jo burai ka rasta ikhtyar karta hai woh rusva ho jata hai. taufike rab kya shay hai ? kisi ke paas sare asbab maujud hai. sab tayyar hai sab thik thak hai lekin sura kahaf mein hai : hargiz mat kehna ke yeh kaam mein kal zarur karunga. TUje kya pata ? Sirf tab jab Allah chahe. iska yeh matlab nahi ki mehnat na karo. lekin ye bhi nahi ki Allah ki kudrat se bahar nikal jaoge. Yeh hai darhakikat sab se badi nemat. Insan ko choice milti hai. Jo rasta ikhtyar karna chahe insan ko choice di jati hai. Sahi aur galat. Bhala aur bura. Allah ne ehle iman ke liye jannat sajayi hai aur mushriko gunahgaro ke liye jahannam bhadkayi hai. Ehle iman kon hai ? jo Allah ki raza par razi rehte hain. Woh khauf jo galat kamo se roke. Ho sakta hai tumme se koi shakhs musalsal nekiya karta rahe lekin usne ek labada odha hua hai aur woh dhala huva hai zyada dunyavi nafsani khwahisho ki taraf. Lekin ek waqt aata hai jab jo jahannamiyo se aamal karta hai aur uski asal shakhsiyat ubhar kar aa jati hai. Hak aur neki ka jazba aur jaddojahad jab tak paida naho, aur kashmakash mein kamyab na utre,