Jeevan Path bachpan me chalna nahi aata tha mujhe .. kya socha tha maine, .. kyu nahi aata..? huuuu bas khud hi chall dia tha main.. us girne sambhalne ..gir ke sambhalne .. aur phir sambhal ke girne ke daur se guzra tha main .. per kya maine socha tha kabhi ke ye sab kya ho raha hai ... bas har pal ko jeeta raha… . ... na haarne ki soch me ghamgeen hua .. na jeetne ke dambh me kabhi chuur hua ... fir kuch apno ki ungli thaami, bas kuch kadam chala....
lo maine chalna sikha ...... ................................................... har khel main yu hi aparipakvata se shuru ho kar sidi der sidi chadhta hu main ... aur fir kuch dur pahhunchane per sab chizo me samanjasya hi pata hu main .........
yu to kadam kayi chal diya hu main .. per abhi rasta pura hua nahi........ aur hoga bhi to kaise … abhi zindagi bahut padi hai … aur, kadamo me abhi jaan bhi badi hai… …………………………………. Well … Life goes on, ……………………….. & best part comes when we enjoy its every aspects in true spirits!!!!!!!!