1 SAWAL KI 11 SHAKLAIN
KIA KHUDA-E-BARTER K SIVA KOI AUR MUSHKIL HAL KARNAY PER QADIR HAY ? Aksar mazhabi halqon me yeh swal k aya “Allah k swa koi mushkil hal kar sakta hay ya sirf Allah hi is per qadir hay” aya, magr fariqain may say koi bhi qail nhi ho pata. Ek zee-Shaoor insaan k zehn may yeh swal ubhrta hay to wo isko mukhtalif pehluon say janchta hay k kis tarah Khuda k swa koi hasti mushkil kushai kar sakti hay. Is swal ki 11 mukhtalif soorten hen:
Aik shax ko kisi mushkil ka saamna hay, wo chahta hay k meri mushkil door ho, wo Allah k swa kisi doosri hasti ko pukarna chahta hay jo iski mushkil ko hal kre ya Allah se hal karwae. Ab……
• Agr Allah k swa koi hasti (Nabi, Sahabi, Wali, Buzurg waghera) oski mushkil hal karsakti hay to kia saail or mushkil kusha k dermian lakhon meel ki doori per wo zindagi main ya zindagi k baad qabr main awaz sun sakta hay? • Bil-farz wo awaz sunle to phir ye swal ubhrta hay k wo dunya ki her zaban se waqif hay ya nhi? maslan German Germani may, pathan Pashto may or French French may apni mushkil pesh krega.. • Agr ye bhi farz kr lia jae k wo Adam alaihe salam se lekr aaj tak jitni zabanen bni or ban k bigar gaeen tamam se waqif hay to phir swal ye hay k ek lamhay may puri dunya say
•
•
• •
•
•
hazaron ya lakhon log apni mushkilaat is k samne pesh karenge to kia wo in sub ki mushkilaat ek saath hi sun or samajh lega ya is k lye Qatar lagane ya token lene ki zarurat pesh aegi? Allah apne banday ki her dua os k mazi-o-mustaqbil k halaat madde nazr rakh kar pura farmata hay k kahin wo cheez bande k lye nuqsandeh naho, q k insan khud bhi nhi janta k jo cheez wo mang rha hay osme os k lye nafa hay ya nuqsan. Kia wo hasti jisay Allah k siva pukara ja rha hay dunya k tmaam un ginat logon k kirdar, or mazi, haal or mustaqbil say ba-khabr hay k jo koi os se swal kre oska theek wesa hi ya os se achha kam ban jae? Kia os hasti ko kabhi neend ya aram ki bhi zarurat hay ya wo hamesha chokanna rehta hay, agr nhi to phir hmaray pas ek list honi chahye k kab wo jagraha hay or kab nahi ta k mushkil ko sunay or samjhay? Ek shax bolne say qasir hay iska gla band hochuka hay, agr wo dil he dil may apni mushkil pesh kre to kia wo oski dili faryaad bhi sunlega? Insaan ko pedaish se mout tak chhoti bari tmaam mushkilaat ka saamna rehta hay, Agr wo tmam mushkilaat Allah t’ala hal karne per qadir hay to ghairAllah ki traf ruju’ kerne ki kia zaroorat hay, Or agr ghairAllah tmaam mushkilaat ko hal ker sakte hain to phir Allah ki kia haajat hay?? Agr ghairAllah tmaam mushkilaat hal krne pay qadir nhi; ho sakta hay k kuch mushkilaat ka bera Allah ne uthaya ho or kuch hal krne k ikhtyaraat kisi or ko de rakhay hon, esi soorat may to hmare pas ek esi fehrist honi chahye k konsi mushkil Khuda hal krne pe qadir hay or konsi ghair hal kr sakta hay ta k saail apni mushkil osi k samne pesh kre jo hal kerne pe qadir ho? Kia Khuda k siva jo hasti mushkil hal kar sakti hay zahir hay wo mushkil dal bhi sakti hay, Ya iski duty sirf hal krne pay
hay? Agr wo mushkil hal kr sakti hay to phir dalne wala kon hay? • Bil-akhir nateeja ye niklega k Khuda mushkilaat dalne wala hay or ghairAllah mushkil hal krne wala hay, bilfarz ek hasti dalne per musir ho or doosri hal krne per to dono mese konsi hasti apna fesla waapas legi? • Kya hmare lye Allah T’ala ka yeh farman kafi nhi? “Osi (Allah) ko (madad k lye) pukarna sacha pukarna hay, Or jo log auron ko Os k siva pukartay hain wo (yani ghairAllah) in (ki pukar) ka kuch bhi jawab nhi detay, magr jesay koi shax apne dono hath pani ki taraf phelae huay ho k is k muh may aajae, hala k wo pani is k muh may pohanchne wala nhi. Or in munkaron ka pukarna (ghairAllah ko) bilkul gumrahi hay.” [Al-Quran, surah Ra’d, Surat#13, Ayat#14]
For more detail, Visit : http://www.islamtomorrow.com/wasila/1.asp