Insaan khasaara mein hai, islaam ki maani hai marammat karma Sabse mushkil machine hai insaan. Sabse behterin planner hai Allah. Yeh zindagi aakhirat ke liya ek imtehaan hai. Ek Musalmaan achchaa Musalmaan ho hi nahi sakta tab tak jab tak ki who achchaa insaan na ho. Brahma,(Khaliq, Creator ) ek hi hai, dusra nahi hai, nahi hai, nahi hai, zara bhi nahi hai, Jab Allah sath ho to kisse darna? Jab haq baatil se takrata hai, to baatil ka sarvanash ho jata hai. Alhamdulillah All Praise are due to Allah Alone. Al-Qur'an, 003.064 (Aal-E-Imran [The Family of Imran]) Say: "O People of the Book! come to common terms as between us and you: That we worship none but Allah; that we associate no partners with him; that we erect not, from among ourselves, Lords and patrons other than Allah." If then they turn back, say ye: "Bear witness that we (at least) are Muslims (bowing to Allah's Will). According to the Oxford Dictionary, “Religion is a belief in a superhuman controlling power or powers that control human destiny.” Or “A personal God or gods that deserves worship and obedience.” Oxford Dictionary kehti hai ki jab koi Ek Khuda ya Kudaaoo ko manta hai, aur uski pujaa karte hai , aur us ki baat ke mutabiq chalete hai, (use follow karte hai,) to use kehte hai mazhab Hamne shuru mein Qur’an ki ek ayaat ka tarjuma likha hai. Al-Qur'an, 003.064 (Aal-E-Imran [The Family of Imran]) Jiska matlab hai, “Qul ya ahlal kitaab” “Keh do yahood aur nasara se, (Jews aur Christians se) ,” “ta’alaw ila kalimatin sawaa im baynana wa baynakum.” “aao ham aapas mein us baat ki taraf aye jo aap mein aur ham mein yaksa (same) hai.” Sabse pehli baat “alla na’abuda illallah” yani “ hum Ek hi Khuda ko mane, hum Ek hi Khuda ki ibaadat kare, pooja Karen.” “wala nushrika bihi shay’anw” ki “hum aapas uske sath kisi ko sharik(partner) na thehrae” “wala yattakhiza ba’aduna ba’adan arbabam min duwnillah.” “aur hum Allah ke siwa kisi aur ko ma’bud (pujy) na mane, Rab na mane.” “fa in tawallaw fa kuwlushhadu bi anna muslimoon” “phir we na mane to keh do ki hum kamse kam gawahi dete hai ki hum muslim hai” Yeh ayat Surah Ale Imran Surah no. 3 ki ayat no. 64 ek bahoot mahatwa purna ayat hai. Yeh master key hai, jo dawati maidan mein sare talo ko kholti hai. Is mein Allah fermate hai, “ta’alaw ila kalimatin sawaa im baynana wa baynakum.” “aao ham aapas mein us baat ki taraf aye jo aap mein aur ham mein yaksa (same) hai.” Sabse pehli baat “alla na’abuda illallah” yani “ hum Ek hi Khuda ko mane, hum Ek hi Khuda ki ibaadat kare, pooja Karen.” Ek chiz jo yaksa hai, samaan hai sare dharmo mein woh yeh hai ki sabhi dharm ke log ye samajte hai ke jis khuda ki we pooja karte hain who khuda sirf unhi ke liye nahi, sabhi logo ke liye hai.
Misaal ke taur pe, Hindu mazhab mein Hindu yeh samajte hai ki jo khuda ko w mante hai, jiski we pooja karte hai, woh khuda Hindu ka bhi hai, aur gair- Hindu( non-hindu) ka bhi hai. Isi tariqe se Christians mante hai ki jo khuda ko we mante hai, jiski we pooja karte hai, woh khuda Christians ke liye bhi hai, aur gair- Christians ( non- Christians) ke liye bhi hai. Isi tariqe se hum Muslims mante hain ki jo khuda ko hum mante hai, jiski hum pooja karte hai, hum mante hai ki woh khuda Muslims ke liye bhi hai, aur gair- Muslims ( non- Muslims) ke liye bhi hai. Sari duniya ke jo dharm hai unhe do hisso (parts) mein bata ja sakta hai---1. Semitic Dharm 2. Non Semitic Dharm 1. Semitic: Semitic dharm wah dharm hai jise pehle shain ki nasl(pidhi) ne manaa tha. Shain Nooh (Alaihissalaam) ka beta hai, jiska zikr Bible mein bhi hai. Jin logo ne shuru mein use mana tha, yani shain ki nasl(pidhi) mein se jin logo ne shuru mein use mana tha, us dharm ko kehte hain Semitic Dharm. In mein se hain Jews(yahood), Christians(isai), Arabs, Assydians, Phoenicians, wagairah. Jo Hebrew, Arabic, Aramiac bhashaen bolte hain. Aur sabse ahm Semitic Dharm hain Yahoodiyat, Isayyat aur Islam, yani Judaism, Christianity aur Islam. 2. Non Semitic Dharm: Dusre logo ke dharmo ko kehte hai Non Semitic Dharm. Ise do hisso (parts) mein bata gaya hai, 1) Aryan Dharm 2) Non- Aryan Dharm 1) Aryan Dharm: Aryan Dharm wah dharm hai jise shuru mein Aryan ne mana tha. Aryan log Indo-European log hai, jo Iran aur NorthWest (Uttar-paschim) India mein pehle aye the. Aryan dharm ko aage do dharmo mein bata gaya hai. a) Vedic dharm b) Non-Vedic dharm a) Vedic dharm: Vedic dharm who dharm hai, jo Vedas mein manta hai, jiska naam hai Brahmanism, jise aaj hum Hiduism ya Hidu dharm ke naam se jaante hain. b) Non-Vedic dharm hain Sikhism, Parsism wagairah. 2) Non- Aryan Dharm woh dharm hain jo ilake ke hisaab se baate gaye, missal ke taur pe , China mein taonism, Daoism aur Japan mein Shintoism jaise mazhab shuru huwe. Lekin in mein Khuda ka Tasavvur nahi hai, isiliye inhe mazaib nahi kehte, religion nahi kehte, inhe kehte hain ethical system.(Philosophy se related) Aaj hum Aryan mazaaib aur semitic mazaib ke bare mein charch karenge. Aur agar aap kisi bhi mazhab mein Khudaa ka Tasavvur janna chahte hain to yeh sahi nahi hai ke aap un mazaib ke logo ko dekhene ke baad Khudaa ka Tasavvur kare. Kyounke aksar khud us mazhab ke mannewale yeh nahi jante ki unke mazhab mein Khudaa ka sahi Tasavvur kya hai. To kisi bhi mazhab mein Khuda ka Tasavvur kya hai yeh janne ka sabse achch sabse behhtarin tarika yeh hai ki aap yeh tahkik Karen, ye jaane ki us mazhab ki Kitaboon mein Khudaa ke bare mein kya likha hai. Aur phir hi hum sahi tarike se samaj payenge ki us mazhab mein Khudaa ka tasavvur kya hai? Sabse pehle hum samjenge ki Aryan mazhab mein Khudaa ka Tasavvur kya hai? Aur sabse zyada phela hua Aryan mazhab hai ? Agar aap aam puchenge ki hai? To aap ki 3, koi kahega
Hindu se kitne Khudaa Hindu kahega
RELIGIONS
Semitic Judaism
Christanity
Vedic Religion (Brahmanism) (Hinduism) Thos who belive in Vedas
Non Semitic Islam
Aryan Religion
Non Vedic Religion (Sikkhism, Parsism, Jainism, etc.)
NonAryan Religion
Taoism (China) Shintoism (Japan) (Ethical Systems)