaye to surat ni dekhi jati, ek hi insan par luta do sab

kuch,kyoki pasand ho cheez to keemat nahi dekhi jati

har nazar ko ek nigah ka hai. har rooh ko hum bhi dil hame bhi ek

haq ek aah ka haq hai. lekar aaye hain is duniya mein. gunah ka haq hai.

- ansuo ke chalne ki aawaz nahi hoti, dil ke tootne ki aahat nahi hoti, agar hota khuda ko har dard ka ehsas, to usse dard dene ki aadat nahi hoti, -tera daman na chhodege hum tere chahane wale hain ullfat ki rah main khud ko mitane wale hain chahe jitane bhi kar le tu julmo sitam hum her haal main nubhane wale hain. -jisne humko chaaha, use hum chaaha na sake... jisko chaaha use hum paa na sake.... yeh samaj lo dil tutne ka khel hai.... kisi ka toda aur apna bacha na sake!!!!!! - yeh dil unki yaad mein rona fizul hai...... anmol ansu khona fizul hai... rothe us ke liye jo tumpe nisaar ho... us ke liye kya rona jiske aashiq hazaar ho!!! - tanhai ka aalam yeh hai ke rone ko dil karata hai, ro kar thak jaate hai toh marne ko dil karata hai, par mare bhi to kaise... kisiki ke liye jeene ko dil karata hai. - jee raha hoon kis liye mai iss gam-e zindagi ko, marke bhi keh na sakoonga apni kahaani ko ! chup raha to mar degi mujhe meri hi tanhaaee, keh diya to seh na sakoonga mai duniya ki rusvaee -

" palko ki nami mei chupa kar sapno ko, humne unhe jaane ki izzazat de di hum toot kar bikhar gaye tukdo mei, aur unhe muskurane ki izzazat de di...." - unhe ye shikayat hai humse ki hum har kisi ko dekh kar muskurate hai... nasamaj hai vo kyuki vo kya

jamne ki hume to har chehre mein wohi nazar ate hai.. -ishq sabhi ko jeena sikha deta hai, wafa ke naam pe marna sikha deta hai. ishq nahi kiya to karke dekho,zalim har dard sehna sikha deta hai...

-kuch bikhre sapne aur aankho me nami hai. ek chota sa aasma aur umedo ki zamee hai. yu to bahut kuch hai iss zindagi me,sirf jise chahte hai usi ki kami hai..... - hii frndz check dis 1 out a boy proposed a gal. da gal rejected ...his frndz asked him tht u dun hav feelingz ....he said i lost da 1 who neve luvd me n she lost da 1 who really luvd her a lot . so frndz dun break down when ur proposalz rejected -hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya apni zindagi ko talaash karna hi chor diya sab beeti hui baatein bhula di hum ne ab dil main maazi basana chor diya kaanton se bhar dete hain log daaman hum ne aangan main phool khilana hi chor diya kabhi na maangen ge kisi se bheek mohabbat ki is hi liye hum ne pyaar karna hi chor diya -teri tasveer meri aankhoon main bassi kyu hai jidhar dekhoon bas udhar tum hi kyu hai teri yaadoon se wabasta meri taqdeer hai lekin tujhe na paa ker meri taqdeer rothi kyu hai mujh ko ye khaber aasaan nahi tujhko hasil kerna phir bhi yeh intizaar yeh beqarari kyu hai barson guzar gaye meri tanhayee main lekin meri baahon ko aaj bhi tera intizar kyu hai teri chahat ki kasam, khoon ke aansoon roye hai ab nahi hai kuch bhaki phir yeh jaan bhaki kyu hai khattam hua mera yeh affssana ek baat batta do anjaam tha maaloom mujhko phir yeh mohabbat huyee kyu? - khushi mein bhi aanso hai gham mein bhi aanso hai

kis ko pata hai yeh gham ya khushi ke aanso hai chahra-e-noor per muskrahat hai kyon phir aankhon mein chupi nami hai dil-e-nada mein bohat dard hai dard-e-takleef ki halat hai es dard-e-zakham ke bawajood phir bhi kyon tu logo ko hasa raha hai rote rote akhein-e-nam bhi sookh cuki hai phir bhi tu kyon muskra raha hai dil-e-pathar ab to dil khol kar ro le waqt-e-zindagi ka safar khatam ho raha hai ek shak's andhero mein apni nakamyabiyon se lar raha hai kab se roshni ki talash mein subha ka intizar kar raha hai bus ab jo umeedein thi wo khatam ho cuki hai darwaz-e-mout ke khulne ka bus intizar ho raha hai ab to namaz perh le kambakhat mout ka farista teri roh-e-jaan lena a raha hai - is raat ki.. tanhaeeyo ke sab rang badal gaye hai chand nikla hai waise hi andhere badal gaye hai jinke bharose thi khusiyan wo badal gaye hain manzile to abb bhi wo hi hain kuch rastay badal gaye hain jinpe kiya tha bharosa humne wo dost bicharr gaye hain dakhe thay kabhi jo humne wo kahwab badal gaye hain jo banay thay kabhi hamsafar aaj wo hi mukarr gaye hain ais tutay huye dil kay saray.. jazbaat badal gaye hain na badle kabhi hum na badle hamaray khayalat bas rona hai yahi...... kuchh log badal gaye hain

-a cute love story................ girl: am i pretty? boy: no girl: do you want 2 live wid me? boy: no girl: will u cry if i leave u? boy: no the girl got hurt and started 2 cry. the boy pulled her close and said: u r not pretty but beautiful, i dont want 2 live wid u but live 4 u, if u leave me, i wont cry but die

- kisi ki mohabbat se humne kya paya hai raat ki neend aur din ka chain gavaya hai kay kare iss dewane dil ka jise aaj barbad hokar bhi hosh na aaya hai - apki yad na aye,to hum bewafa. aap bulao aur na aye, to hum bewafa. humme marne ke liye zeher ki zarurat nahi, 1bar nazar fer lo, na mar jae to hum bewafa..

-door jakar b unse door ho na sake , kitna roye kisi ko ye bata na sake, dard ye nahi ki wo hame dil me basa na sake dard to yeh hai k hum unhe dil se nikal na sake -jan aaj hum hai, kal hamari yaden hongi] jab hum na honge tab hamari baatein hongi, kabhi paltoge jab yeh jindagi ke pane toh shayad aapki aankhon se barsate hongi -jan dil ke riste ka koi naam nahi hota mana ki iska koi anjaam nahi hota hai agar nibhane ki chahat ho dono taraf, tammam umar koi rista nakam nahi hota hai mehkhane me jam tut jate hain ishq me dil tut jate hainna jane in dono me kya rista hai jam tute toh ishq yaad aata hai aur dil tute toh jaam yad aata hai -jan sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi, aab har waqt muskarane ki aadat nahi rahi, yahi soch kar ki koi manane nahi wala, aab hame ruth jane ki aadat nahi rahi.

- badnam mairy piyar kaa afsaanaa howa hay deevaanay bhe kahtay hain kay deevaanaa howa hay rishtaa thaa tabhe to kisii baydard nay tooraa apanaa thaa tabhe to koee begaanaa howa hay baadal kee tarah aa kay baras jaaiyay aik din dil aap kay hotay howay veeraana howa hay bajtay hain khayaaloon mein teree yaad kay ghungaroo kuch din say meraa ghar bhe pareekhaana howa hay

mausam nay banayaa hay nigaahoon ko sharaabee jis phuul ko dekhoon wohee paimaanaa howa hay -kabhi nazar se giraa kabhi dil mein basaa mohabbat mein tumne, kabhi hasaa to kabhi

diyaa, liyaa, humein, rulaa diyaa�

kabhie pyaar be_shumaar kiya kabhi dard be_intehaa diya apni dewaangee mein tumne, humein, kis mukaam par puhancha diya�� kabhi mausam_e_bahaar se mila diya, kabhi sehra mein tanha kar diya dil ko khilona samajh kar tumne, humein har khel mein hara diyaa� kabhi umeedon ko barhaa diya kabhi mayoosiyon ne jeena dushwaar kiya, phir bhi humdam humne, tumhein pyaar ki had se... hai ziyada pyaar kiyaa

-jod ke baithe hai sare sapane tod ke baithe hai... sare armaan chod ke baithe hai... na kijiye humse wafa ki baatein abhi abhi dil ke tukde jod ke baithe hai... -- turth of life: to walk is easy but 2walk alone is tiough being lvd is secure but 2 lv is so insecure, being missd by sum1 is nice but missin sum1 is painful......... - mujse mat pucho kyu aankhein jhuka li maine, teri tasveer thi usme jo tujse chupa li maine, jis par likha tha ki tu mere mukaddar mein nahi, apne mathe se woh lakeer mita li maine. -jan ek janaze ko dekh kar ladki muskrayi ek baba bola, beti maut par yun muskraya nahi karte... ladki boli baba kya karu.... wada kiya tha, jab bhi milenge, muskra kar milenge..... - amit---- 19-jan mit chale teri umeed ki tarah [harf]shabad magar--aaj tak tere khaton

se teri kushboo na gayi -jan khamosh palko se bahkar jab aanshu aate hai, aap kya jaane aap kitne yaad aate hai hum to ab bhi usi mod pe khade hai... jahan aap ne kaha tha ki zara thahro, hum abhi aate hai.... - thak gaye hum unka intzaar karte karte ... roya hazaar baar khudse takraar karte karte... do lafz unki zuban se na nikale aur... toot gaye hum ektarfa pyar karte karte... - ek nazar idhar bhi log pyar ko bhagvan kahete he, par koi kare to gunah kahete he. kahete he ki patthar dil roya nahi karte, to fir zarne pahado se hi kyu nikalte he? - bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste, anjane mod par kuch log dost ban jate hain, milne ki khushi de ya na de, bichadne ka gum zaroor de jate hain. -har phul ki ajab kahani hai chup rahna bhi pyar ki nishani hai kahi koi dard nhn fir bhi zakhm ka ehsas hai lagta hai dil ka ek tukda aj bhi aapke pas hai - mila nahi sakta do dilo ko to ishq kyon jagata hai, mila nahi sakta do dilo ko to ishq kyon jagata hai, zinda jalata hai jaan ko aisi aag kyon lagata hai. - sunana chahta hain ye dil tumhe ek kahani dastaane mohabbat shayad apni zubani par kaun samjhaye is kambakht dil ko lafz nahi bayan karte mohabbat ki kahani - zinda dil hain hans kar do ghum seh lainge har ghum mein uska saath ho.... yeh zaroori to nahi.... yoon to woh bohat wafashaar hain magar phir bhi har kadam pe wafa karein... yeh zaroori to nahi.... hosle aur bhi bhar jainge shikast k baad jeet yahan sada hamari ho... yeh zaroori to nahi... shiddat-e-ghum mein insaan ro bhi daita hai

samne uska aanchal ho... yeh zaroori to nahi ... nazrain thi buss kya karti pathar ho gayeen uske baad kisi aur ko dekhein... yeh zaroori to nahi... hum ne hamesha usse dil se chaaha woh bhi hamain chahe dil se... yeh zaroori to nahi.... - hum se na sahi gher'on se sahi tumahin dil ka lagana aato gaya duniya me kisi ke ho to gaye tumhian pyaar nibhana aato gaya humse na sahi gheron se sahi bethe ho kisi ke pehlu me aankh'on me chamakta pyaar liye main khush hoon kisi ki kismat me yeh waqt suhana aato gaya duniya me kisi ke ho to gaye humse na sahi gheron se sahi tumhian pyaar nibhana ato gaya hum ne tumko humdam samjha humderd hi nikel aakhir tum such ke chehre se wehm'on ka tumhian perda uthana aato gaya duniya me kisi ke ho to gye tumhian pyaar nibhana ato gaya -jate jate ap koi acchi nishani de gaye, umar bhar dohra saku aisi kahaani de gaye, kher hum to pyase reh gaye, par hamari palko ko tum paani de gaye.... - royegi aankhen muskurane k bad aayegi rat din dhal jane k bsd o janewale zara mood kar dekh 1bar shayad ye zndgi na rahe tere jaane k bad........ - sab logo k apne-apne naseeb hote hai kuch khushi k to kuch gum k bohat kareeb hote hai bus gum ho bhara jiske zndgi me yaro vo log jahaan ki khushiyoan mein bohat gareeb hote hai. - reth pe naam kabhi likhte nahi,

reth pe likhe nam kabhi tikte nahi, log kehte hai hum patthar dil hai, per patharpe likhe nam hi kabhi mittey nahi..... -roz kisi ka intzar hota hai, roz ye dil bekarar hota hai,kaash ke koi samajh pata ki chup rehne walon ko bhi kisi se pyar hota hai. -gunah karke saza se darte hai, zehar pee ke dawa se darte hai, dushmano ke sitam ka khauff nahi,hum to doston ke khafa hone se darte hai.

Related Documents

Sms Mohabbat
November 2019 3
Sms
April 2020 56
Sms
May 2020 43
Sms
November 2019 77
Sms
May 2020 60
Allah Sai Mohabbat
November 2019 1