Tarana E Milli

  • June 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Tarana E Milli as PDF for free.

More details

  • Words: 426
  • Pages: 3
Afaaq me laqab tha fakhre-e- jahan hamara Tha ghal-ghala zameen se ta asman hamara cheen o Arab hamaraa hindostaaN hamaara Muslim hain hum; watan hai saara jahaaN hamaara Baithe huwe hai apane allah ke sahare Hai sub se hath khinche hai sub se latama re Sar se kulahe kasrat phirate hai hum utare tawheed ki amaanat seenoN meiN hai hamaarey aasaaN naheeN miTaana naam o nishaaN hamaara pooja khuda ko kisane pahle hum hi ne pooja is aitbar se hum karte hai ab yeh daawah dunyaN ke but-kadoN meiN pahlaa woh ghar khudaa kaa hum uskey paasbaaN haiN woh paasbaaN hamaara tegon ke saya me hum pulakar jawan huwe hai himmat ka dudh pikar ratbullisan huwe hai teeron ke zakhm kha kar kashwar satan hue hai tayghon key saaye meiN hum, pal kar jawaaN huwey haiN khanjar hilaal kaa hai qawmi nishaaN hamaara Fariyad jaa rahi hai ta aasman hamari Hamde khuda hai goya aah-o-foogan hamari Kis jaa nahi pukari us ko zunban hamari maghrib ki waadiyoN meiN guunji azaaN hamaari

thamata na thaa kisee se sayl rawaaN hamaara mauke pe maan ko mode aise jawan nahi hum junnar se garaz kya mahwe butan nahi hum haq baat kyun na kah de kuch bezuban nahi hum baatil se dabney waaley ay aasmaaN nahiN hum sau baar kar chukaa hai tu imtihaaN hamaara thisali ke jane walo thisli se jab guzar ho sunee imaraton se halat hamri pucho aur yeh bhi puch lena espain se jo palto ay gulsitaan e andalus! woh din haiN yaad tujh ko thaa teri DaaliyoN par jab aashiyaaN hamaara ae nahre neel beshaq ti janati hum ko apna gayur sabkuch garwanti hai humko pani piya hai tera tu janati hai humko ay mawjey dajlah! tu bhi pahchaanti hai hum ko ab tak hai tera daryaa afsaana khwaaN hamaara Iraqi sarqashi se hargiz nahi dare hum Himmat bhari thi hum me himmat se the bhare hum Apani hatheliyon par phirate the sar dhare hum ay arz e paak! teri hurmat pey kaT marey hum hai khooN teri ragoN meiN ab tak rawaaN hamaara

Sar zuk raha hai hardum waqt-e- namaz apna Us beniyaaz ke hum who beniyaz apna Jata hai soo-e- taiba ab taq jahaj apana saalaar e kaarwaaN hai Mir e Hijaz apnaa is naam se hai baaqi aaraam e jaaN hamaara Do din me dekh lena allah ne jo chaha Chamkega az sare naoislam ka nasiba Yeh kaul hai shara ka tum is ko yaad rakhna Iqbal kaa taraana baang e daraa hai goyaa hotaa hai jaadah paymaa phir kaarwaaN hamaara

Related Documents

Tarana E Milli
June 2020 5
Milli Cloze
November 2019 13
Milli Saraylar
April 2020 2
Milli Strateji
November 2019 8
Milli Esempio Ogg
November 2019 10