FARMANE ILAHI “ aur sab (MILKAR) mazbuti se ALLAH (ke deen) ki rassi ko pakade raho aur ek dusre se alag na hona aur ALLAH ka wah ehsan yaad rakho jab tum(ek dusre ke) dushman the fir ALLAH ne tumhare til me ulfat paida ki aur tum uske fazal se bhai – bhai ho gaye” Sureh : ALE IMRAN
Nabi Sallahu alaihe wassalam ki wasiyat “ maine tumhare pas to aise cheese chori hai jab tak tum unhne mazbooti e pakade rahoge kabhi gumrah na hoge:• Allah ki kitaab … aur • Allah ke rasool ki sunnat Allah ki rah me chalne ke liye is baat ki zaroorat hai ki ek hath me Allah ki kitaab aur dusre me Allah ke rasool ki sunnat ho in dono ki roshni me banda ALLAH ke kubra hasil kar sakta hai
DEEN KA ILAM “ ilm-e-deen hasil karne kel iye koshish aur talab har musalamaan mard aue aurat per farz hai……. Ibn maza, baohaki Deen ka seekhna aur islam ki zaroori baton ka ilam hasil karne ki koshish ibadat hai ALLAH key aha iska beintiha ajar wa sawaab hai aur Allah ke rasool ne iski badi fazilat bayan farmai hai. AAP SALLAHU ALAIHE WASSALAM KA IRSHAAD HAI:* “ jis shakhs ke sath ALLAH subhan wa tala bhalai karne chahta hai use apne deen ka ilam samjha deta hai”…….. BUKHARI, MUSLIM * “ jo ilam ke husool aur uski talaash me rasta chalta hai, ALLAH subhan wa tala us ke liye jannat ke rah asaan kar deta hai”……………MUSLIM • “ Jo shakhs ilam ki talab me niklega to wah ALLAH ke raste me hai jab tak who laut na aye”…………………… ……. TIRMIJI
• Musalmaan ka sab se afzal sadka yeh hai ki who khud ilam seekhe aur apne musalaman bhai ko sikhaye……… …………Ibn-e-maza • SAAT (7) cheese aisei hai jinka sawab marne ke baad bhi jari rehta hai , un saat me se ek ilam hai …. Ibn-e-maza
EHTEMAM-E-SUNNAT JUME KE DIN KE 9 AMAAL Jume ke din ke wah amaal jin per amal karne se ek saal ke nafil rozon aur ek saal ki nafil namaazon ka sawab har kadam pe milta hai (Alhamdullilah Allah hu akbar) 1- Subah ko aur dino ke mukable kuch pahele uthna 2- Gusal karna 3- Saaf kapde pahenna 4- Masjid jaldi jana 5- masjid paidal jana 6- imaam ke kareeb baithna 7- koi galat kaam na karna 8- agar safe bhari ho to namaazi ko fand kar age na jana, khali jagah per baithna 9- khutbe ko gaur se sunna " Aaap sallahu alahihe wassallam ka irshaad hai ki jume ke din mujh per kasrat se durood bheja karo us din roz durood me farishte hazir hote hai aur durood mere huzur pesh kiya jata hai " .......................................................... IBNe MAZA Remeber me in ur dua's MUHAMMAD ISMAIL KHAN (ROOMI)
Khane Ki Sunnat 1. Khane se pahele dhona 2. Dwastarkhan bijhana 3. Khana shuru karne se pahele buland awaaz se BISMILLAH padhna. Shuru mer bhool jaye to jab yaad aye to padhe mismillahi awwal wa akheerahu padhe 4. dahine hath se khana 5. khane ki majlish me jo sab se buzurg ho un se khana shuru karma 6. khana ek kisim ka ho to apnea samne se khana 7. agar khane ka koi lukma gir jaye to use utha kar saf kar ke khana 8. tek laga kar na baithna 9. juta utar kar baithna 10.khane me koi aib (kami) na nikalna 11.khan eke baad bartan ko saaf karnlena (unglion se chaat kar) isse bartan us ki magfirat ki dua karte hai 12.khan eke baad ungliyon ko chatna 13.khan eke baad yeh dyua padhna ALHAMDULILLAZI IT”AMNA WA SAKANA WA J”ALNA MIN’LMUSLIMEEN (Shukra hai ALLAH TALA ka jisn ne hame khilaya aur pilaya aur hame musalmaan banaya) 14.dwastarkhan uthana fir khud uthna 15.khan eke baad dono hath dhona 16.kulli karma 17.khanw ke waqt bilkul khamosh rehna makruh hai 18.khane per sirka istimal karma sunnat hai 19.gehu me kuch jao mila lene se sunnat per amal ka sawab hai 20.muslaman bhai ki dawat kabool karnasunnat hai 21.mil jul kar ek sath khane me barkat hai 22.garm khane ki thanda kar ke khana 23.gosht khana sunnat hai
PEENE KI SUNNAT
1.
2. 3.
4. 5.
6. 7.
Dahine (right) hath se pina baith kar pina teen baar me pina Bismillah keh kar pani pina aur pine ke baad Alhamdullilah kehna bartan me sans ya phook marna makruh hai bartan tuta hua hai to tute kinare se pina ab-e-zam-zam aur wazoo ke pani ko khade ho kar pina
Libas Ki sunnat 1. Libas har waqt paak aur saaf rehna chaiye 2.Jah atak ho sake libaassada aur safed pahenna chaiye (aap 3.sallahu laiahe wassallam ko safed rang pasand tha) libas ki sadgi iman ki alamat hai aur ambiyah ki sunnat 4.Libas dahini (right )taraf se pahenna aur baye(left) taraf se Uatarna 5. amame ki neiche topi pahenna kala safa bandhna shmla odhna 6. payjama shalwar ya lungi takhno ke puar rakhna 7.jutna pahele right pair me fir left pair me pahenna uatarte waqt left pair fir right pair se uatarna 8. Libas aisa ho jisse pura badan dhak jaye . bareek libas pahenne wali auraton per AAP SALLAHU ALAIHE WASALLAM ne lanat farmai. 9. Kusum me ranga hu zafrani rang ka kapda nahi pahenna cahiye Resham aur sona mard pe haram hai aur auraton pe halal hai Un nadaro ke kapdo ki bhi fikar karni chaiye jin ke pass tan thakne ko kuch bhi nahi