marhaba sad marhaba phir aamad-e-ramzaan hai khil uthay murjhaye dil taaza huwa emaan hai hum gunhegaroon pe yeh kitna bara ehsaan hai ya khuda (azzawajal) tu ne ata phir kar diya ramzan hai tujh pe sadqay jaon ramzan, tu azeem-ushaan hai ke khuda (azzawajal) ne tujh mein hi nazil kiya quraan hai abar-e-rehmat chaa gaya hai aur samaa hai noor noor fazal-e-rab (azzawajal) se maghfirat ka hogaya samaan hai har ghari rehmat bhari hai har taraf hain barkattain maah-e-ramzaan rehmatoon aur barkatoon ki kaan hai aa gya ramzaan ibaadat per kamar ab bandh lo faiz le lo jald ke din tees (30) ka mehmaan hai ya illahi (azzawajal) tu madenay mein kabhi ramzaan dikha mudatton se dil mein yeh 'attar' ke armaan hai ...