Shayri

  • May 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Shayri as PDF for free.

More details

  • Words: 490
  • Pages: 2
Saamna hasr me sarkaar se jis dum hoga, muftie batkho teri rooh bhi sharmayengi, aur ous ghadi mujhse jara dur hi rehna warna, joote tu khayenga bauhchaad idher ayengi.

*/--------------ILM----------------------*/ Ilm insaan ko insaan bana deta hai, ilm kaafir ko musalman bana deta hai, aur ilm saharo se gujere to dafine ugle, ilm dariyao me utre toh nagine ugle, ilm asaan bhi hai, mushkil bhi hai, dushwar bhi hai, ilm sahil bhi hai, kushti bhi hai majdhar bhi hai, aur ilm dene ke liye warise injeel aye, ilm lene ke liye farsh pe jibrael aye, toh ajmate ilm ka yuhi nahi kaial hai jaha, ilm hi karta hai karloo ko kalimulla khan toh ilm aur ilm

ilm dariyao me raasta bhi bana sakta hai, chhatano pe aloo bhi uga sakta hai ilm ke noor ko benoor nahi paasakta me kur hai langoor nahi pasakta

toh ilm ilm ilm toh ilm

ilm jo gaiz me aye toh zamee tharaaye, jo pauche fazao me toh rocket banjaaye chaukhat pe sitaro ko bula sakta hai, dube hue suraj ko uga sakta hai, raaje haq tege nabi joore wali kehte hai, ko dusre labzoo me ALI kehte hai.

*/-------------------------*/ aye kareeb e naher jo abbas e namdaar, bole ke mai hu haider e karaar ka katar, jisne kabhi kiya nahi maidaan se faraar, tum mujhko rook lo ye kaha tumko akhtiyaar, bheja hai mujhko pyaas ke parvardigar ne, aya hu mai farat ka pani utaar ne, toh mai jaanisare sibte payamber hu duzdilo, mai aitemaad e zainab e mujhter hu buzdiro, mai ek bolta hua lashkar hu buzdiro, mai warise sujahaate asger hu buzdiro, toh khush hoga jo bhi meri sharafat ko cheed ke, lejaonga mai shaam tak usko khadeer ke. toh ho saamne pahad, toh jaad se ukhaad dunga, parcham khuda ke din ka paanise pe gaad du, aur marhab se pehlwan ko pal me pachaad du, aur daman ki gard jaanke tum saab ko jhaad du, toh baba ki tarah jang me gaazi diler hu, oh chipkeli ke bacchho mai haider ka sher hu, toh ye sunke naiza tane hue aye badfisal, bole ke bachke jaaye na haider ka naunihal, ye baat thi ke aagaya haider ko jalal, aur jhaptha sikaar par ashade kibriya ka laal, talwaar me tapish thi may june ki tarah,

sir udh rahe the dasht me baloon ki tarah, gaizo gazab me sher jidher bhi jhapat gaya, fauze audood ki lasho se maidan paat gaya, khaiber gurure zulmo sitam ka ullat gaya, jo beticket the palme ticket unka kaat gaya. toh tege zaari ke saamne haatho ko jhood ke zibrael aagaye magar par sikood ke, lagta tha jaise naher kinare lagi hai aag, jo so gaye the, unse kazaa keh rahi thi jaag, lai sur bigaad chuke the, saabhi kho chuke the raag, maidaan me sada thi fakat bhag bhag bhag, toh maidan se jho sarak gaye, unki tho idd thi, baki yazedi fauz ki mitti paleet thi

Related Documents

Shayri
October 2019 28
Shayri
November 2019 8
Shayri
May 2020 8
Anamika Shayri
October 2019 13
Arti Shayri
October 2019 20
Shayri Gujarati With Me
November 2019 13