Shaoor Ki Batain

  • June 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Shaoor Ki Batain as PDF for free.

More details

  • Words: 366
  • Pages: 3
Q: Deen kahan say ata hay logon k paas? ANS: Logon k paas deen ata hay un k baap dada or un k mahol say. Q. kia baap dada ko follow karma positive attitude hay? Ans: agar baap dada ko follow karma positive attitude hota to dunia ka tamam mazahib sahee qarar deay jatay.is k wrong honay ka sab say pehla sabot yeh hay k har koi khud ko sahee mazhab par kehta hay or yeh sab jantay hain ka saray mazhab or firqay sahee nahee hosaktay. Jo muslims hain un k lea quran ki daleel kafee hay k jab b logon ko islaam ki dawat deegai to unhoon nay agay say yehi kaha ka hum apnay baap dada ki pairwi karaingay or Allah nay is jwab ko kabee accept nahee kia.

Q.3 Agar baap dada sahee rastay par hon to Kia phir b un ki pairwi juram hogi? Ans:Kaisy maloom k baap dada sahee rastay par hain. Agar kisi k chehray par likha hota k wo Allah ki nazar main sahee aadmi ya momin hay to zaror us ki pairwi ke jatee. Lekin aisa nahee hay. Agar har koi apni nigah say dekhay ga to usay apnay baap dada theek he nazar ayengay jaisa k tamam dunia ko deen k mamlay main apnay parents sahee nazar atay hain. 3. Bohat kam log hotay hain jo yeh samjhtay hain ka hamaray baap dada b ghalat hosaktay hain jis trah Ibraheem pbuh nay nabowwat say pehlay hee yeh ahsas karlia tha k mera baap jis mazhab par hay us main mistakes hain.isee trah jitney peghambar Allah nay chunay wo nabowat milnay say pehlay say yeh

shaoor rakhtay thay k un k baap dada ghalat hosaktay hain. agar peghambar ki olad nay apnay baap ki pairwi kee to kia wo baap dada ki pairwee nahee kehlay gee? Ans: peghambar ki olad nay be sab say pehlay yehi manna hota hay k un ka walid peghambar hain or yeh manna aisa hee tha jaisay koi dosray log jo eman laey thay.Lehaza peghambar mannay k baad baap dada ki pairwi wali baat khatam hogai.ab wo unahain is trah nahee maan rahay jis trah koi baap dada ko manta hay. Q.

Related Documents