Ghazals Selected

  • June 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Ghazals Selected as PDF for free.

More details

  • Words: 1,747
  • Pages: 9
Kabse Hoon Kya Bataon (Ghalib) A Ghalib classic. A point to be noted is that the ghazal, which was sung by Jagjit in the serial, was an abbreviated version of this ghazal. Only some shers were taken which have been duly marked in sequence below.

miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN kaafir hooN gar na miltee ho raahat 'azaab meiN 2kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN? shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN [jahaan-e-kharab = world of problems, shab = night + hijr = separation -> nights of separation]

4taa fir na intezaar meiN neeNd aaye 'umr bhar aane ka 'ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN [taa = so that, ahad = promise, khwaab = dream, So I could not sleep again for the rest of my life, Once they promised me in my sleep that they will come.]

1qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN [qaasid = messenger (who brings a khat = letter)]

3mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN [bazm = gathering, jaam = drink, saaqee = bartender]

jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale? kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN? maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se Daala hai tumko weham ne kis pech-o-taab meiN mai aur haz'z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai

jaaN nazr denee bhool gaya iztiraab meiN hai tevaree chaDee huee andar naqaab ke hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN laakhauN lagaav, ik churaana nigaah ka laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye jis naale se shigaaf paDe aaftaab meiN woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN 5'GHalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN [abr = clouds, roz-e-abr = cloudy day, maahtaab = moon]

Baazi-cha-aie-Atfal (Ghalib) One of Ghalib's classics along with the translation! A point to be noted is that the ghazal which was sung in the serial by Jagjit was an abbreviated version of this ghazal. Only five shers were taken which have been duly marked in the same.

1Baazi-cha-aie-Atfal Hai Dunia, Mere Aage Hota Hai Shaboroze Tamasha Mere Aage [I perceive the world as a playground Where dawn and dusk appear in eternal rounds] Ik Khel Hai Aurang-e-suleman, Mere Nazdeek Ik Baat Hai Ajaaz-a-Maseehah, Mere Aage [In His Universal form is a plaything the throne of Solomon The miracles of the Messiah seem so ordinary in my eyes] Juz Naam, Nahin Surat-a-aalam Mujhe Manzoor Juz Vaham, Nahin Hasti-e-ashiya, Mere Aage [Without name I cannot comprehend any form Illusionary but is the identity of all objects] 2Hota Hai Nihan Gard Mein Sahra, Mere Hote Ghista Hai Jabin Khak Pe Dariya, Mere Aage [My anguish envelopes the entire desert Silently flows the river in front of my floods] 3Mut Poochh, Ki Kya Haal Hai Mera, Tere Peeche Tu Dekh Ki Kya Rung Hai Tera, Mere Aage [Ask not what separation has done to me Just see your poise when I come in front of you] Sach Kehte Ho Khudbeen-o-Khuddara Hun, Kyon Na Hun? Baitha Hai Butt-a-Aaeena-Seema, Mere Aage [Truly you say that I am egotistical and proud It is the reflection, O friend, in your limited mirror] Phir Dekhiye, Andaz-e-Gul-Afshani-e-Guftaar Rakh De Koyee Paimana-o-Sahba Mere Aage [To appreciate the style and charm of conversation Just bring in the goblet and wine] Nafrat Ka Guman Guzre Hai, Mein Rushk Se Guzra Kyonkar Kahun, Lo Naam Na Unka Mere Aage [Hatred manifests due to my envious mind Thus I say, don't take his name in front of me]

4Iman Mujhe Roke Hai, To Khenche Hai Mujhe Kufra Kaba Mere Peeche Hai, Kalisa Mere Aage [Faith stops me while temptations attract Inspite of Kaaba behind and church ahead] Aashiq Hun, Per Mashook-Farebi Hai Mera Kaam Majnun Ko Bura Kehti Hai Laila Mere Aage [I am the Lover, yet notorious is my charm Thus Laila calls names to Majnu in front of me] Khush Hote Hain, Pur, Vasl Mein Yon Mur Nahin Jaate Aayee Shab-a-Hijran Ki Tamanna Mere Aage ["Dies" not one though the union is a delight In premonition of the separation night] Hai Moujzan Ik Kulzum-e-Khun, Kaash, Yahi Ho Aata Hai, Abhi Dekhiye, Kya Kya, Mere Aage [Alas, this be it, the bloody separation wave I know not what else is in store ahead of me] 5Go Hath Mein Jumbish Nahin, Aankhon Mein To Dum Hai Rahne Do Abhi Sagar-O-Meena, Mere Aage [Though the hands don't move, the eyes are alive Wine and goblet, let them stay in front of me] Humpesh-O-Hummastrab-O-Humraaz Hai Mera "Ghalib" to Bura Kyon Kaho, Accha Mere Aage [Says "Ghalib" Conscience is companion and trusted friend Don't pass any judgments in front of me.]

Ishq Mujhko Nahin (Ghalib) Ishq Mujhko Nahin, Vehshat Hi Sahi Meri Vehshat Teri Shohrat Hi Sahi Katta Keeje Na Taalluk Hamse Kutch Nahin Hai To Adavat Hi Sahi [(You say) It is not love, it is madness My madness may be the cause of your fame Sever not my relationship with you If nothing then be my enemy] Mere Hone Mein Hai Kya Rusvayee Ae Veh Majlis Nahin Khallat Hi Sahi Hum Bhi Dushman To Nahin Hain Apne Gair Ko Tujhse Mohabbat Hi Sahi [What is the meaning of notoriety in meeting me If not in public court meet me alone I am not my own enemy So what if the stranger is in love with you] Apni Hasti He Se Ho Jo Kutch Ho Aagahi Gar Nahin Gaflat Hi Sahi Umr Harchand Ki Hai Barke-Kharam Dil Ke Khoon Ki Fursat Hi Sahi [Whatever you are, it is due to your own being If this not known then it is ignorance Life though fleets like a lightening flash Yet it is abundant Time to be in love] Hum Koyee Tarqe-Vafa Karte Hain Na Sahi Ishq Museebat Hi Sahi Kutch To De Ae Falke-Na-Insaaf Aaho Fariyad Ki Rukhsat Hi Sahi [I do not want debate on the sustenance of love Be it not love but another dilemma Give something O biased One At least the sanction to cry and plea] Hum Bhi Tasleem Ki Khoo Dalenge Benayazi Teri Aadat Hi Sahi Yaar Se Chedh Chali Jaye 'Asad' Gar Nahin Vasl To Hasrat Hi Sahi [I will perpetuate the rituals Even if cruelty be your habit Teasing and cajoling the beloved cannot leave 'Asad' Even if there is no union and only the desire remains]

Zindagi Jab Bhi Teri Bazm "bazm" = assembly/company (at a feast or entertainment)

Film - Umrao Jaan Music - Khayyaam, Lyrics - Shahryar, Singer - Talat Aziz Zindagi jab bhi teri bazm mein laati hai hamen Ye zamin chand se behatar nazar aati hai hamen Surkh phulon se mahak uthati hain dil ki rahen Din dhale yun teri aawaz bulaati hai hamen Yaad teri kabhi dastak kabhi saragoshi se Raat ke pichhale prahar roz jagaati hai hamen Har mulaqat ka anjaam judai kyun hai Ab to har vaqt yahi baat satati hai hamen

Meri Zindagi Kisi Aur Ki Meri zindagi kisi aur ki, Mere naam ka koi aur hai Mera naqsh hai sar-e-aaina, Bas aaina koi aur hai…. Mere dhadkano mein hai chaap se, Ye judaai bhi hai milaap se Mujhe kya pata mere dil bata, Mere saath kya koi aur hai…. Na gaye dino ko khabar meri, Na shareek-e-haal nazar teri Tere des mein mere bhes mein, Koi aur tha koi aur hai…. Woh meri taraf nigraan rahe, Mera dhyan na jaane kahan rahe Meri aankh mein kai suraatein, Mujhe chahta koi aur hai…. Meri zindagi kisi aur ki, Mere naam ka koi aur hai Mera naqsh hai sar-e-aaina, Bas aaina koi aur hai…

Koi Yeh Kaise Bataye Arth: Kaifi Azmi/Kuldip Singh - Jagjit Singh

Koi yeh kaise bataye ke woh tanha kyun hai? Woh jo apna tha wohi aur kisi ka kyun hai? Yehi duniya hai to phir aise yeh duniya kyun hai? Yehi hota hai to akhir yehi hota kyun hai? Ek zara haath badha de to pakad le daaman Uske seene mein sama jaye hamare dhadkan Itni kurbat hai to phir phasla itna kyun hai? Dil-e-barbaad se nikla nahi ab tak koi Ek lute ghar pe diya karta hai dastak koi Aas jo toot gaye phir se bandhata kyun hai? Tum musarrat ka kaho ya isse gham ka rishta Kehte hai pyar ka rishta hai janam ka rishta Hai janam ka jo yeh rishta to badalta kyun hai?

Gulshan Ki Faqat 1. gulshan ki faqat phooloN se nahiN, kaaNToN se bhi zeenat hoti hai jeene ke liye is duniyaa meiN GHam ki bhi zaroorat hoti hai [faqat = only; zeenat = beauty/attractiveness] [The beauty of a garden, is not only because of flowers but also due to thorns To live in this world, one also needs sorrows (along with happiness)] 2. ae waaiz-e-naadaaN kartaa hai too ek qayaamat kaa charchaa yahaaN roz nigaaheN milti haiN, yahaaN roz qayaamat hoti hai [waaiz = preacher; qayaamat = day of judgement; nigaaheN = eyes] [E preacher, don't talk to me about The Day of Judgement; Here, everyday our eyes meet, and everyday is A Day of Judgement] 3. woh purshish-e-GHam ko aaye haiN, kuchh keh na sakooN, chup reh na sakooN KHaamosh rahooN to mushkil hai, keh dooN to shikaayat hoti hai [purshish-e-GHam = inquiry of sorrow, pay condolences, sympathize] [She has come to inquire the reasons for my sorrows; I can't say anything, and I cannot keep quiet either Keeping quiet will make things difficult, while telling the reasons would only be a cause for complaints] 4. karnaa hi padegaa zapt-e-alam, peene hi padeNge yeh aaNsoo faryaad-o-fuGHaaN se ai naadaaN, tauheeN-e-muhabbat hoti hai [zapt-e-alam = bottle one's emotions, keep sorrow to heart; faryaad-o-fuGHaaN = crying out aloud and beseeching; tauheen-e-muhabbat = disgracing the act of love] [A person has to bottle his/her emotions and drink his/her own tears By crying out loudly and beseeching attention, hey inncocent, your are only disgracing love] 5. jo aa ke ruke daaman pe 'Saba' woh ashq nahiN hai paani hai! jo ashk na chhalke aaNkhoN se us ashk ki qeemat hoti hai [chhalke = to top the rim and overflow, in this case, the eyes brimming with tears] [Hey 'Saba', the tears that flow from the eyes and fall onto the lap, are not tears but plain water Of priceless value are those tears, which do not flow from the eyes]

Related Documents