Suna Hai Log Ussay Aankh Bhar Ke Dekhtay Hain

  • May 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Suna Hai Log Ussay Aankh Bhar Ke Dekhtay Hain as PDF for free.

More details

  • Words: 336
  • Pages: 2
1. Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain So us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon se So apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us ki So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shaguf So hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hain Yeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai Sitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hain Suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhain Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain Suna hai raat se barh kar hain kaaklain us ki Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein Mizaaj aur hi laalo-gohar ke dekhtay hain Suna hai chashm-e-tassavur se dasht-e-imkaan mein Pallang zaweyey us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain Bas ek nigaah se lut’ta hai qaafila dil ka So reharwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain ab usske shahar main tahren k kooch kar jayen faraaz aao sitaare safar k dekhte hain

Related Documents

Bhar
April 2020 4
Suna Cataltepe
November 2019 5
Hai Hai
November 2019 49
Hai
June 2020 28