Socha Na Tha

  • November 2019
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Socha Na Tha as PDF for free.

More details

  • Words: 2,161
  • Pages: 10
| | Om gan ganpataye namah | |

Socha na tha ?! Sc. 1/1/day/ext/chawl (Chawl establish karte hue Aakash dudh ki thaili hath me liye Tai se chhipte hue bhagta hai) cut to… Sc. 1/2/day/int/room (Room me camera poster se pan hote hue newspaper par tikta hai jis par likha hai “Yuva Filmo Mein Aane Se Pehle Apna Chehra Aaine Me Dekhen : Mahesh Bhatt” Aditya apna chehra mirror me magnifying glass se dekh raha hota hai. He is ready to go out side. Itne mein Aakash ki entry hoti hai..[hath me dudh ki thaili]) Aditya –

(Dharam style me, Aakash ka gala pakad kar) kutte kamine main tera dudh pee jaunga.

Aakash –

(gala chhudate hue, do kadam aage badata he)

Aditya -

(uske kandhe par hath rakhate hue, he is singing) abhi na jao chhod kar ki dudh abhi piya nahi (Aakash piche ghumta he) ye dudh….. ye dudh hame de de thakur

Aakash -

(with little anger, sanjeev kr. Style me) Aditya dudh baad me lena pehle laat le (use ek laat marta hai) (Aditya gir jata hai) Sale teri wajah se mujhe zillat ki zindagi jina par rahi hai.

Aditya -

Abe maine kya kiya hai?

Aakash -

Kya kiya? ….. niche wo Tai kiraye ke liye fun failaye khadi hai. Sala isliye mujhe pipe se chadkar aana para. Raja sahab kuch kaam karo kaam

Aditya -

Kaam hi to dhoondhne ja raha hoon yaar. Aaj 2-baje Contiloe studio me tere bhai ka screen-test hai. Lekin usse pehle mujhe Yashraj Films ke office jana hai, Casting-director se 11 baje ka appointment hai.

Aaksh -

To abhi tak yahan kyon para hai? (Aditya dekhte hue) jaldi ja warna apne 225we appointment me 138we bar late ho jayega.

Aditya -

I am going man. (dharma style me) Yash Raj films main aa raha hoon.

Aakash-

abe pehle joote to pehan. cut to…

Sc. 1/3/day/ext/chawl stairs (Aditya neeche utar raha hai tabhi use padosan dikhai deti hai. She is at the door) and he starts singing… Aditya –

Ghar se nikalte hi…. Kuch duur chalte hi…. (padosan apna darwaja band kar deti hai) cut to…

(Mumbai ki daud-bhag ka stock shot…. Building ka shot) Sc. 2/1/day/int/yash films (cd gilbert and ad roy aapas me baatchit kar rahe hai..) CD –

All characters are finalized roy… hero se lekar villain tak, sabhi ke dates bhi mil chuke hain. A3 ke remake me maine casting par khas dhyan diya hai.

AD -

Keep one thing in mind, A3 ka chhota se chhota character bhi powerful hona chahiye

CD -

Oh! No, Roy ek problem hai.

AD -

(Striking the table) woi hum sochta tha ki tumhara kaaj bina problem ke kaise finish ho gaya.

CD -

Are Roy, Ab kya bataoon yaar, chhakke ke role ke liye koi sahi actor mila hi nahi.

AD -

What r u saying man? Kuch bhi karo par kal tak sab final ho jana chahiye. (itne me Gilbert ka landline phone bajata hai)

CD -

ya, (ruk kar) who? Ok, let him come. (Aditya ki entry) knock on the door

Aditya -

may I come in sir.

CD -

yes come in young man.

Aditya -

Sir, I am Aditya saxena, sir aapse phone Par baat hui thi….

CD -

yes tell me what do u want?

Aditya -

Sir, main national acting school ka pass-out hoon, aapki nayee film Amar Akbar Anthony me acting ke liye… (yaha se ham AD ka visualization bhi dikha sakte he)

CD -

(cross karte hue) well young man, tum apna portfolio yahi chhod do, Agar koi role hoga to we will call you.

Aditya -

Sir, agar aap kahe to main aapko apni acting ka ek namoona dikhaun?

CD -

no no your portfolio is enough

Aditya -

Plz sir, main kaafi achhi acting karta hoon, bas ek bar aap chance dijiye

CD -

no, there is no need of such things, u can go now. (Aditya chala jata hai)

AD-

Gilbert, ye ladka chhakke ke liye kaisa rohega?

CD -

this guy? But he wants to be a hero.

AD -

itna bada banner me first break ke liye to koi kuch bhi kor sakta hai, eee chhokka kya chiz he? Tum usko kol bula lo. cut to…

(Mumbai ki bhag-daud ka stock shot…. Building ka shot, board laga hua hai) Sc. 3/1/day/int/studio

(Corridor mein 6 – 7 log screen test ke liye baithe hain, peon kaan khuja raha hai…. Aditya ke dialogue ke last line chal rahi hai) Aditya – (Acting karte hue) tum nahi jee sakti maa. Sorry sorry sir, tum nahi mar sakti maa. Selector -

Cut, ok next cut to…

Sc. 3/2/day/int/studio corridor (bahar nikalte hue Aditya tention me hai kyonki usse galti ho gayee hai, selector mobile par baat karte hue bahar aata hai) Selector -

Ya, Desai speaking

(achanak Aditya ka dhyan uski taraf jata hai aur wah uski baat khatm hone ka intezaar karne lagta hai, peon uski harkato ko ghure ja raha hai) (after some time) Aditya -

Excuse me sir

Selector -

yes

Aditya -

sir main isse aur behtar perform kar sakta hoon

Selector -

Don’t worry mr……….?

Aditya -

Aditya saxena

Selector -

ya Aditya, tumne achha perform kiya hai, lets see ab to kuchh hi der me pata chal jayega

Aditya -

sir, Deshpande sir ne kaha tha ki aap meri madad zaroor karenge

Selector -

Deshpande?

Aditya -

Sir wo jo National acting school ke professor hain

Selector -

Are haan-2 deshpande ji, Achha to wo tum ho, tumne pehle kyon nahi bataya, tum baitho main kuchh karta hoon cut to…

Sc. 3/3/day/int/studio (wo chala jata hai, itne me Aditya ka phone bajata hai) Aditya -

hello (pause) ya Aditya here

(split screen) CD -

this is gilbert from Yash raj films

(khushi ke mare Aditya jor se bolne lagata hai aur peon use bahar jane ka ishara karta hai) Aditya -

yes sir, good after noon sir

CD -

there is a role for u in remake of A3, so kal 10’oclock tum office aa jana.

Aditya -

ok sir, I will be there , thank u sir

(phone cut karte hi wo apne sapno me kho jaata hai aur apne aapko Amar Akbar Anthony ke roop mein visualize karta hai) Peon -

(Aditya ko jhakjhorte hue) O hero tumko andar bula rahe hain

(Studio ke andar jata hai …..aditya ke tewar badal gaye hain) Selector -

congrates! Mr. Aditya Saxena, aapko hero ke dost ka role offer kiya ja raha hai

Aditya -

(akad kar) I am very sorry to say sir, ab main ye role nahi kar sakta

(tino selector ek dusre ko dekhne lagte hain) Selector -

abhi to tum iss role ko pane ke liye gidgida rahe the ab kya ho gaya?

Aditya -

Aditya saxena aise chhot- mote role karne ke liye paida nahi hua

Selector2 - what? fir kaise role karne ke liye paida hua hai? Aditya -

Lead role

Selector 1- Lead role kya tumhara baap dega Aditya -

Baap nahi, Yash raj films dega. Ok mere pass jyada waqt nahi hai so good bye to all of u

(waha se chala jata he) cut to …. Sc. 4/1/evening/int/room (chawl me shaam ki halchal…. Room ke andar Aakash movie dekh raha hai, Aditya aakar t.v. band kar deta hai)

Aakash -

Abe sale t.v. kyon band kar diya?

Aditya –

(khushi se announcement karte hue) abe tu kya ye sadi gali movie dekh raha hai, kyonki ladies and gentleman it is time to watch your superstar Aditya.. .

Aakash -

Abe o sukhe hue handpump, kuch batayega bhi ya yoon hi uchhal kud machata rahega?

Aditya -

Aakash aaj is handpump ka sukhapan dur ho gaya hai, (nachte hue) mujhe Amar Akbar Anthony ke remake me role mil gaya hai.

Aakash -

Kya baat kar raha hai (excitement me) achha kauna se role ka offer hai? Amar ka, Akbar ka ya Anthony ka?

Aditya -

(serious hote hue) are ye to maine puchha hi nahi…. No probs… kal subah 10 baje sab pata chal jayega

(apne joote utarte hue bolta hai) kal tu bhi chalna mere sath, after all its my first chance cut to …. Sc. 5/1/morning/ext/milk shop (Aditya dudh ki dukan par khada hai aur dukan wala ladka use thaili deta hai itne me dukan ka malik kehta hai) mohan -

are Aditya bhaiyaa bade dino ke bad dikhyee diye aur ye do litre doodh kiske liye?

Aditya -

Apne liye hi he bhaiyaa, ab hamare din badalne wale hain

Mohan -

ou kaise? Konho lottery-wottery lag gayee he ka?

Aditya -

Lottery hi samjho, film me hero ka role jo mil gaya hai isliye socha thoda body shody bana loon (biceps dikhate hue)

Mohan -

eee to bahut khusi ki baat he. Adi bhaiya wo hamara kuch….

Aditya -

(bich me tokte hue) kuch kya tumhara sara hisab kal barabar kar dunga

Mohan -

are bhaiya paise ke pichhe kaun pada hai Hum to yah kah rahe hain ki hame bhi acting ka bhut chada hai

Hero bankar hame bhul mat jana (Adi dodh ki thaili lekar chala jata hai. Raaste me Tai mil jaati hai.) Tai -

(Bhim singh ko bolti hai) uss ladke ko pakdo

(pahalwan use pakadta hai. Aditya achraz se dekhta hai) Tai -

Chalo ek to aaya pakad me.

Aditya -

Are Tai kya karti ho, main koi bhag thodi raha tha

Tai -

Tum dono naaspito ka koi barosa nahi, tera wo dost Aakash, roz pichhe se nikal jata hai.

Aditya -

Ab pichhe se nikalne ke din gaye Tai. Tumhara Adi ab hero banne wala hai

Tai -

(chikoti katate hue) hero ban ya villain, Tai ko apna teen mahine ka kiraya chahiye.

Aditya -

main bhi yahi kahane wala tha, signing amount milte hi sab ke hisab barabar kar dunga.

Tai -

oye Bhimsingh, sham tak in kamino ka paisa nahi aaya to chawl se inka tikat katawa dena cut to….

Sc. 6/1/morning/int/room (Aditya bathroom se nikal raha hai. Aakash baal sanwar raha hai) Aakash -

oye superstar! Jaldi taiyar ho ja warna tera signing amount koi aur le jayega

Aditya -

Time kya hua hai?

Aakash -

nau baj gaye hain aur apka dus baje ka appointment hai

Aditya -

What nau baj gaye! (jaldi jaldi kam karne lagata hai frame speed fast)

(Frames speed normal hoti hai, Aaditya bed par se finally watch uthata hai. aur kamare se bahar nikalta hai. Aakash lock lagata hai, iss beech Aditya padosan ko dekhkar style marta hai) Aditya -

Sala main to sahab ban gaya

(Aakash usse khinchta hai) Aakash -

Abe sahab ke bachche jaldi chal

(utarte hue Aditya padosan ka darwaja band kar deta he) cut to….

Sc. 7/1/morning/int/yashraj films - reception (sidiyon se chadte hue Aditya aur Akash aate hain. Wo thoda late ho gaye hain) Aditya -

(reception par) excuse me

Recp. -

Mr. Aditya?

Aditya -

yes

Recp. -

you can go inside. Mr. Gilbert is waiting for you. cut to…

Sc. 7/2/morning/int/yashraj films - office Aditya -

May I come in sir?

C.D. -

oh yes Aditya, plz come in

Aditya -

Good morning sir (wo reply dete hain) sir he is my friend Aakash

C.D.-

oh pleased to meet you. (A.D. ki or ishara karte hue) Aditya ye hamari movie ke Asst. Director hain Mr. Roy. Ye tumhe tumhara role samjhayenge

(uske kandhe par hath rakh kar use alag le jata hue) A.D. -

Aditya hum jo role tumhe de raha hai wo chhota zaroor hai kintu bahut important hai.

Aditya -

zaahir si baat hai sir, jis film mein teen – teen hero ho usme role to chhota hoga hi. Lekin mujhe koi problem nahi hai sir.

A.D. -

Yes, you r right, kintu yeh role kuchh alag type ka hai. Original movie me to yah character kewal gaane me hi hai, kintu hamara movie me tumhara dialogue hai aur acting ka scope bhi bohut hai.

C.D. -

I think its a great opportunity for you

Aditya -

but sir mujhe kiska kirdar nibhana hai?

AD + CD - chhakke ka (background me do taliyaan bajti hain) Aditya -

chakke ka? Ye aap kya kah rahe hain sir. Aditya saxena kya chhakke ka role karega. main yaha hero banne aaya hoon chhakka nahi.

(frames fast ho jati he A.D. aur C.D. dono Aditya ko samjhate hain. Aakash ko ishara karte hain Aditya ko samjhane ke liye. Aakash, Aditya ko kone me le jata hai) Aakash -

They are right Adi. Bhagte bhoot ki langoti hi bhali

Aditya -

Lekin yaar Aakash langot aadmi ki ho to bhi thik. Ek chhakke ki? cut to…

Sc. 8/1/day/int/make up room There is a call from crew :- Artiste ko bulao Camera is moving towards the make-up room jaha Aditya ko chhakke ke role ke liye taiyaar kiya jata hai aur background mein gaana chal raha hai… Socha nahi tha …………….

The end.

Related Documents

Socha Na Tha
November 2019 21
Eileend Socha
December 2019 14
Socha Karo
July 2020 11
Tha Q_1
June 2020 13
Tha Q_3
June 2020 5