1. If i were a tear in ur eye i wood roll down onto ur lips.But if u were a tear in my eye i wood never cry as i wood be afraid 2 lose u! 2. I m feeling so happy, do u know why? cuz i m so lucky, do u know how? cuz God loves me.Do u know how? cuz he gave me a gift. Do u know what? its YOU my love. 3. I m going to write on all the bricks I MISS U and i wish that one falls on ur head,so that u knows how it hurts when u miss someone special like u 4. I am in hospital now. After 5 minutes, I will be transferred to a surgery room. The doctor told me, I will die if I stop RECEIVING YOUR SMS. 5. If U delete this message thats bcoz u love me. .. If u save it thats bcoz u desire me .. & if u ignore it thats bcoz u miss me. So what u gonna do with It? 6. L O V E .. L = Lake of Sorrows .. O = Ocean of Tears .. V = Valley of Death .. E = End of life....
जब कोई खयाल ििल से टकराता है ॥ ििल ना चाह कर भी, खामोश रह जाता है ॥ कोई सब कुछ कहकर, पयार जताता है ॥ कोई कुछ ना कहकर भी, सब बोल जाता है ॥
9. "Tanhaiyo me muskurana ishq hai, ek baat ko sab se chhupana ishq hai, yu to nind nahi aati hume rat bhar, magar sote sote jagna or jagte jagte sona ishq hai." 10. Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata Isiliye ishq ki baazi hum haar gaye Meri zindagi se shayad unhe bahut pyar tha Isiliye mujhe zinda hi maar gaye 11. 12. 13. 14. 15. 16.Tu bani kisi ghar ki zeenat Main kisi kothay ki numaish Tera khwaab hua haqeeqat Rahi jhooti meri khwaahish
Aurat mujh main bhi thi,haaN,dafnaa di thi ziNda Meri kahaani ki insaaniyat bhi ho jaayay sharmiNda Meray khwaaboN ko sool-e-wehshat chraayaa teray ghar kay mardoN nay Meri majboori ko tamaashaa banaayaa teray ghar kay mardoN nay MaiNnay bhi tha muhabbat ka paak chaman basaayaa Meri hasrat bhi thi ki ho koi ik mera apnaa sa saayaa Magar Pait ki bhookh kay sun kar naalay Waheshi aankhoN ka sunharaa bharam khaayaa Lay gayaa yeh mard tera dilaasaa day kar basti-e-ghumnaam main Phir aayaay humdard aur kitnay,aashnaa karaa gayay is muqaam say Ab har raat ki dulhan hooN Har shub nayaa humbistar hai
Yeh to bus jaanay hai dil-e-bismil mera Ki roz lubraiz-e- zehar nayaa nashtar hai Tu nasoor-e-tehzeeb kahay mujh ko,main teri hi behan hooN Bus tu rahi kismet ki ameer,main wehshat ki rehan hooN Daikhay jo aurat mujhmaiN To tu sharmiNda hogi Aura a jaayay gar yeh jazbaa sub main To shaayud insaaniyut zinda hogi 17.YaadoN kay bawaNdar say uth rahaiN hai Takh_yul ki sar zamiN pay Barq bau kay chamkta hai teri afsurda haNsee ka chehra Honay lagi hai teray naaz-o-karam ki rimjhim Meri takhleeq maiN main woh pehli barsaat si soundhi khusbu aa rahi hai Tanha bahut tanha hai dil teray jaanay kay baad SaMbhla nahi wajood shorishoN maiN bhi doob jaanay kay baad Zamanaa to samjhtaa hai isay shauq-i-fitoor mera Har chahray maiN agar dhooNdta hooN teray wajood ki parchaiNaN Aur uqta kay uth aataa hooN phir apnay khyaaloN ki duniya maiN Siyaah aur siyaah ho jaati haiN phir meri tanhaaiyaaN Ab tu bani hai kisi ga_ir ki zindagi ka unwaaN Ab teri raataiN uski baahoN main basi rehti haiN Ab na us ulfat ki haqeeqat baqi Phir bhi nadaan umeedaiN dil maiN baniN rehtiN haiN Puchta hooN maiN aksar apni talkh raatoN say Ki kya hai aqaayud-i-mehabbat ki asaas Kya hai yeh rasoomaaat maiN lipta ik shuq-i-bekaar Kya hai yeh ishq kay naam pay paltay huay pazmurda ahsaas Kya hai yeh mehabbat yeh mehabbat ki tashheeer Kadam bar kadam samjotoN ki besood taameer Kya hai yeh jis-o-rooh kay alag alag meyaar Kya hai parstish pay palta yeh falsafa-i-taqdeer Thehar ab zauq-i-talab thehar Aaj na yeh baat baat uthaa Aaj ki raat barstaa hai gujishta mehabbat ka jaadoo Aaa ki raat kuch na keh kuch na sunaa 18.Ishq junooN bhi hai sanjeedgi bhi hai Yeh hawis bhi hai pakeezgi bhi hai Shokhi bhi hai ishqBaanki adaaoN pe lutnay ka naam bhi hai Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh bhiZindagi ko samjhnay ka naam bhi hai Ishq masroofiat bhi fursat bhi hai Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai Ishq rif_at bhi aur wus_at bhi hai Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai Yeh masoomiyat bhi rikhshandgi bhi hai Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai ZamiN bhi hai aur aasmaN bhi hai Magar ufaq ka ismay nishaN bhi hai
Kabhi bistar ki salwaton saTo kabhi mandir ki moortoN sa Kabhi uryaanioN ka shaida To kabhi Meera-o-Mariam ki soortoN sa Ishq rog bhi magar mudawa bhi hai Ishq parastish bhi magar da_awa bhi hai RishtoN say sada juda hai ishq Isliyay hi bana khuda hai ishq
20.Tarasti Nazronki Pyaas Ho Tum, Tadapte Dilki Aas Ho Tum, Bujhti Zindagiki Saans Ho Tum, Phir Kaise Na Kahun, Kuchh Khaas Ho Tum… 21.Deewane Hai Tere Naam Ke Is Baatse Inkar Nahi, Kaise Kahe Ki Hamein Aapse Pyar Nahi, Kuch To Kasoor Hai Aapki Nigahonka Hum Akele To Gunehgaar Nahi… 23.