"Mahek".. Dil ka to kaam hai dhadkana woh to dhadkatehi jata hai , par bagair tere muze chain kaha aata hai ! Din guzar jate hai rate guzar jati hai , par teri sune ahesaas se ye dil bhar aata hai ! Jab yuhi firta raheta hu khayalo main gum hokar , kahi se ek hawa ka jhonka aata hai aur fir muze tanhai de jata hai ! Katra katra sa sameta hai tera ye ahesaas maine , ki ye ahesaas bhi ab mera na raha , teri bas ek chiz meri hai jise is dil ne hamesha apna hai kaha ! Saath deti hai ye hawa bhi use ki mera dil bhi hai use samaz pata , samet leta hai teri bhi har dhadkan jo hamesha mere dil ke karib hai raheta ! Ha, teri khushboo.., teri Mahek.., muze bas apnisi lagti hai , aakhir use hi pahechanane muzase ye sard hawa baaten karti raheti hai ! By - Anand... Dt - 19/02/2007..