ab ke uski aankhon mein be-sabab udaasi thi ab ke uske chehre par dukh tha bad-hawasi thi ab ke yoon mila mujhse yoon gazal suni jaise main bhi na-shanasa hoon woh bhi ajnabi jaise zard khal-o-khad uske sogwaar daman tha ab ke uske lehje mein kitna khurdrapan tha woh ke umr bhar jisne shehar bhar ke logon mein khud se meharbaan samjha dil se aashna likha ab ke sada kagaaz par surkh roshni se usne talkh lehje mein mere naam se pehle sirf bewafa likha. wo silsilay wo shoq wo nisbat nahi rahi ab zindagi ma hijer ki vehshet nahi rahi toota hai jb se oos ki maseehae ka talism dil ko kisi maseeha ki haajat nahi rahi phr yon hua k koi shanasaa nahi rahaa phr yon hua k derd ma shidaat nahi rahi phr yon hua k ho gia wo masroof wo buht
or hm ko yaad krnay ki fursat nahi rahee ab kia kisi ko chahain k hm ko to in dinoo khud apne aap se b muhaabat nahi rahi