yehi wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se safeena doob raha hai, to koi baat nahi rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi kise majaal kahe koi mujh ko deewana agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi apne aagaaz se aaaj tak zindagi teri hi yaad main gum rahi phir bhi jaane kyon yeh ihsaas hai jaise chaahat meri kam rahi apne haatho se yun chehre ko chupate q ho mujh se sharmate ho to saamne atay q ho tum kabhi mere tarha kar bhi lo ikraar-e-wafa pyar karte ho to phir pyar chupate q ho ashq aankho mein mere dekh k rote q ho dil bhar aata hai to phir dil ko dukhate q h in se vaabasta hai jab mera muqadar phir .... mere shano se ye zulf hatatay q ho...... roz mar mar k mujhe jeenay ko kehte q ho milne aatay ho to phir laut k jatay q ho... apne haatho se yun chehre ko chupate q ho mujh se sharmate ho to saamne atay q ho... yeh qana aut hai qata aut hai ke chahat hai faraz hmu to raazi hain who jis haal main jaisa rakhe ghuftogho kijiyye key yeh fitrate insaan hai shokaib jaale lagh jaate hain jub band makaan hoon kiya khaber thi ke muhabbet ke safar main tanhaa
bina manzil ke chalna hooga mashall e ghum na bujhaoo ke phir iske bager raasta gher ka bhula deti hain yaadien jorde laghte gaye fasaane main raaz khulte gaye chupaane main roothne ka sabab to tum jaano hum to masroof the manaane main
jorde laghte gaye fasaane main raaz khulte gaye chupaane main roothne ka sabab to tum jaano
muhabbat main her zakham khatey rahey hain magar phir bhi hum muskuratey rahey hain kisi morr pe humse mil jayeingey woh tasalli yeh dil ko dilatey rahey hain talab terey bin kuchh nahin hai khuda se younhi haath ooper uthatey rahey hain kitabon main rakhi woh tasveer teri subh-o-sham khud ko dikhatey rahey hain zamaney ka darr us ko basla nahin hai nazar pe nazar woh milatey rahey hain main chaahataa bhii yahii thaa vo bevafaa nikle use samajhane kaa koi to silsala nikle kitaab-e-maazii ke auraaq ulat ke dekh zaraa na jaane kaun saa safaa mudaa hua nikle jo dekhne mein bahut hii qariib lagataa hai usii ke baare mein socho to faaslaa nikale phir mujhay deeda-e-tar yaad aaya --dil jigar , tishna-e-faryaad aaya --dam liya tha na qeyamat nay hunooz --phir tera waqt-e-safar yaad aaya --zindagi yoon bhi guzar hi jaati ---
kyun tera rah guzar yaad aaya --aah ! woh jurrat-e-faryaad kahan --dil se tang aa ke jigar yaad aaya --phir teray koocha ko jaata hai kheyal --dil gum gushta magar yaad aaya --main nay majnoon pe larakpan main basla --sang uthaya tha ke sar yaad aaya ---
haal e dil dostoon say chupaya nahi kartay. jo detain hann dhoka wo dost kehlaya nahi kartay. ati jin say zara bhi dosti ki khushboo. un ko bar bar azmaya nahi kartay. jo rakhtay hann bharam dosti ka imar bhar . un doston ko kabhi bhulaya nahi kartay…
dard kaisa bhi ho ankh nam na karo dard kaisa bhi ho ankh nam na karo raat kaali sahi koi gham na karo ik sitara bano jagmagatay raho zindagii mein sada muskaratay raho baant'ni hai agar baant lo har khushi gham na zahir karo tum kisi per kabhi dil ki gehraai mein ghum chupatay raho zindagii mein sada muskaratay raho ashk anmool hain kho na dena kahin in ki har boond hai motiyoon se haseen in ko har ankh se tum churatay raho zindagii mein sada muskaratay raho faaslay kam karo dil milatay raho zindagii mein sada muskaratay raho
itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga, ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga ! pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo, main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga ! har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi, kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga ! zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka, tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga ! phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,
main to khushboo hoon phizaon mein bikhar jaaoonga ! itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga, ab agar aur dua dogay to mar jaaonga !
us larki k naam ........... zindagi ki khawahish main ek benaam si manzil par, chalti huey yeh larkian kya janain yeh raasta unhain kahan tak lay jai ga waqt ka pahiya jab achanak beraham ho jai ga wafa ka waada karnay wala bewafa keh laai ga chahat ka daawa karnay wala, tum ko dooshi thehray ga tab khulay gi ek haqeeqat yeh duniya mardoon ki hai raaj chalta hai chaar soo inka qoum humari hai bebus dekho tu larki, ghoor karo tum hi kyon majboor bano, zalimoon k zulm saho, kyon tum nay banaya khud ko beqas, laachar,majboor aur bebas, kyon ansoon hain taqdeer tumhari, kyon khushiyaan tum say rooth gai hain kyon auraat hi wafa ki dewi, kyon is k zimmay hai qurbani, shayad.... barsoon say aisa hi hota aya hai, sadiyoon tak aisa hi hota jai ga, ek na ek din har jhoota bharam toot hi jai ga, haath pakar kar chalnay wala jab dhooka day jai ga, yeh rasta sirf aur sirf mout tak lay jai ga, phir tum soocho gi, ghabrao gi, roo lo gi, pachtao gi, suno larki....., gaar tum bachna chahti ho, zinda rehna chahti ho, apnay qadam wapis lay lo, ab bhi waqt hai lout aaoo, lout aaoo tum lout aaoo.............
teri yadoon k saye se door daman hum apna bachate rhey tum samjh na sakey bewafa akher hum ko bas jafaon se hi azmate rhey teri ek muskhurahat par hum mar jate magar tum bewafaion k nashtar chalate rhey shayed k kabhi ajay unhein khyal hamara bas yehi umeed hum dil ko beylate ray wo to pathar ki murat hai na pighley gi kabhi hum nadaan they jo iss se dil lagate rhey…… aziiz itanaa hii rakho ke jii sambhal jaaye ab is qadar bhii na chaaho ke dam nikal jaaye mile hain yuun to bahut aao ab milen yuun bhii ke ruuh garmii-e-anfaas se pighal jaaye muhabbaton mein ajab hai dilon ko dhadakaa saa ke jaane kaun kahaan raastaa badal jaaye rahe vo dil jo tamannaa-e-taazaa tar mein rahe khushaa vo umr jo khvaabon hii mein bahal jaaye main vo charaag-e-sar-e-rahaguzaar-e-duniyaa huun jo apanii zaat kii tanhaaiiyon mein jal jaaye har ek lahjaa yahii aarazuu yahii hasrat jo aag dil mein hai vo sher mein bhii dhal jaaye
~*~.........~*~
manzlian bhi us ki thee ..rasta bhi us ka tah ...log bhi usi k tahy karwan bhi us ka tah ..sath sath chalny ki khawishain bhi us ki thee ..or phir bichrny ki arzo bhi uski thee ...ajj q aklyaa hon dil sawal karta hay....log to usi k tahy kia khuda bhi us ka tah
meri dharkan se dil ka dharkna
mangoge
meri dharkan se dil ka dharkna mangoge ek din tum mujhse mera pyaar udhar mangoge main voh phool hoon jo tere chaman se na niklega apni veeran zindagi ke liye bahar mangoge farsh ta arsh ajal aur abad sab dekhenge manzar beete huei har lamho ka tum azaab mangoge abhi dekha hi kahan hai tumne meri muhbbat ka asar tum mujhe ulfat main apni shamo-o- sahar mangoge behtar hai waqt se samjhuta kar lo manan guzre waqt se phir kaisay apna hisab mangoge
sabhi udaas moasam hain kabhi milney chaley aao dukhon main ham tu gum sum hain kabhi milney chaley aao
tumhare baad kaise roanaqain is dil ki nagri main sabhi charagh madham hai kabhi milnay chaley aao
tumharay paas tu hon gi zamane bhar ki sab khushian hamare paas tu gham hain kabhi milney chaley aao
tumhari yaad ab dil ko bohat takleef deti hai nigahain bhi tu purnam hain kabhi milney chaley aao
lagey hain zakham kitney bay baha dil pe mohabbat main tumhare lafz merham hain kabhi milney chaley aao
bohat hamderd hain yun tu hamarey bhi zamane main mager phir bhi bohat kam hain kabhi milney chaley aao
yeh pather hi na ho jaain nigahain dekhte rasta k khushian bhi tu berham hain kabhi milney chaley aao
na jane kab yeh feroz haar day sanson ki bazi ko isse lahq tere gham hain kabhi milney chaley aao
"o0r kuch nahin hota to0 bhari barish mein ......... tujh say bichday huay rasto0n pay safar karta ho0n.........
shart-e-wafa is zamanay say na hum koi gilaa rakhain gain dil lagain gain tu na shart-e-wafa rakhain gain na dekhain gain kabhi dil pay lagay zakhm unhain dard uthay ga magar dil ko daba rakhain gain jaan day daingain agar aik ishaara kar day hum usay apnay liey bhi na bacha k rakhain gain sab hata daingain teri raah ki rukawat humdam ghar k darwazay ko har waqt khula rakhain gain unki har baat ko bhoolay say na bhoolain gain kabhi unki yadoon ko bhi seenay say laga rakhain gain toot bhi jay gi umeed jo terey aanay ki ek diya phir bhi hawaaon main jala rakhain gain…. aa ker tum khuwaaboon ko mere jagah na do; tarapte dil ke dard ki yunh dawa na do; duniya ke ghum soonp ker mujhe; ab khush rehney ki dua na do;
dikhla ker mekhaney ka rastaa phir; ab-e-zam zam ki sada na do; kaantey bhar ker merey daaman mein; mujhe pholoon ki si adaa na do; mila ker zeher merey ja’am mein; mujhe be-wajah maut ki wajah na do; gunaah jo sarzad hua hee mujh se; pal pal be gunaahi ki saza na do; badnaam ker ke uss ki galiyoon mein ab; uss ke aashyaaney ka tumhee pata na do; mohabbat kertey hein, dikhana nahi jaantey; ilzaam magroori ka de ker ye sila na do; jala rakha hai ummeedoon ka diya sadyoon se; pal bhar ki khalish se isey bujha na do; mein ek na cheez sahee kisi ke dil ka hisssa hoon; mujhe yunh sufha-e-hasti se mita na do; zaib nahi deta mujhe mohabbat ka husool; nafrat hee sahee,tark-e-talluq ki magar hawa na do; cheen ker mujh se zindagi meri; mujhe aur jeeney ki bad’dua na do
************
mout per bhi hey yaqeen un per bhi hey itbar dekhtey hain pehley koon ata hey humain donoo ka intazer hey kuch yadain dil per jum jati hain jinhy nah barish ka pani mita sakta hai
na hi uonhy hawa ka zoor doour laiy ja sakta hai nah yee kisi terha hawa mai tahleel ho sakti hain nah mai inhe khurach ker nikl sakti hain aaisi hi ek yaad mery dil per hai woh ekpal jisme humne dunya ji li woh lamha amer ho chuka hai lakin aaj bhi tumhary doour hone ka sadma kam nahi hota sunno ek baatkahni hai lout ao lout ao
************ ankh ban jati hia sawan ki ghata sham ke baad loat jata hia ager koi khafa sham ke baad woh jo tal jati rahi sir se bala sham ke baad koi to tha jo deta tha dua sham ke baad ahhey bherti hia shab-e-hijir yatimoo ki terhan sard hojati hia her roz hawa sham ke baad . sham se pehley lakh sulaey rakhiey jag uthti hia mohobat ki ana sham ke baad , sham tak qaid raha kertey hia dil ke under dard ho jatey hia sarey hi riha sham ke baad, khuab toot ker lipat jatey hia band ankho se janey kis jurum ki hia kis ko saza sham ke baad, chand jaab roo ke sitaroo se galey milta hia aek ajib rang ki hoti hia fiza sham ke baad, main ager khush bhi rahoon phir bhi mere siney main soogawari to roti hia sada sham ke baad ,
tum gaey to siyah rang ke kaprey pehney phir ti rehti hia mere gher main qaza sham ke baad , main ne tanhai se poucha miloo gi kaab tak us ne foran hi baicheni se kaha sham ke baad loat ati hia meri shab ki ibadat khali janey kis arsh per rehta hia khuda sham ke baad , ajib muthi main jakrey rakhta hia din mujhey mujhey iss baat ka ahsas howa sham ke baad, koi bhoola howa ghum hia jo musalsal mujh ko dil ke patal se deta hia sada sham ke baad, mar deta hia ujer janey ka dohra ahsas kash koi ho na kisi se juda sham ke baad ,,……………..
y our absence should be long enough ...... so that somebody misses u. ....but it should not be so long .....that somebody learns to live without u. so .... keep in touc h
" oh love " oh love, reach out with your heart, i have been there from the start. with love and feelings waiting to flow,
a mortal heart of love to fill your soul. a fantasy of dreams with love that you had, a true desire of love in heart makes me sad. oh love, reach out from the past of time, all past feelings of love you will find. open your heart and soul with your care, a tranquil of love from my heart fills the air. reach out one more time from your heart, embracing that love we shared from the start. apne har har lafz ka khud ayina ho jaoonga us ko chotha kah ke main kaise bada ho jaoonga tum girane main lagay thay tum ne socha hi nahi main gira to masla ban ker khada ho jaoonga mujh ko chalne do akaila hai abhi mera safar raasta roka gaya to qafilaa ho jaoonga saari dunya ki nazar mein hai mera ahd-e-vafaa aik tere kahne se kya mein bewafa ho jaoonga
jab say ahsaas kay shouloon nay bharakna seekha shama -e- zeest nay har aan peghalna seekha teri qurbat nay jalaey thay jo is dil main charag teri doori say charagoon nay bharakna seekha ak sannata tha , weeraan thi guzargah -e- hayat janay kab dil nay mohabbat ko samajna seekha aqal walay bhi jaha thokarain kha kha kay geray ham nay us rah say darasal sambhalna seekha dil ke har baat negahoon say ayaan hote hai yah nazer milnay pay is dil nay samajna seekha saher -e- ulfat say nekal paya na zohra wo kabhi jis nay is raaz -e- mohabbat ko samajna seekha du'aa (prayer) -- a nazm for pakistan's independence day, 1967 aayeh hath uthein hum bhi
hum jinhein rusm-e du'aa yaad nahin hum jinhein soz-e muhabat ke siwa koi buth, koi khuda yaad nahin aayeh urz guzarein keh nigar-e hustee zehar-e imroz mein shirenya furda bhar de wo jinhein taab-e garaan bary-a iyaam nahin un ki pulkoon peh shaub-e roz ko hulka ker de jin ki aankhoon ko roz-e subh ka yaara bhi nahin un ki raatoon mein koi shuma munawar ker de jin ke kadumoon ko kisi reh ka sahara bhi nahin un nazroon peh koi raah ujagar ker de jin ka deen pariw-e kizb-o riya hai un ko himet-e kufr mile, jurat-e tehqiq mile jin ke sir muntazar-e tegh-e jafa hein un ko dust-e qatil ko jatuk deenay ki taufiq mile ishq ka sir-e nihaan jaan tapaan hai jis se aaj iqrar karein aur tapish mit jaa'e hurf-e haq dil mein khatakta hai jo kante ki turhaan aaj izhar karein aur khalish mit jaa'e
uss akhri nazar mein ajab dard tha ali jaane ka uss ke ranj mughe umar bhar rahe judaiyon huwi to aisi ke umar bhar na milen fareb do to zara silsile barha ke mughe bicharte waqt kisi se humein bhi tha yeh guman ke zakham kaisa bhi ho,umar bhar nahi rehta awaz de ke dekh lon shayad woh mil hi jae warna yeh umar bhi ka safar raigan to hai ik dosre ko jaan na pae tamam umar hum hi ajeeb the ke zamana ajeeb tha paane ki arzoo bhi jo hoti to kis tarah khone ki lazaton mein hi ik umar kat gai
hum tumhain bhuladen, yeh mumkin nahi raha agar ho sake to tum hi, hamain bhuladena shikwa na karenge koi ,zingadi bhar tum se chaho to dil se meri ,tasweer bhi mita dena pyaar ki kahani jo kabhi ,shuru hui thi darmiyan
is kahani se agar hosake to ,mera naam mita dena zindagi bhar tumhain ,bewafa na kahenge hum chahe tum khud hi mujhe ,dil se bhula dena ………………………………………………………………………………………………………………………… ….. hum to dushman ko bhi pakeeza saza dety hain haath uthay nahi nazroon say gira dety hain socha tha pyaar main jannath basayen ge hum thi kia khabar ke hum tanhai main ansoon bhahaan ge hum. aik naam hi likha hai, ais dil-e- mohabbat se taqdeer ka likha tha, ansoon se mitaa ne ko woh aik pal tha khushi mujh ko us ke naam se milti thi magar ab jab bhi rota hoon usi ki yaad aati hai. ajeeb rang main guzri hai zindagi apni dilon pe raaj kia, phir bhi pyaar ko tarse asgher, dil ke bazaar main qeemat nahi dekhi jatee pyaar ho jaye to surat nahi dekhi jati dosto hum bad-naseeb mohabbat ke haqdaar nahi bante. never_loose_hopes wrote:
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai yeh mehloon,yeh takhtoon,yeh taajoon ki duniya, yeh insaan key dushman samaajoon ki duniya, yeh doolat key bhookey riwajoon ki duniya, yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai. har eik jism ghayal,har eik rooh piyaasi, nigahoon mein uljhan,diloon mein udaasi, yeh duniya hai ya aalam-e-badhawasi, yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai. yahaan eik khiloona hai insaan ki hasti, yeh basti hai murda parastoon ki basti, yahaan tu jeevan sey hai maut sasti,
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai. jawaani bhatakti hai badkaar ban kar, jawaan jism sajtey hein bazaar ban kar, yahaan pyaar hota hai beopaar ban kar, yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai. yeh duniya jahaan aadmi kuch nahi hai, wafa kuch nahi,doosti kuch nahi hai, yahaan pyaar ki qadr hi kuch nahi hai, yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai. jala du isey,phoonk daloo yeh duniya. meray saamney sey hata loo yeh duniya, tumhari hai tum hi sanmbhaloo yeh duniya, yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai. apne hontoon se lagana chahta hoon tere dil mey samana chahta hon tumhey apne pyaar mey rang kar apna ghar basana chahta hoon mey tum se pyar karta hon haan mey tumhey yeh jattana chahta hon tumharey aanchal se apna aanchal band kar tumhey mey apna banana chahta hoon tere daman par apna sir rakh kar mey khud ko bhool jana chahta hoon tere pyaar is ghareeb k lye hai ya nahi aaj mey yeh aazmana chahta hoon yeh hein mere dil k kuch armaan jo mey is zindagi se chahhta hoooonnnn jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai
wo mere dhiyan ke sabhi raastoon mein rahta hai bicharh kar us se pereshan mein to hoon par suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai tadaptaa hai jo bina aapke use gair ka saath nahin chahiye nashe mein hoon main sharaab ke yeh khaali gilaas nahin chahiye kitaabon mein jo rakhe woh phool yaad ate hain haathon mein leke jaam ham ab muskaraate hain mudkar mat dekhnaa yeh waqt thehar jaayega paani teri aankhon ka meri aankhon mein utar jaayega aansuo mein raatbhar rona pada , tere milan se to haath dhona pada , tera milna tha khwaab mera ; khwaab laane ke liye sona padaÂ… dil ki sada ho...!! pahle baarish ki bund ho tum raat mein nikalta chand ho tum machalta armaan ho tum kah na paaya woh baat ho tum thandi hawa ho tum haya ho tum fiza ho tum niswaarth prem ka pratik ho tum.. jab tumahara dil udaas ho humari muskaan ko yaad kar lena jab sub saath chod de tera humari baahon ko yaad kar lena hajaro jaam piye hai humne tumse bichadne ke baad, par woh nasha nahin jo tumhare hoto se milne ke baad
khhoob gaye pardes ke apne, deewaaro dar bhool gaye, sheesh mahal me aisa bhi kya, mitti ke ghar bhool gaye hum to musafir hai.. koi safar ho hum to guzar jaayenge heee.. lekin lagaya hai jo daav hum ne.. woh jeet kar aayengehee padte hain sanam teri khat ko hum, in labon se chumne ke baad ! jab labon se pehle is dil ko aa jati hai teri yaad jee raha hoon kis liye mai iss gam-e zindagi ko, marke bhi keh na sakoonga apni kahaani ko ! chup raha to mar degi mujhe meri hi tanhaaee, keh diya to seh na sakoonga mai duniya ki rusvaee agar kuch thi to bas itni tamanna aakhri apni ke tum saahil pe hote aur kashti doobti apni jhoothe waadon ke haathon par main rakh ke sar so jaata hoon ek murdaa si pagdandi par umeed ke diye jalaata hoon merii aarzoo men rahi hai tuu mere dil-o-jaan men basi hai tuu tujhe kaise dil se judaa karun mere dil ki khilti kali hai tuu kyun sonch men doobaa hun, kyun jaan pe aayii hai mujhko to pataa thaa ye, ulfat men judaaii hai! meethi se yaad teri hai teekhi si baat meri hai tum jo na kah sakay ho wahi kadwi baat meri hai...
dilo ka logo nein bazar laga rakha hai ishk ko jaisey karobaar bana rakha hai khelna dil sey jalan hai k sukhan apni surat pey ishtihaar laga rakha hai apni hasarat ka hai maatam kaisa ek ek lash k das tumney kharidaar bitha rakha hai dard hasil hai jo pakizah hai is tarhaa tumney kyu nilaam laga rakha hai apni hasti pey sitam yaad hai ab tak tumko aur sitam tumney wo sab khud pey saza rakha hai koi koshish n karey dil ko dukhaney ki jahhan ?? dil ko tumney kyu saman bana rakha hai lafzoon mein fasany dhoondty hain ham loog lamhoon mein zamany dhoodhty hain ham loog tu zehar hi dy sharaab keh kar saqi jeeny ky bahany dhoondty hain han loog dil ki baate.n dil mei rakhe kis tarha se jee paogi meri hai vo dil ki dhadkan kaise unhe chhipa paogi hamare dil mei toh dher sari baten karvaten leti hai par zubaan par nahi aati hai kahane ko lab khole to sharm se nazar jhuk jaati hai jo kuchh kahana thaa woh zubaan to naa kah paayi par saanso ki aawaz ne har baat unn tak pahonchaayi jee rahe hai hum tanha
aur tera gum tanha kaise sahenge tere har sitam tanha yeh hawa bhi roti hai mere dil ke zakhmo par kaise muskuraayegi ye chashme-nam tanha jee rahe hai hum tanha aur tera gum tanha saath koi kya dega is zindagi ki raho mein subaah bebasi tanha shaam-e-dardogum tanha jee rahe hai hum tanha aur tera gum tanha
kaisa beadab dost hai mera, chandni hee lay gaya, ghustaak ! aaya thaa dil mera roshan kerne, dekho dil hee ley gaya !!
baat itni si hai kehdey koi naadaano se aadmi who hai jo khela kare toofaano se mohabbat chod di maine, gareebaan see liya maine zamaane ab to khush ho ja zehar yeh bhi pee liyaa maine mohabbat mein jo saadiq hai woh kab faryaad karte hai zubaan pe mere khamoshi hai dil mein yaad karte hai puchha hai kai baar kisi ne pata mujhse meri taqdeer ka, meri mohabbat ke kore kagaz par bani huee tasveer ka ! na bata saka hun aur na hi khud jaan saka hun mai, rang un gore hathon mai mere ishq ki laqeer ka !!
ahsaas to hai hame, judaee main jeene ka ! magar mazaa aata nahin, sabar ke ghoont peene ka !! nazar jhooka ke dekhoon, yaa palke uthaa ke dekhoon ! e-mere mehboob, tujhe mai kis tarah se dekhoon !! mere khune-arzoo ko woh samaz rahe hain paani, unhe honsh tak na aya meri loot gayi jawani jitne bhi gham the dil ke, duwaon me aagaye, hum leke sab chiraag, hawaaon me aagaye. main waqt ki mez pe ek dard ka guldasta hoon, bahaar ke baag main patjhar ka rasta hoon, aur aajkal zindagi ki fitrat hi kuch aisi hai ki, aanchal ke saaye mein bhi, dhoop mein phansa hoon........ apne ghar ke bagiche me gulaab ke phool khila dena jab humari yaad sataye to un gulaabo ko dekh kar muskura dena love is a fire but whether it is going to warm your heart or burn down your house you can never tell. we take a risk when we open our hearts because the truth is if we open our hearts we will get hurt you cannot open your heart and not have some hurt. one best book is equal to hundred good friends... but, one good friend (like u) is equal to a library..! good morning have a nice day
titaliyaan phoolon mein manderati to hongi,bhavro ka man lubhati to hongi,hum tadapte hai thumari yaad mein pal pal,hichkiyaan aapko bhi aati to hongi... dil k kareeb aa k wo jab door ho gaye, saare haseen khwaab chur-chur ho gye, hamne wafa nibhayi toh badnamiyan mili, aur jo log bewafa the woh mashoor ho gaye.. pyar ki baharoon ka maza bhi nahi le sakta kyu tere ansun ka katra bhi nahi le sakta yun to hazar bar zafa ki hai maine tujh mai kya bat hai ki dagga bhi nahi de sakta saare dost bewafa ho gaye hum apne mobile se khafa ho gaye ek sms toh kar de yaar warna duniya wale samjhenge ki hum dono juda ho gaye... kuch kahe to wo kehte hai bahut bolte ho,chup rahe to wo puchte hai naraz ho?dilki baat kaise kahe?izhar karne se kehte hai mazak karte ho. halaat se pyar ki saza mil gai,dekhte hi dekhte jindgi badal gai,pyasi nigahe liye khade the hum unke intzaar me,unhone hume dekha or unki rahen badal gayi. humase door hoke bhi hamare paas ho .hamari sooni zindagi ki aas ho tum .kaun kehata hain humase door ho tum .yaadon ki rooh me hamari sham ho tum. hanjuaan da vapaar karan di aadat hai, pathraan naal pyaar karan di aadat hai, jhootha hi wada kar le sohneya, saanu ta aetbaar karan di aadat hai... tusin rusde rahe asin manaunde rahe,terian raawan ch palkan vichaunde rahe,tusin nazar mud k v nahin takeya te asin aakhan jhapkaun ton v
katraunde rahe... hanju sadi takdir,asin hanjuan de vitch rul jana, asin umran tak tuhanu yaad rakhana,par tusi hauli hauli bhul jana... 'mere' dil vich si thikana usda, do kadam vi uston aaya na gaya. main puchheya kyon todia tu vada mera, tan hass ke boli bas nibhaya na gaya'... asi maut rok rakhi te ohda intzaar kita,dostan de jhuthe lareyan da aitbar kita, asi jaan den laggia ik pal v na laayia,te usne jaan laindyan nkhra hazaar kita. aashiq puche rab nu,"tu jagg pyaar da vairee kyun bna chadya?" rab hasseya te boleya, "ashiqan ne kehra mere naal changi kiti, ohna v yaar nu rab bna chadeya." jive langdi hawa sukke patteyan cho,ove naina cho hoke supne langde rahe,bina mangeya hi dukh sanu mil gaye bathere,ik mileya na pyar jo si mangde rahe. waqat mile je fursat de pallan chon,meri yaad nu seene naal la lavi,doori taan teri meri pata nahin kini hove,kite dilan ch doorian na pa lavi. ki kariye lokan da, har gall nu lok jhamela kehnde ne.. je sms na kariye taan kanjus, je kariye taan vehla kehnde ne... aashiq ne pucheya rab nu,"tu jagg pyaar da vaire kyun bna chadya?" rab hasya te boleya, "ashiqa mere naal kehri changi hoyi, tusi v yaar nu rab bna chadeya."
manzil na de charaag na de hosala to de tinkey ka hi sahi tu magar aasara to de
main ne ye kab kaha k mere haq main ho javaab lekin khaamosh kiun hai tu koi faisala to de barson main tere naam pe khata raha fareb mere khuda kahan hai tu apna pata to de beshaq mere nasib pe rakh apana ikhtiyaar lekin mere nasib main kya hai bata to de .. ~*~....~*~ hum faqeeroon se dosti karloo sikhaadeinge dang baadhshaahi ke <<<<<<<<<<<<<<<<<……………………………..>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
zaat k samandar main doobtay ubhartay hain
zaat k samandar main doobtay ubhartay hain jo kinaaray lay jaein tinka woh nahin milta dard say sisakti hay zaat yohn khandar ho kar her qadam bekhartay hain aasra nahi milta is ghulam gardish main phir rahay hain sadiyon say hain khizar kay mutlaashi per humain nahi milta dhoop dhoop kartay thay hum hi sard mousam main phir rahay hain dar-ba-dar hum talash main ghar k loutna tu chahtay hain raasta ab jo dhoop nikli hay saiban nahi milta nahi milta <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<………………………………..>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
i could see you before me when my eyes shut... i could feel your touch when breezes hit me... i could hear your voice when i listen to soft music... but i don't want all these... all i need is your love for me. it's my love for you that is leading my life. oh my beloved! with all my love filled in my heart, i am waiting for you alone in the garden of this beautiful world come on wherever you are and say that you love me. i would even die for your love. <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<…………………………………………>>>>>>>>>>>>>> ya allah yeh larkay bhi kitne ajeeb hote hain...... larkion ki batein kerte hain yeh kitne ghareeb hote hain..... .koi jo chahta hai mil jata hai kisi ko nahien milta....... yeh to her aik ke apne naseeb hote hain.. <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<……………………>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>> zindagi tu guzer kiun nahi jati ik baar yun rooz rooz marna bura lagta hai ... meri in ankhon ki nammi ko kon mahsoos karay mujhsay to har koi badguman lagta hai.. bhol jana kathin to nahi magar asaan bhi nahi main uss musafer ki tarha hon jisko agaaz bhi ikhtitam lagta hai ... <<<<<<<<<<<<<<<<<<……………………….>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
pyaar chuptta nahin chupanay say pyaar chupta nahin chupaanay say.
paas aatay ho chootay ho baat kartay ho, kabhi mutlab say kabhi bahaanay say. poochh lo tum bhi is zamaanay say, pyaar dil main hai tu laao zabaan pay, aag barhti hai yeh bujhaanay say. tumhain na paana shaayad behtar hai, paa k phir say tumhain ganwaanay say. chalo ek dua to apni poori huey, mil liey apnay ek deewaanay say. roye jaatay ho, bas roye jaatay ho, kya hoga yeh dhan lutaanay say. karo koshish ki kurbatain hi rahain, dooriyan barh jaati hain barhaanay say. kya sunaayain kisi ko raaz-e-dil, dard bhi barhta hai sunaanay say. bhool jaao kar k achha hai..mohsin ehsaan rehta nahin jataanay say.
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<…………………………………..>>>>>>>>>>>>>>
one one one one one one one one one one one one
song can spark a moment, flower can wake the dream. tree can start a forest, bird can herald spring. smile begins a friendship, handclasp lifts a soul. star can guide a ship at sea, word can frame the goal. vote can change a nation, sunbeam lights a room candle wipes out darkness, laugh will conquer gloom.
one step must start each journey. one word must start each prayer. one hope will raise our spirits, one touch can show you care. one voice can speak with wisdom, one heart can know what's true, one life can make a difference, you see, it's up to you!
<<<<<<<<<<<<<…………………………………..>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>.
woh mera hai magar mera nahin woh mera hai magar mera nahin merey qareeb nahin woh merey dil main hai magar mari zandagi nahin woh mari nazar main hai magar merey samnay nahin woh meri qismat main hai magar mari taqdeer main nahin woh mera humsafer hai magar merey saat nahin woh mari rah main hai magar mujhay milta nahin woh mari yaad main hai mager main isay yaad nahin...!!! mere dukh kii koii davaa na karo mujh ko mujh se abhii judaa na karo
naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir duub jaao, khudaa khudaa na karo
ye sikhaayaa hai dostii ne hamen dost banakar kabhii wafaa na karo ishq hai ishq, ye mazaak nahiin chand lamhon men faisalaa na karo
ashiqii ho ya ba.ndagii 'faakir' be-dilli se to ibatidaa na karo
ajab dil hy muqader se rukhsatein maange ye shehar-e sang mein reh ker bhi chahtein maange wo paiker-e sitam k ubharta hy nafraton ko sadaa mager ye dil k uss he se mohabatein maange mien ulfaton k siwa kuch na de sakoon jis ko ajeeb shakhas hy wo mujh se nafratein maange dil mein hasrat hy k taaron se sajaa doon uss ko aik wo k her dam siraf zulmatien maange <<<<<<<<<<<<<<<<………………………………..>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>.
ye ibaaratein jo haraf haraf meri tumhari gawah hui hein ye he hisab-e dostan , paiman-e wafa ki asas nazer basadd-e khaloos-o ehitram meri kitab-e dil ka intisaab ab faqat tumharay naam <<<<<<<<<<<<<<<<<<<……………………………….>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
ab faqat ye kehna hy mujeh k hoslay k aadmi apnay dil k zakhmon per muskura bhi saktay hein butt bananay walay haath faisalay k lamhon mein butt gira bhi saktay hein <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<…………………………..>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
*hum nahi chatay* "shaam furqat dhalay hum nahi chahtay ghum say fursat milay hum nahi chahtay
javascript:ol('http://groups.msn.com/immohsin/messages.msnw');
phir naya waar sehnay ko tayar hain
tu pareshan rahay hum nahi chahtay aaj ansoon bahanay say mat rookiey aaj barish thammay hum nahi chahtay hum terey baad ujray huey theek hain ab kahin dil lagay hum nahi chahtay terey pekaar ko hum dekhtay hi rahain tu nazar say hattay hum nahi chahtay kis qadar dil nasheen hai yeh mojon ka shoor ghum ka darya rukay hum nahi chahtay is qadar pyar say tu pukara na kar aag dil ko lagay hum nahi chahtay khoshi ka ghum hai,na ghum ki koi khoshi ab to ! bohat udaas guzarti hai zindgee ab to !
tere bagher bhi dil ki tasaliun ke liye lk intzaar ki shab thi, so dhal chuki ab to ! lk ashna ke bicharne se kai nahi badla hawa-e-shehar bhi lagti hai ajnabi ab to ! tamam raat rahi dil mein roshni ki lakeer misaal-e-shama sehar wo bhi jal bujhi ab to ! chali thi jin se yehaan rasm-e-khudnahedari onhein azeez hua zikr-e-khudkoshi ab to !
kaha gaye wo shanasa wo ajnabi chehray ujaarh si nazar ati hai , har gali ab to !
tere ikhlas sey mohabbat ki hai tere ehsas sey mohabbat ki hai... too mery pass nahi hay phir bhi teri yaad sey mohabbat ki hai... main tum ko kis tarha bhool sakta hoon main ne tere osaaf sey mohabbat ki hai... kabhi to tu ney bhi mujhe yaad kia ho ga main ne un lamhat sey mohabbat ki hai... jin main hoon sirf tere or mery baten main ney un oqaat sey mohabbat ki hai... or jo mehke ho sirf tere hi mohabbat sey main ne un jazbat sey mohabbat ki hai... tujh sey milna to aab khawab sa lagta hai main ney tere intezar sey mohabbat ki hai...
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<………………..???????????????????? mujhey lagta hai aisa kabhi kabhi
jaisy woh ajnabi larki
mujh se pyar karti hai mujhey chahti hai
akser yunhi chup chup ker dekhti hai,
janey kiya sooch ker nazrein chura jati hai
kuch ghabra si jati hai
apney aanchal ko hawaoon k zoor per lehrati hai
mehsoos mujhey yeh hota hai k
shayad mujhey woh bohat chahti hai
mujhey aisa ehsas dilati hai
jesay woh mujh sey kuch kehna chahti hai
meray pochnay per kuch sharma si jati hai
kuch ghabra si jati hai
"suniyey" keh kar bhaag jati hai
ajnabi larki shayad pyaar karti hai mujh sey
aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey
dil bhi kitna pagal hai kiya kiya sochta rehta hai
kuch masoom se jazbey hain
kuch undekhey sapney hain
mager woh nahin janti shayad...!!! woh meri zindagi hai...... ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,………………………………………..
itni muddat bad mili ho,kin sochoon mein guum phirti ho itni khaaef kion rehte ho, har aahat say darr jati ho tez hawa nay poocha mujh say, rait pay kiya likhte rehte ho kaash koi hum say yeh bhi poochay, raat bhar tak kion jagtey ho kaisay kahoon main akaila hun tujh bin aay dost meray saaya ban kar sath meray, har pal tum to rehti ho. main dariyaa say darrta hun, tum dariyaa say bhi gehri ho koun se baat hai tum mein aisi, itnay achi kion lagti ho. meray jazboon say kabhi, kabhi meray khiyalon say ulajhti ho kehnay ko rehti ho dil mein, phir bhi kitney doore rehti ho. dharrakta hai dil mera bas abb teray hi naam par jaan meri! tum meray dil mein dharrkan ban kar rehti ho. hum say na poocho hijar kay qissay, apni kaho tum kaisi ho tum ziddi bahot ho, jaisi ho, phir bhi achi lagti ho
main kesy ginwaoon mohabtein uss ki mujhy kitni par gei hein aadtein uss ki
zindagi bas naam hi ki zindagi reh jay gi tu jo routi meri palkon pay nami reh jay gi,,
zindagi bas naam hi ki zindagi reh jay gi,, tark-e-ulfaat ke irade par zara phir sochiye,, main chala jaaonga aur tu dekhti reh jay gi,, ye nahi kehte ke tuj bin jee nahi paengy hum,, haan humari zindagi mein ik kami reh jay gi,, piyar ke sadqe ye lagta hai hamare darmiyaan,, aur kuch na bhi raha ye dosti reh jay gi,, main to tae kar ke chala jaonga duniya ka safar, , mere baren mein ye dunia sochti reh jayegi
gila bhee nahee ... bichar giya hai too ab is say kuch gila bhee nahee keh sach too yah hai k wo shaks mara tha bhee nahee main chahata hoon isay or chahanay k siwa maray liya koi rasta bhee nahee hum ek doosray ki simt chal paray thay magar kadam rukay bhee nahin rasta kata bhee nahee dhuhaan sa kuch too yahan baraf say bhee utha hai soo dil jalon ka yah asa koi pata bhee nahee ragoon main jamay howay khon ki taha hai wo harf-e-hijar jo is nay abhee kaha bhee nahi
last breath from those around i hear a cry, a muffled sob, a hopeless sigh, i hear their footsteps leaving slow, and then i know my soul must fly! a chilly wind begins to blow, within my soul, from head to toe, and then, last breath escapes my lips, it's time to leave. and i must go! so, it is true (but it's too late) they said: each soul has its given date, when it must leave its body's core, and meet with its eternal fate. oh mark the words that i do say, who knows? tomorrow could be your day,
at last, it comes to heaven or hell decide which now, do not delay! come on my brothers let us pray decide which now, do not delay! oh god! oh god! i cannot see! my eyes are blind! am i still me or has my soul been led astray, and forced to pay a priceless fee alas to dust we all return, some shall rejoice, while others burn, if only i knew that before the line grew short, and came my turn! and now, as beneath the sod they lay me (with my record flawed), they cry, not knowing i cry worse, for, they go home, i face my god!
oh mark the words that i do say, who knows, tomorrow could be your day, at last, it comes to heaven or hell decide which now, do not delay ! come on my brothers let's pray decide which now, do not delay hum dost to ban jain per humien yeh darr hai ke hum dosti ki keemat chuka na sakien................... is dosti per hum mar mittien per shart-e-zindagi se wafa na kar sakien...
un ko rodad-e-gham-eishq sunai na gai un ko rodad gham-e-ishq sunai na gai, aisi kuch bigari k phir baat banai na gai hum nay kia un say raho rasm-e-mohabbat karli, dil main kuch aisi lagi agh bojha na gai jal gaya shama pay parwana magar lab na hilay, raz ki baat thi gheroon ko sunai na gai
hum nay ki un say wafa un ki jafa k badlay, dil ki duniya bhi magar un say basai na gai. .
dil ki batain, bata deti hain, aankhain dil ki batain , bata deti hain , aankhain dharkanon ko jaga deti hain, aankhain , dil pay chalta nahi jadoo, chehroon ka kabhi dil ko tu , deewana bana deti hain ,aankhain, woh hum say baat nahi kartay , tu na karain haal sara unk dil ka , suna deti hain aankhain, gham sada rehta nahi , aadmi k saath ashk bana kar , chalka deti hain aankhain, aata hai jab dor-e-jawani , tu aye dostoon sundar sapnay zehan main ,basa deti hain aankhain, ma na k neend aati hai , aankhon hi k rastay magar kabhi kabhar ,neend ,ura deti hain aankhain, shukar hai , khuda nay ata ki , aankhon ki
neemat humain dard-o-gham ,saray dil k , chupa deti hain aankhain tumhy pyar nibhana aa to gaya ~*~ hum se na sahi,gairoon se sahi tumhy dil ka lagana aa to gaya dunya mein kisi k ho to gaye tumhy pyar nibhana aa to gaya pholoon k khuwab dikhaye mujhy aor de dii baharein auroon ko dil mera raha veeran to kya gul tum ko khilana aa to gaya baithy ho kisi k pehloo mein aankhoon mein chamakta pyar liye hum khush hain kisi k jeewan mein yeh waqt suhana aa to gaya dunya mein kisi k ho to gaye tumhy pyar nibhana aa to gaya...!!!
jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai wo mere dhiyan ke sabhi raastoon mein rahta hai bicharh kar us se pereshan mein to hoon par suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai
un ko rodad-e-gham-eishq sunai na gai un ko rodad gham-e-ishq sunai na gai, aisi kuch bigari k phir baat banai na gai hum nay kia un say raho rasm-e-mohabbat karli, dil main kuch aisi lagi agh bojha na gai
jal gaya shama pay parwana magar lab na hilay, raz ki baat thi gheroon ko sunai na gai hum nay ki un say wafa un ki jafa k badlay, dil ki duniya bhi magar un say basai na gai. she walks in beauty she walks in beauty, like the night of cloudless climes and starry skies; and all that's best of dark and bright meet in her aspect and her eyes: thus mellow'd to that tender light which heaven to gaudy day denies. one shade the more, one ray the less, had half impair'd the nameless grace which waves in every raven tress, or softly lightens o'er her face; where thoughts serenely sweet express how pure, how dear their dwelling-place. and on that cheek, and o'er that brow, so soft, so calm, yet eloquent, the smiles that win, the tints that glow, but tell of days in goodness spent, a mind at peace with all below, a heart whose love is innocent! jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay jo ruch jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay... baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai
gamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay... nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam barastay badlon ki aas mein trsa nahi kertay... tajasus aur berhta hai machal jatay hain sun ker hum achanak piyar ki baton ka rukh mora nahi kertay... teri nazer e inayat say huay jatay hain jo ghayal unhain kaatil nigahoon say kabhi dekha nahi kertay...
*** kuch to kaho ***
kuch kaho kuch to kaho koi taiz si baat koi khanjar sa lehja mery naam kar do koi toota houa taara koi sookha houa phool bhijwa do mujh ko koi jhoota aansoo koi boda jazba, k yaroon kayii din beety kayii ratein guzrien mujhay kuch na mila main khaali bohat hoon main tanhaa bohat hoon...!!!
jahaan tak hadd-e-nazar hey buss safar hii safar hey saraab rahoon pey chaltey chaltey yunheyn hasrat sey haath maltey maltey aankheyn khooj rahii heyn kissi rahbar koo per koii rahbaar naheyn miltaa jiss sey kah sakoon mein iss jahaan mein iss hajoom-e-beykaraan mein tanhaa hoo giyaa hoon haan mein khoo giyaa hoon mujhey merey ghar tak ley jaeyey mujhey mera ghar naheyn miltaa,,,,,,,,,,,,,,,.
************ wo kahin bhi rahe mere dil mein rahegi, hansi banke labon pe sajega ashaq ban ke palkon se bahe ga, koi naam jo lega kabhi dosti ka chahat ka zindagi ka, nazr ke samne mere chehra usi ka lehra jaye ga
************
main apna aaj apna kal tumharay naam kerta hoon main iss jeewan ka her ek pal tumharay naam kerta hoon mera guzra howa kal, tou mayray maazi ka hissa hai main apna aaj apna kal tumharay naam kerta hoon tumharay dukh, udaasi, ghaam, sabhi ranjh-o-alaam lay ker main yeh khushiyoun bhari chaagal tumharay naam kerta hoon sitaray aasman ke sab tumhari maang main bhaar doon shab-e-teera ka sab kaajal tumharay naam kerta hoon tumharay bin ye her aik pal mujhey bay-chain rakhta hai main apna dil jo hai bay-kal, tumharay naam kerta hoon khizaaein, sardiyaan, garmi, bahaarein, barishein, jaarha main her mousam ka her her pal tumharay naam kerta hoon
************
ankho me arman diya karte hain hum ankho me arman diya karte hain hum, sabki neend chura liya karte hain hum, ab se jab jab apki palke japkegi, samaj lena tab tab apko yad kiya karte hain hum! unki tasveero ko seene se laga lete hai, is tarah judai ka ghum mita dete hai, kisi tara kabhi unka zikar ho jaye to bheegi palko ko juka lete hai. log kehte hain ke ishq itna mat karo log kehte hain ke ishq itna mat karo, ke hussan sar pe sawar ho jaaye, hum kehte hai ke ishq itna karo, ke patthar dil ko bhi tumse pyaar ho jaye...
************
sirf tum ho "meri soch ki udhan hai jahan talak, wahan tum hi tum ho, meri nazar ki had hai jahan talak, wahan tum hi tum ho, mera sehra hai jahan talak, barsaat tum hi tum ho, meri barsaat hai jahan talak, ghata tum hi tum ho, mere khawabon ka mehal hai jahaan talak, har qadam pe tum hi tum ho, mere dil ki waadi hai jahan talak, har chehraa tum hi tum ho, mere chehre pe muskurahat hai jab talak, muskurahat tum hi tum ho, meri aankhon ki shararat hai jab talak, woh sharart tum hi tum ho, mere pyaar ka sehar hai jahan talak us sehar mein tum hi tum ho, mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak, wahan tum hi tum ho, meri aarzoein bikhrein hai jahan talak, woh umeed tum hi tum ho, mujhe sahara hai jahan talak, woh saheban tum hi tum ho, mere dil ki khusiyan hai jahan talak, woh sapne tum hi tum ho, meri nazar mein chandni hai jahan talak,
woh roshn i tum hi tum ho, meri umeed ki kirne hai jahan talak, sab roshniyan tum hi tum ho. ************ ~~yeh kaisay faisalay~~ yeh kaisay faisalay hotay hain ooper jo neechay ehed tootatay hain khushi k mor per hi kiyun yeh ahir hamaray khawab saray tootatay hain ************ chandni raat ke khamosh sitaroon ki kasam dill main ab terey siwa koi bhi abadh nahin
************
~~~kaho ik din tum aao gey~~~
jhuki hein ab meri nazrein, tumhe jo yaad kerti hein, baharein laut lao gey, kaho ik din tum aao gey. woh sari teri perchaiyan, tasawar ki woh tanhaiyan,
jo aankhon se barasti hein kaho sab chor aao gey. kaho ik din tum aao gey. ye arzan hai khazan hum per, pholon ka hai eeman tum per, muhabat tor lao gey, kaho ik din tum aao gey. kyun nazrein teri piyasi hein, kaho kis ki matlashi hein, hakiqat ban ke aao gey, khawabon ko tor jao gey. kaho ik din tum aao gey. ************ na umeedain kisi se rakhtey to acha hota aitbar na kisi pe kartey to acha hota sabaq daita hai zamana yeh auron ko giraney ka sahara na kisi ko samjhtey to acha hota yaqeen apni kamyabi ka kisi ko kab hota hai taqdeer k muqabil na hotey to acha hota
sochtey they aitbar andha ho ga dewana tum per na khuwaab jagtey main daikhtey to acha hota na chatey tum kisi ko na koi tumheen poojta na achey kisi ko lagtey to acha hota darya mohabbat ka kab koi paar karta hai dost na mohabbat kisi se kartey to acha hota ************ ~~kaisa dastoor hai~~~ bara ajeeb muhabat ka yeh fasan hai dil hai tera' tu kisi or ka dewana hai jo jis ko chahta hai wo usay nahin milta kaisa dastoor hai duniya ka' kia zamana hai ************ sitam gar waqt ka tever badal jai tu kya hoga? mera sur tera pathar badal jai tu kya hoga?? ameron kucn na do tanay tu na do in garebon ko zara socoh gar manzar badal jai tu kya hoga :d __._,_.___
************
mujhe chanda kaho mujhe chanda kaho, jaan kaho mujhe apne dil ka mehmaan kaho mujhe dekho her lamha yunhi mujhe tum apni pehchaan kaho mai puri karoo tumhari her khawahish mujhe tum apna maaan kaho
her haal mai tum mujh ko hi socho mujh se dil ka her armaan kaho her lamha tum ko hi chahoon mai mujhe pyaar ki tum apni shaan kaho mere dil ki dharti tumhari hi hai us ko zameen kaho, aasman kaho sab karte hain baatain tumhari her azooo ko meri zuban kaho tumhari dunia mai khoyi rehti hun mujhe mast kaho, anjaan kaho rakhoon door her shaher ko tum se mujhe dost kaho, negebaan kaho bheek pyaar ki apni de do chahey fakir kaho, sultan kaho __._,_.___
************
!mere dil pe aaj bhi! mere dil pe kisi ka raj ajj bhi hai jitna tha pehle utna hi zalim samaaj ajj bhi hai mana k gham khushion ko mita dete hain lekin pehle ki tarah banda yeh khush mizaj ajj bhi hai tum yeh samjhe ho k main aadi ho chuki hoon sitam ki halanke mujhe kal bhi tha aitbar ajj bhi hai khuda jhooth na bulwaye mujhse k woh shakhs muhabbat ki kal bhi thi mohtaj ajj bhi hai mareez apne ishq ki sitam zareefi ka shikar hai haan yeh ishq la ilaj ajj bhi hai tera gham.. har khushi kam hai tera gum bhulane ke liye...
ek tera gum hi kafi hai mujhe umr bhar rulane ke liye... amanat.. dil ki basti bikhar gayi hoti ke rooh ke zakhm bhar gaye hote... yeh zindagi to aap ki amaanat hai warna hum to kab ke mar gaye hote... tera armaan.. mere jeenay ke liye tera arman hi kafi hai dil ke kalam se likhi ye dastan hi kafi hai... tir-e-talwaar ki tujhe kia zaroorat-e-nazneen qatl karne ke liye teri muskaan hi kafi hai... tere chahne wale.. tujhe chahne wale kum na hon gein waqt ke saath shayad hum na hon gein... chahe kisi ko kitna bhi pyaar dena lekin teri yaadon ke haqdar sirf hum hi hon gein... tujhe dekhay bina.. tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon... tujhe janay bina tera haal bata sakta hoon... hai meri mohabbat main itna dum... apni ankh ke ansoon teri ankh se gira sakta hoon... jab yaad na karna.. jab yaad na karna chaho gaye tu yaad ayein gaye hum teri yaadon tere khawabon mein yun cha jayein gaye hum... dhondo gaye har jaga meri tasweer ko magar jab teri puhanch sey buhat door chalay jayein gaye hum...
tum bin.. tum bin kahi qarar na aaey to main kya karoo ..!! har pal teri yaad sataey to main kya karoo ..!! surat main apni bhool gaye tujh ko dekh kar ..!! her aainey mein tu nazar aaye to main kya karoo ..!! __._,_.___
************
itna maloom hay apnay bistar par buhat deer say neem daraz soochti thi k woh is waqt kahan par ho ga
main yahan hoon magar us kocha-e-rang-o-bo main rooz ki tarhan woh aaj bhi aya ho ga aur jab us nay wahan mujh ko na paya ho ga..? aap ko ilm hai, woh aaj nahin aye hain..? meri har doost say us nay yehi poocha ho ga kion nahin aye hain woh, kia baat huey hai aakhir khud say is baat pay soo bar uljha ho ga kal woh aye gi tu main us say nahin bolon ga aap hi aap kai baar woh rootha ho ga woh nahin hai tu bulandi ka safar kitna kathin sehriyan chahrtay howay us nay yeh soocha ho ga rahdari main, haray loan main, phoolon k kareeb us nay har simmt mujhay aan k dhoondha ho ga naam bholay say jo mera kahin aya ho ga ghar mehsoos kar k woh chonka ho ga aik jumlay ko kai baar sunaya ho ga baat kartay howay so bar woh bhoola ho ga yeh jo larki naye aye hai, kahin woh tu nahin us nay har chehra yehi sooch k dekha ho ga jaan-e-mehfil hai, magar aaj, faqat merey baghair haye kis darjay wohi bazam main tanha ho ga kabhi sannaton say wehshat jo huey ho gi usay us nay bay sakhta phir mujh ko pukara ho ga chaltay chaltay koi manoos si aahat pa kar dostoon ko bhi kisi waja say rooka ho ga yaad kar k mujhay, nam ho gaye hoon gi palkain "aankh main par gaya kuch" keh k yeh tala ho ga aur ghabra k kitaboon main jo li ho gi panah har sattar main mera chehra ubhar aya ho ga jab mili ho gi usay meri ilalat ki khabar us nay aahishta say deewar ko thamma ho ga
sooch kar yeh, k behal jaye pareeshani-e-dil yohn hi bay wajeh, kisi shaksh ko rooka ho ga..! ittifaaqan mujhay us sham meri doost mili main nay poocha k suno aaye thay woh..? kaisey thay...? mujh ko poocha tha...? mujhay dhoondha tha charoon janib..? us nay aik lamhay ko dekha mujhay aur phir hans di us hansi main tu woh talkhi thi k us say aagay kia kaha us nay, mujhay yaad nahin hai laikin itna maloom hai, khowaboon ka bharam toot gaya...! __
************
ehsaas apni nazroon say jo gir jaye woh chehra na bana... mujh ko lamha-e-rursat ka khilona na bana... saink'roon rastay hain ajnabi ho janay k... tark karna hai tu talook ka bahana na bana... jhoot ehsaas ki qandeel ko boojha deta hai... mujhay insaan samajh khud ko farishta na bana... apni yaadein tu merey dil main basi rehnay day... is mehaktay huay gulzaar ko sehra na bana... main tu pehlay hi zakhum liey phirta hoon... mujhay ab shehar dard-e-tamasha na bana... thak gaeen hain merey ehsaas ki aankhain... naqsh-e-deewar par ab koi afsana na bana...
palak main tujhay palkon ki chhaon mian chhupa lon laikin too mere khwab mian aaey yeh zurori to naheen tere qurb kay ehsas ko mian kardoon jamid ban jaey fasanay se haqeeqt yeh zuroori to naheen woh mere khwabon khayalon mian basi hai ab tak woh bhi mujh ko dil main basaey yeh zurori to naheen main nay shab ki tanhai main usay yaad kia tha phir bhi usay hitchki na aey yeh zuroori to naheen mere pyar bhari batoon ka aser laiker woh khud hi samajh jaey izhare ishq yeh zuroori to naheen mere dil ki halat koi kia janay is waqt kaheen se koi rahnuma miljaey yeh zuroori to naheen mujh ko halka sa imkan nazer ata hai kay woh karday inkaar yeh zuroori to naheen yaad aaon ga ... tum merii aankh ke tevar na bhulaa paao ge ankahii baat ko samajho ge to yaad aaoon gaa ham ne khushiyon kii tarah gham bhii ikatthe dekhe safaah-e-zeest ko palato ge to yaad aaoon gaa isii andaaz main hote the mukhaatib mujh se khat kisii aur ko likho ge to yaad aaoon gaa sard raatoon ke mahakate hue sannaatoon main jab kisi phool ko choomo ge to yaad aaoon gaa ab tare aashk main hoontoon se churaa leta hoon haath se khud inhain poonchho ge to yaad aaoon gaa shaal pehnaa-e-ga ab kaun december main tumhain baarishoon main kabhii bheego ge to yaad aaoon gaa aaj to mahafil-e-yaaran pe ho maghroor bohat
jab kabhi toot ke bikhro ge to yaad aaoon gaa haadse aayen ge jeevan main to tum hoke nidhaal kisi deevar ko thaamo ge to yaad aaoon gaa iss main shaamil hai merii bakhat kii taariikii bhii tum siyaah rang jo pahano ge to yaad aaoon gaa
************ «•´¨*•.¸.*¤~*tum is tarhan wafa*~¤*.¸.•*¨`•» __
tum is tarhaan wafa ke laaj nebhaye rakhna. apne ansoono ko bhi anchal mei chopaye rakhna. kahein dekhna le yeh dunya tum ko, meri tasveer ko dil mei chopaye rakhna. agar pochay yeh merey barey mein koi. muskora kar tum is ko jawab dena. keh dena hamri muhabat nakam nahi. dono kay naseeb mein lekha hai door rehna. *(`•.¸ ¸.•´)* dost kiya khoob wafaon ka sila detey hein , har aik mor pe aik zakhm naya detey hein. tum se toh khair ghari bhar ki mulaqat rahi , log sadyon ki rafaqat ko bhula detey hein. kaisey mumkin hai ke dhuwan bhi na ho aur dill bhi jaley , chot partee hai toh , pathar bhi sada dete….
*(`•.¸ ¸.•´)* zindagi udas hone ka naam nahi,dosti sirf paas hone ka naam nahi.agar tum door rehkar bhi hume yaad rakho,is se bada hamare liye koi inaam nahi!!!....
*(`•.¸ ¸.•´)* ay muhabbat teray anjaam pay rona aayaa jaanay kyoon aaj teray naam pay rona aayaa
yun to har shaam ummeedon main guzar jaati thi aaj kuchh baat hay jo shaam pay rona aayaa kabhi taqdeer ka maatam kabhi dunyaa ka gilaa manzil-e-ishq main har gaam pay rona aayaa……
\\\....bas itna yaad hay.... /// aur to kuch maloom nahi bas itna yaad hay mere hathoon mein uss k phool jaisy haath kuch der thartharaye thy shaam k barhty hoye saaye hamarii aankhon mein utar aye thy mujhay kuch kehna tha shayed usay jany ki jaldi thi isi ujlat mein uss ne aik baar mud k dekha tha aur doobtay hoye sooraj ne hamary maathy ko aakhrii baar chooma tha aur to kuch maloom nahi bas itna yaad hay mere hathoon mein uss k phool jaisy haath kuch der thartharaye thy...!!!
…………………………………………………………………… chund adhoore sapne hain chund adhoori batein hain is adhoori duniya ka har kaam adhoora hota hai gulshan k aagosh mein toh khusbhoo palti rehti hai phool mehekte rehte hain roop nikharta rehta hai per yeh baharon ki masti jab jab dhalne lagti hai phool sisakte rehte hain shakhon se patte girr kar marne lagte hain kalyon ki masoom adayein jiska roop nikharta tha lekin yeh toh hona tha is adhoori duniya ka har kaam adhoora hota hai mein ne b kucch khuwab buney hain kucch ujle shakhon per kuch umangein basti hain ik chanchal shehzadi si jisko abhi dekha b nahi uski yadin ko roz dilse laga kar sota hoon mera bhi dil karta hai woh mujhse aaker mile meri baanhon mein aaker meri dil ki dharkano ko uska dil mehsoos kare uski gehri aankhon mein apni hasti gumm kardoon uske geele aanchal se apni baanhein tarr kardoon mera bhi dil karta hai uske dupatte ka palloo
apne daman se jorh kar apni ujrhi raton ko kyun na chaand ki kirno se dil apna aabad kardoon phir achanak kyun dil sehem sa jata hai daurh kar wapas ata hoon apni khayali duniya mein phir magan hojata hoon iss adhoore sapne ko kab haqeeqat hona hai iss adhoori duniya ka har kaam adhoora hota hai...!!
badil ban kar chaa jana jeb panchi saray urd jain her simt andhairay chaa jain jeb guzri batain yaad aain aur beetay lamhay terdpain met tenha tenha ghebrana tum pass hamaray aa jana jeb koi din main shaam keray yaa leb ki hansi bednaam keray jeb wahshet dil k naam keray yaa aankh main neend haraam keray met tenha tenha ghebrana tum pass hamaray aa jana dil dhelti shaam say ghebray yaa batain mayri dohrai mazi say munn bhi ghebrai aur kuch b bhool nahi paye met tenha tenha ghebrana tum pass hamaray aa jana jeb badil boond na bersai aur boond bhi munn ko tersai jeb koi khula na der paye aur dil main khwahish murr jai met tenha tenha ghebrana tum pass hamaray aa jana dil pereet hamaray dohrai yaa reet porani yaad aai jeb milnay ko bhi munn chahay aur piyaar bhera na dil pai met tenha tenha ghebrana
tum pass hamaray aa jana or badil ban kar chaa jana kuch bondhen payaar ki barsana
meri khamosh mohabbat ka itna to sila diya hota, kabhi ek nazar chahat se dekh hee liya hota hum bhi tujhe ishq-0-mohabbat se aashna karte, bas ek baar apne dil mein aane to diya hota. kiya jata tumhara bas hamein he dil se khushi milti, apni zindagi ki kitaab mein naam hamara bhi likh liya hota. dekh lete zara ghor se shayad, tumhare haath ki lakiron mein hamari kismat ka bhi diya hota. meri khamosh mohabbat ka itna to sila diya hota,
piyar aik sapna piyar mera aik sapna sa ban gaya hai,, jis ki chahat thi wo rahi choot gaya hai,, jis ko chaha tha is dil nay sada,, aj wohi hamsafar baygana ban gaya hai,, jin aankhon main us ki tasveer sajai thi,, unhi aankhon nay us tasveer ko mita dala hai,, jis dil main deap jaltay thay piyar kay,,
aj us deap nay is dil ko jala dala hai,, ~ takmeel ~ sari cheezein hi na muakamal hain kuch b poora nahi hay paas mere na mukamal hay rutjaguu ka safar khuwab b hain sabhii adhooray se aur takhayyul ki wadion mein kahin chand ghazlein bhatakti rehti hain jo pahunchtii nahi hain kaghaz par aur agar yeh pahunch b jayein to poora hota nahi hay shair koi chand nazmein b hain adhoori jo zehan mein aa k laut jati hain jaisy mayoos ki dua koi dil se niklay falak se takraye aur phir be asar hi laut aaye kuch b poora nahi hay paas mere saary jazbay hi na mukamal hain bohat dhoondny ki koshish ki kho gaya apna aap jane kahan mil na paya magar suragh koi safar-e-agahi adhoora hay mera sab kuch abhi adhoora hay kuch b poora nahi hay paas mere saary sapny hi na mukamal hain chand ahbaab se b milna tha par adhoori hain sab mulaqatein yun to milta hoon har kisi se magar poora milta nahi kisi se b shayad apni hi zindagi se b khat b kuch tere naam likhny thy vo b pooray na ho saky ab tak kuch b poora nahi hay paas mere saaray waday hi na mukamal hain kuch kitaabein k jin ko parhna tha vo b ab tak yun hi pari hain kahin sirf do chaar hi warq paltay dil ko phir yeh khayal anay laga saaray safhoon ko chor doon aisy zindagi k tamaam rishtoon ko kyun na chup chap tod doon aisy kuch b poora nahi hay paas mere saaray rishtay hi na mukamal hain manjumand silsiloon mein hulchal ho gham k sehraaon mein b jal thal ho zindagii ka sabhii adhoora pan tum chalay aao to mukamal ho...!!!
aisa na ho yeh dard banay dawa laye aisa na ho k tum bhi dua na karsako allah karay k tu mujhe bhool jaye allah karay k tum aisa na karsako --------------------------------------------------------yeh jo teray hijir ka sal hey so guzarna iska mohal hey na mujhe koi bhi malal hey mujhe serf tera hi khayal hey ----------------------------------------------yun qissay kisi k sare aam kartay nahin ashna nazrein rakhtey hein lakh zamanay walay ------------------------------------------------------------------------
is nay mujh say apnay sarasy khuwab cheen liye itnay sitam karta hey mujh per mera sanam -----------------------------------------------------------------------------tum jitnay bhi sitam karlo meray mehboob mein yunhi hansti rahongi humesha
(nazam shamma)
shamma jab peghalti hai, humesha kion woh behti hai woh apnay aap ko kho kar, tumhain paigham deti hai sunehri rang main beshak kashish ek jawaidana hai magar us ki taraf jana hamaqat qatilana hai sunehri dhoop suraj ki aur mehtaab hota hai sunehri taaj-e-shahi bhi sunehri khuwab hota hai sunehri rang qunddan ka, sunehri aatish-e-zar bhi sunehri chaand ki kirnon main dehkta moom ka ghar bhi husn-o-jawani k sunehray rang hotay hain tab sapnon main hum us dilruba k sang hotay hain magar jal kar zamanay ki tapish main roop dhalta hai sunehri aatish-e-gham main peghal kar sab badalta hai tumhain ek mar-de-moumin ki sunehri baat batlaon maidan-e-ammal dekhlaon ek soughat batlaon khuda ki badshahi main wohi hasham hotay
hain jo karobar-e-duniya main kahin ghumnam hotay hain nazaray main nazar k sarnagon si daal ban jao magar apnay aammal say sahab-e-iqbal ban jao shamma ki mout say agar zindagi pao tu danai undhairay ko mittanay main jo mit jao tu danai khushi main ghair ki apni mussarat ko talasho tum kabhi apnay hi butt ko apnay haathon matt tarasho tum jab tareekh likhi ho, tumhain mohsin likha ho shayad harf-e-zarain main tumhara naam likha ho tum na bhi raho laikin tumhara kaam likha ho..
sirf tum ho "meri soch ki udhan hai jahan talak, wahan tum hi tum ho, meri nazar ki had hai jahan talak, wahan tum hi tum ho, mera sehra hai jahan talak, barsaat tum hi tum ho, meri barsaat hai jahan talak, ghata tum hi tum ho, mere khawabon ka mehal hai jahaan talak, har qadam pe tum hi tum ho,
mere dil ki waadi hai jahan talak, har chehraa tum hi tum ho, mere chehre pe muskurahat hai jab talak, muskurahat tum hi tum ho, meri aankhon ki shararat hai jab talak, woh sharart tum hi tum ho, mere pyaar ka sehar hai jahan talak us sehar mein tum hi tum ho, mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak, wahan tum hi tum ho, meri aarzoein bikhrein hai jahan talak, woh umeed tum hi tum ho, mujhe sahara hai jahan talak, woh saheban tum hi tum ho, mere dil ki khusiyan hai jahan talak, woh sapne tum hi tum ho, meri nazar mein chandni hai jahan talak, woh roshn i tum hi tum ho, meri umeed ki kirne hai jahan talak, sab roshniyan tum hi tum ho. ************ questions of life how how how how
many many many many
steps will it take to walk a mile? seconds will it take to wait a while? battles do we need for us to win? gods do we need to forgive our sins?
how many times must a man betray his faith? how many times can a man control his hate? when do we say that justice isn't fair?? how can we endure the burden that we bear? where is the youth who will dare? where can we find the people who really care? where can we find the road to success? is it in the north, south, east, or west?
where can i find true love? that god had gave from above? how many struggles do we need to make it through? when do we say that a statement is false or true? how can i forgive others? when they killed my peers? can you give help to those people in need? after they have dropped you and you bleed? who are the people you can trust? in this world, to fight is a must. the world will continue to evolve, until those questions have been solved.
chooryaan hath mein thin aur hathon mein uska haath b tha sham-e-tanhayi bhi thi rung aur noor ki barsaat b thi mosamon ka junoon urooj per tha dharkanon per b ikhtiyar na tha uski behaal larazti hui jawani thi uski madhosh nigahon mein talab pyar ka tha kaanpte hathon se uske shugufta hathon mein choorhyaan mujhse na pehnayi gayin haan mager hath ghayal ho hi gaye usne nazerein jhuka kar itna hi kaha jayiye aapse nahi bolti aapse itna bhi nahi hota..!!
dil-e-naadaa.n tujhe huaa kyaa hai dil-e-naadaa.n tujhe huaa kyaa hai aakhir is dard kii davaa kyaa hai ham hai.n mushtaaq aur vo bezaar yaa ilaahii ye maajaraa kyaa hai
mai.n bhii muu.nh main zabaan rakhataa huu.n kaash puuchho ki muddaa kyaa hai jab ki tujh bin nahii.n koii maujuud phir ye ha.ngaamaa, ai khudaa kyaa hai us k
khoobsurat hain...
khubsoorat hain wo lub jo pyari batein kertey hain khubsoorat hai wo muskurahat jo dosaroon ke chehroon per bhimuskan saja de khubsoorat hai wo dil jo kisi ke dard ko samjhey jo kisi ke dard mein tarpey khubsoorat hain wo jazbat jo kisi ka ehsaas karein khubsoorat hai wo ehsaas jo kisi ke dard ka madawa baney khubsoorat hain wo batein jo kisi ka dil na dukhaein khubsoorat hain wo ankhein jin mein pakezgi ho sharm o haya ho khubsoorat hain wo ansoo jo kisi ke dard ko mehsoos kerke beh jaein khubsoorat hain wo hath jo kisi ko mushkil waqat mein tham lein khubsoorat hain wo qadam jo kisi ki madad ke liye aagey berhein !!!!! khubsooart hai wo sooch jo kisi ke liye acha soochey khubsoorat hai wo insan jis ko khuda ne ye
kisi lerki nay yay kaha tha kay lerkon ki islamiat or urdu kay papers may f grade atay hain han atahy hongay yaqeenan kuch lerkay fail bhi hotay hon gay is say kiya matlab nikala jaye kay lerkiyan bhot hi smart or zaheen ho ti hain lerkiuon ko to pehli baat perhnay ka shock hi nahi hota hay han kuch lerkiyan bhot perhakoon hoti hain likin woh yaqeenan net use nahi kerti hongi kiun kay un kau nazdeek net use kerna bayfazool kam hoga or ap to sari khubsoorati ata ki.
net use kerti hain is ka matlab saaf zahir hay kay ap may say koi bhi perhakoo nahi hay or ap sari ki sari un lerkiuon ki fehrist may hosakti hain jin kay islamiat or urdu jaisay subject kay sath sath doosray tamam subject may ya to supply ati hogi ya f grade to ata hoga hay na.lerkiuon kay pehli baat perhnay ka shock hota hi nahi hay in kay samnay filmon ki batay kerlo star plus kay dramo ki baat kerlo un kay actor kay nam poochlo actress kay nam pooch lo unhon nay kiya dress pehna yay poochlo to woh khush rehti hain or agar un say koi perhai kay baray may pooch lay to un ko tension ho jati hay aisa kiun hota hay akhir is say saf baat zahir hay kay lerkiuon ko perhnay ka shock hota hi nahi hay sirf perhai ka bahana banaker university or colleges may dakhlay layti hain takay ghar ka kam kernay say bachay rahain.aik or bat in ki sab say buri adat yay hoti hay kay jab msn , yahoo ,orjut ya kisi doosray kisi chatting software per koi lerka in say tameez say bat ker raha hota to yay us ko response hi nahi dayti hay likin jab woh hi lerka in ko khari khari sunata hay kay tum lerkiuon ko izat raz ati hi nahi hay banda tameez say bat kerna cha raha ho to badmashi dikhati hay or jab woh in ko sunata hay theak thak kisum ki to is kay hosh thikanay atay hay or phir izat say bat kerti hay.abhi bhi likhnay kay liyay bhot hay waqt kay sath sath new mailz may lerkiuon kay oper comments jari rakhay jain gay abhi tak may nay jo mailz perhi hay is may say na kisi lerknay nay or na hi kisi lerki nay koi acha point likha siwaye chand aik kay bhalay say meri mailz may bhi aisa kuch na ho jab bhi koi masla nahi hay valid points uthaiyay ap dono jab bat banay gi siorf mailz kernay say koi faida nahi hoga. from
in lerkiuon kay hansnay or ronay ka time bara hi ajeeb sa hota hay in ka bas chalay to kisi kay mernay per hansnay lagay or kisi ki shadi ho to ronay lagay.umer kay mamlay may itni mohtat hoti hain kay agar 18 ho jain to is kay bad in ki umer berhti hi nahi hain chahay woh 35 ki bhi hojain jab bhi 18 ki rehti hain .lerkiyna sirf apni tareef sunay kay dhun may rehti hain agar in ki koi tareef
karaday chahay woh ganja or mota kiun na ho in ko pasand ajaye ga or agar koi in ki burai or sath sath kisi doosri lerki ki tareef kerdi jaye to woh bhalay say kitna hi acha lerka ho us say bad tameezi kernay lagay gi sachi bat hay ab woh tareef kay kabil hay hi nahi to tareef kiun ki jaye .lerkiyan shadi kay baray may yay herktain kerti hain jab 18 ki hoti hain to lerka kaisa hay , kiya kam kerta hay , dikhnay may kaisa hay , kitnay paisay wala hay jab 25 ki hoti hain to sirf lerka kiya kerta hay bhalay say woh jaisa bhi dikhta ho or jab 30 per poochti hain to direct lerka kahan hay phir kaisa hay kiun hay kitna kamata hay is ki zaroorat hi nahi perti hay . lerkiuon ko her bat may tang aranay ka bhot shock hota hay kisi shaks nay aik lerki kay samnay kisi or say yay poocha kay tum nay new jersi dekha hay to lerki kehnay lagi han ji may to her new season may new jersi kharidti hoon . lerkiyan kiya hoti hay agar mazeed in kay baray may perhna hay to visit kijyay yay website http://www.geocities.com/shahzadweb06/urdu1.html http://www.geocities.com/shahzadweb06
dono links ko try karay website open ho jaye gi . from agar kal hum na bhi rahen.. humari yaadein sada rahengi.... sirf nazar uthake dekhna chand ko.. humari dosti ki tasveer wahan bani rahegi maine puchha chand se "dekha hai kahin mere yaar sa hasin", chand ne kaha "saale itni upar se dikhta hai kiya.. sawaal paani ka nahi, pyaas ka hai, sawaal maut ka nahi, saans ka hai, dost to duniya mein bahut hain magar, sawaal dosti ka nahi vishwas ka hai .....from# naveed ( 030071700172-----0345-6801211 kadam kadam pay hawao ka diyan rakhna ,har mor pay dosti ko yaad rakhna ,hamari messege ki mehak tumhe zaror aye gi , bus apna naak saaf rakna] jo asani se milay wo hai ghum jo mushkil se milay wo hai paisa , jo kisi kisi ko milay wo hai pyaar, jo naseeb walon ko milay wo hai apno ka messege
tumhey ehsas janey kab hoga!!!! usey ehsas janey kab hoga main apni zindagi na kho bethoon main apni her khushi ganwa bethoon usey khaber hai sab mager najaney kyun mujhey rulati hai na janey kyun mujhey satati hai main khilkhilata hoon bas us k liye main ro bhi jata hoon to us k liye usey ehsas janey kab hoga!!!
main apni zindagi na kho bethoon main apni her khushi ganwa bethoon tamam umer phir woh terpegi merey liye phir woh chaheygi bhi to kia hoga phir woh aawaz bhi degi to kia hoga phir chah ker bhi na kuch hoga phir her taraf khamoshi hogi ussey her pal yaad dilaigi jo usey her ghari sataigi main apni her khushi ganwa betha main apni zindagi ko khobetha…
kitnay sajhay thay sapnay pyar key........ kia khabar the yeah zindagi hay eak raat ke
ł ąm Ћε ВЭŞt ~~zindagy~~ yeh jo zindagy ki kitaab hai yeh kitaab bi kia kitaab hai kahin ik haseen sa khawab hai kahin jaan lewa azaab hai kahin ansoun ki hai dastah kahin muskurahtun ka biyaah kaen chehray is main chupay hoye ik ajeeb sy yeh nikaab hai kahin khoo diya kahin paa liya kahin roo liya kahin ghaa liya kahin cheen lety hai har khushi kahin meherbaah bay hisaab hai kahin chaoun hai kahin dhoop hai kahin or hi roop hai kahin barkatun ki hain barishen kahin tashangy bay hisaab hai socha aaj aap ke tareef main kuch kahon.. बरााह सचमाुच बहाुत बदिायाा हॆॆ. ताो पााना्डाे जाी अब ताो आप बहाुत खाुश हाोगाे सब काो
उपा्याोग करनाा चहिायाे पहलाे तखा्ताी पर िालखाो िाफ़र काापाी पाेसा्ट कराो। बडाा झांझट हाै भााई।इससाे बाेहा्तर तराीकाा हाै िाक बरहाा काा उपयाोग कराो और साीधाे औरकाुट माें टााईप कराो। और का्रपाा करा्काे हर पाोसा्ट काे बााद दबाानाा नाा भाूलाें। माेराे विाचाार माें तखा्ताी साे याूनिाकाोड लिाखनाा और भाी आसाान हाोगाा सब काो उपा्याोग करनाा चहिायाे
पहलाे तखा्ताी पर िालखाो िाफ़र काापाी पाेसा्ट कराो। बडाा झांझट हाै भााई।इससाे बाेहा्तर तराीकाा हाै िाक बरहाा काा उपयाोग कराो और औरा्कट माें िाहांदाी माें तता्परा्ताा साे िा
लखनाे काे िालयाे बरहाा काा उपयाोग कराें। औरा्कट माें िाहांदाी माें तता्परा्ताा साे िा लखनाे काे िालयाे बरहाा काा उपयाोग कराें। भााई।इससाे बाेहा्तर तराीकाा हाै िाक बरहाा काा
उपयाोग कराो और साीधाे औरकाुट माें टााईप कराोवाापस आ जााओ भााई...बडाी गमा्भाीर समसा्याा हाो गई हाै...ताेराी बहाुत यााद आ रहाी हाै साांयकााल पतांग उडाानाे काा विाचाार बनाे ताो बताानाा साांयकााल पतांग उडाानाे काा विाचाार बनाे ताो बताानाा बडाी .. bas yahi kahna tha mughay ager samgh aajaye tu bata dena lolzz
a smile is contagious a smile costs nothing, but gives much. :) it enriches those who give it. it takes but a moment, but the memory of it sometimes lasts forever. none is so rich or mighty that he can get along without it, and none is so poor that he cannot be made richer by it. a smile creates happiness in the home, promotes good will in business, and is the cornerstone of friendship.:) it can perk up the weary, bring cheer to the discouraged, sunshine to the sad, and is nature's best antidote for trouble. yet it cannot be bought, begged,
borrowed or stolen, for it is something that is of no value to anyone until it is given away. :) when people are too tired to give you a smile, give them one of yours. no one needs a smile so much as he who has none to give ishq hai be khudi hai kia bas teri arzoo hai jaan poocho na zindagi hai kia bas teri arzoo hai jaan phoolon ki taazgi hai kia chand ki chandni hai kia rang hai roshni hai kia bas teri arzoo hai jaan meri har ek soch ki hai teri zaat tak uraan aur meri shayari hai kia bas teri arzoo hai jaan mere shaam-e-fikar mein hai tere pyaar ki mehek phool hai kia kali hai kia bas teri arzoo hai jaan
ik baarish ke baad doosri honay lagi dhuli hui hawa mere saath ronay lagi phir shehr e be-amaan mein wohi mausam aaya phir raat apnay aanchal ko bhigonay lagi shaam ki panah mein simat aaey sub mausam jab seher gham ke saagar mein khonay lagi zabt bhi kahan tak aakhir saath deta wehshat itni barhi keh deewangi ronay lagi lab thamey reh gaey, lafz bujhey reh gaey baat jab nazar se bayaan honay lagi kitna intezaar karti, kiran nikalnay ka aakhir
tareeki apna dukh orh kar sonay lagi andhera barhta hi ja raha hai aas paas mere woh seher ki roshni janay kahan khonay lagi a silly poem one bright morning, in da middle ov night two dumb boyz,got up to fight bak to bak they faced each other a deaf police man heard da noise came to da scene n hugged da boyz a blind reporter witness da scene n published da story in a fashion magazine
pyaar ka meetha "ehsaas" dilaney laga hai tu ab to mujh se mujhi ko churaney laga hai tu teri chahtoon ka chaya hai saruur iss kadar har pal har jagah nazar aaney laga hai tu veeraan thi yeh zindgi tere aaney se pehley khushiyoon ke sapney mujhey dhikaney laga hai tu har pal mujhey hota hai bus tera hi "ehsaas" iss kadar meri sansoon mein smaney laga hai tu ik pal ki bhi durri seh nhi pati hoon mein hoke juda kyun mujhey aazmaney laga hai tu rah chaltey huye aksar hota hai yeh gumaan ke banke saya sath mere aaney laga hai tu naam koi bhi luu to naam aaye tera laboon pe ban ke jadu meri rooh mein samaney laga hai tu teri yadoon se hi aksar hota hai dil munavar mera ghul ke sath lahoo ke nas nas mein samney laga hai tu janey kaun si dorr hai teri aur khinch le jati hai mujh ko apna dewana bnanaey laga hai tu
tasvuur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey chorh ke duniya meri bahoon mein smaney laga hai tu yeh to bta ke kya naam du iss dewangi ko bechen ker ke har lamha mujhey tarpaney laga hai tu tere khayaloon se mehkney lagti hai zindgi meri mere zahen-o-dil pe iss kadar chaaney laga hai tu yeh masumiyaat yeh bholapan yeh sadgi teri mujh ko har adaa se ab sataney laga hai tu zeest ke rahoon mein dhoop thi har taraf apney pyaar ki barish ko barsaney laga hai tu kya iss baat ka tujhey "ehsaas" hai "jaan" mere har sher mein har gazal mein aaney laga hai tu !! main jo aankhon me teri khwab hun bankar rahti aaj tu jaan le maine bhi tujhe chaha hai meri aakhon ki kisi kajal ki zarurat kab hai ye teri yaad se sharma ke jo jhuk jaati hain mere haathon me jaane kyun na rachati hai hina ke tere haathon ki garmi se ye hain surkh bahut maine aanchal bhi to chere pe bar bar dala par tujhe dekh ke ud jata hai baadal ki tarah mere hamdam ye bata konsa singar karun mujhko milne ki hai jaldi kya intezaar karun
hum se her shaam mili hai tera chehra banker kabhi aansoon kabhi khushboo kabhi naghma banker ♥♥*`•.¸. *`•.¸.♥♥ chand nikla hai teri ankh k ansoo ki tarah phool mehkay hain teri zulf ka saya banker ♥♥*`•.¸.
*`•.¸.♥♥
meri jaagi hoe raaton ko usi ki hai talash so raha hai meri ankhon main jo sapna banker ♥♥*`•.¸.
*`•.¸.♥♥
dil k kaghaz par utarta hai tu sheron ki tarah mere hontoon pe machalta hai tu naghma banker ♥♥*`•.¸.
*`•.¸.♥♥
raat bhi aaye tu bujhti nahi chehray ki chamak rouh main phail giya hai wo ujala banker ♥♥*`•.¸.
*`•.¸.♥♥
mera kiya hall hai yeh a k kabhi dekh tu lay jee raha hoon tera bhoola howa vada banker ♥♥*`•.¸.
*`•.¸.♥♥
dhoup main kho giya wo haath chura kar angel gher se jo saath chala tha mera saya banker ♥♥*`•.¸.
*`•.¸.♥♥
kabhi aanson kabhi khushboo kabhi naghma banker hum se her shaam mili hai tera chehra banker
ishq mohabbat to hazaro karte hai,gum e judai se vo sabhi darte hai, hum to na ishq karte hai na mohabbat karte hai, bas dosto ka 1 smile ke liye email karte hai........
dil ke kone se ek aawaz aati hai, hame har pal unki yaad aati hai. dil puchta hai bar-bar humse,jinhe hum yaad karte hai, kya unhe bhi hamari yaad aati hai....... dekhi hazaro mehfil par ye fiza kuch aur hai, jalwe dekhe hai hazaro magar aapki ada kuch aur hai,waise to hazaro aate hai par aapke email kanasha kuch aur hai..... dil ko adat si ho gayi hai chhot khane ki, bhigi palko k sang muskurane ki, kash anjam hum pehle se jaan jate,to koshish bhi na karte dil lagane ki..... haqiqat pehchaan lo bichard jane se pehle,meri sunlo apne sunane se pheele.ye soch lena bhulane se pehle,bhut royi hai muskurane se phele....... ..
ye aankhe
tumhain maloom hey guzri shab miney kya kia????? aoo main tumhain guzri shahb ka hal sunaoon miney guzri shab jagh ker ik kam kiya miney apni aur tumhari zindagi main aney wali tammam kushion aur ghamon ko ik jaga akhtah kia phir miney tumhari aur apni apni zindagi main aney wali kushion aur ghamoon ko elheda elheda kia phir miney ik kam kiya
apney hisey ki kushion ko tumherey hisey k ghamoon se badal diya dekh meri jaan guzri shaab miney yeh kia main tujhey chahti nahi laikin....
phir bhi jab paas tu nahi hota khud ko kitna udaas paati hoon ghum apnay hawaas paati hoon janay kia dhun samayi rehti hai ek khamoshi si chaayi rehti hai dil say bhi guftugo nahi rehti main tujhay chahti nahi laikin … phir bhi shub ki taweel khalwat main teri oukaat soochti hoon kon say phool tujh ko bhaatay hain rang kia kia pasand aatay hain kho si jaati hoon teri jannat main main tujhay chahti nahi laikin phir bhi ehsaas say nijaat nahi soochti hoon tu ranj hota hai dil ko jaisey koi dabota hai jis ko itna sahaarti hoon main jis ko is darja chahti hoon main us main teri si koi baat nahi main tujhay chahti nahi laikin ….! aalam-e-hijr hay kiya wasl ki soorat kiya hay kown paihchaan sakay tairi mohabbat kiya hay aap nay ashk bhi aankho'n say mairi cheen liye aap ko kaisay bataoo'n kay yeh dowlat kiya hay
paas say tum jo guzar jaatay ho bay'ganay say yeh bataao kay tumhai'n ham say shikayat kiya hay tu abhi waaqif-e-asraar-e-mohabbat hi nahi'n ham tujhay kaisay bataei'n kay mohabbat kiya hay ham nay thukratay huway daikha hay duniya ko háya ham ko maloom hay insaa'n ki haqeeqat kiya hay
lahuu say dil, kabhi chehray ujaalnay kay liyeh main jee raha hon andheron ko taalnay kay liyeh . utar paray hain parindon kay ghoul saahil par safar ka bojh samandar main daalnay kay liyeh . sukhan libaas pay the'hra to jogioon nay kaha kay aasteen hai faqat saanp paalnay kay liyeh . main sochta hon kabhi main bhi koh'kunn hota teray wujood ko pathhar main dhaalnay kay liyeh . kisay khabar kay shabbon ka wujood laazim hai fizaa main chaand sitaray uchhalnay kay liyeh . baha rahi thi woh selaab mein jehez apna badan ki doobti kashti sambhalne k liyeh . wo mahtaab siffat, aaina jabeen mohsin..! galay milay bhi to matlab nikalnay kay liyeh
aasmaan ke malik say,do jahan ke raziq say aur kuch nahin chaha sirf itna manga hai pur-khuloos chahat ka bay reya muhabbat ka bay panaah rayazat ka itna to sila hota woh...mujhe mila hota ………………………………………………………………….
kis ne kaha tha kisne kaha tha itni door jane ke liye,
shama bhi na jal saki is parwane ke liye. sari raat koee tadpata raha pagloyon ki tarah, cheerag lekar betha raha me us chand ko dikhne ke liye. eak to wese hi door tha,us par or door jane ka sitam, kahan taq jayogai bhaag kar,koee to ayega mannane ke liye. dhoond le koee to rasta, koee to khat bhej de sitamgar, kasid bhi nahi aya in raho me , apna chehara dikhnae ke liye. kitna waqt guzaroge whaan,jsi chaman
me bahar hi nahi, bulbul ro rahi hai yahan, tere sath ko pane ke liye. umr ke us mukaam par tu khada hai wahan, eak pal hi kafi hai, khushooyon ko lane ke liye. tun jitni jaldi ho aa ja apne thikan e par ye sanam, khushee dhaleez par bethi hai, tere daman ko sajane ke liye, kya kahoon,kya na kahoon tuu hi bata ye jana, lafz nahi hai mere pass, bus asq haitumhe dikhane ke liye.
plz plz yar mujay kese nay kah key mujay doste kernay nahi ate hay plz yar if u like my mailz then only reply me plz dont add mee han wesay bhe may aap jesay achay dosto ke doste key qabil nahi hoan
sorry
love that person who loves you and not that person to whom you love" muhabbat kya hai.....??? mehsoos karne ka naam hai aur jab muhabbat iqrar karti hai toh dil khushi se jhooom uth'ta hai muhabbat ko kabhi bhi alfaaz mein bayan nahi kiya jasakta yeh khud hi kisi k dil mein apni raah banaleti hai tumhari muhabbat ne hi mujhe jeena sikhaya hai merechahat bhare dil mein sirf tumhari hi jaga hai jab tumhara sath ho toh pal pal zindagi muskurati hai mehekte gulabon ko dekh kar tumhara hi chehra dikhayi deta hai tumhe yaad karke dilko chein ata hai ajj bhi chaand se sirf tumhari hi batein karti hoon dua'on mein faqattumhara hi naam ata hai. rattjagon mein tum hi toh ate ho tumhi ko mein zindagi maanti hoon tumhare khayalon se meri roooh tak mehek uth'ti hai har aahat per mehsos hota hai k tum aye ho har sham tumhari yaad ka diya jalai hoon diary mein pare sookhe pholon mein ab bhi khushboo baqi hai tumhare pyar ki khushboo aj bhu mujhe sanwaar deti hai toot'te taaron ko dekh kar tumko paaane ki dua karti hoon itni chahat hai tumse...yehi iqrar-e-muhabbat hai...!!! hazaron dukh pare sehna muhabbat mar nahi sakti hai bass tumse yehi kehna muhabbat mar nahi sakti aankhon se dil mein utar janay ka fun rakhta hoon main lafzoon ko apnany ka fun rakhta hoon kuch log jeet kar b haar jatay hain main haar kar b jeet janay ka fun rakhta hoon...!!!
……………………………………………………………………………….. bebas ho kar dil k hathoon main ne socha aaj main uss ko phone karoon ga aur kahoon ga main ne tum ko laakh bhulaya loh-e-dil se naam tumhara laakh mitaya lekin jaana!sach poocho to
dil k hathoon haar gaya main aao ab ki baar milain to,mar kar bichrein number uss ka dial kar k uss k naram lehjay ki,hello,sun kar b chup nahi tooti dharak dharak k dil b machla kuch to bolo.....lab to kholo lekin aaj reciever rakh kar,kuch b na keh kar apnay dil se bil aakhir main jeet gaya hoon...!!!
…………………………………………………………………………………..
my love wil never die may god bless you whereever you are, may he hold you in his heart, near or far. may each day find you well and whole, may each night find you warm and safe. may my love ever reach you in the form of a prayer, even though, my love, i'll never be there. i pray that all i dreamed for us comes true, if not for me, then, always, for you. my love will never die, even though we said goodbye. so i hold you in my heart, even though we're far apart.
jhunjhlaaye hain, lajaaye hain phir muskuraaye hain kis ehtimaan se ham unhen yaad aaye hain ab jaa ke aah karne ke aadaab karne hain duniyaa samajh rahii hai ke ham muskuraaye hain guzre se mai-kade se taubaa ke baad ham kuch der to aadatan bhii qadam larkharaaye hain ai josh-e-giriyaa dekh na karnaa khajil mujhe aankhen merii zaruur hain, aansuu paraaye hain ai maut, ai bahisht-e-sukuun aa khush’aamde ham zindagii men pehle-pehal muskuraaye hain jitnii bhii mai-kade men hai saaqii pilaa de aaj ham tashnaa-kaam zuh’d ke sehraa se aaye hain insaan jiite jii kare taubaa khataaon se majbuurion ne kitne farishte banaaye hain
kaabe men khairiyat to hai hazrat-e-khumar ye dair hai janaab yahaan kaise aaye hain ghazab ki ghazal likhi hay aap nay bohat shandaar
dunya mein har ik shakhs mein koi kami to hoti hei chahe jitna khudh ko muqamal samjhe,uski aankh bhi roti hei khud ko tanha pata hei har koi, dunya ke iss mele mein aur tanhai mein uske ghamon ki, ik bheed si lagi hoti hei dil mein hon lakhon gham, par ajeeb baat ye hei ke honton pe uske har pal, ik muskan saji hoti hei baton se tumhe lagta hei ke, gham usne kabhi dekhe nahin jhanko jo uski ankhon mein, chupi ajeeb si nami hoti hei dil ko na jane dhadkane ka, usne hunar kaha se seekha hei uske hath pe rakho hath jo, to uski nabz to thami hoti hei har koi wafa ka haqdar nahi, zara kareeb se dekhna kuch logo ke chehre par bewafai ki, ik teh si jami hoti hei
khaar hain yaa ghulaab ' mat poocho hijratun kay azaab mat poocho bheeghy palkun pay jugnoun ka sabab hum hoye lajawab ' mat poocho aaj masroofiyat bahut hai hamain kab karen gay hisaab ' mat poocho jo mehekta tha aankh main mery kaisay toota woh khuwaab ' mat poocho tha mery zindaghy ka woh pehla safha kiyun nikaala woh baab ' mat poocho
ham unhen vo hamen bhulaa baithe do guneh-gaar zahar khaa baithe haal-e-gham kah ke gham barhaa baithe teer maare the teer khaa baithe aandhion jaao ab karo aaraam ham khud apnaa diyaa bujhaa baithe jee to halkaa hu’aa magar yaaron ro ke lutf-e-gham ganvaa baithe be-sahaaron kaa hauslaa hii kyaa
ghar men ghabraaye, dar pe aa baithe uth ke ek be-vafaa ne de dii jaan rah gaye saare baa-vafaa baithe jab se bicchre vo, muskuraaye na ham sabne chheraa to lab hilaa baithe hashr kaa din abhii hai duur “khumar” aap kyun zahidon men jaa baith poet name : khumar barabankvi collected and shared by: adeem
kuch khood b they afsurda se kuch khood b they afsurda se, kuch tum b hum se rooth gaye kuch khood hi zakhm k aadi the, kuch sheeshey haath se choot gaye kuch khood b they hassas boht, kuch apne muqaddar rooth gaye kuch tum ko such se nafrat thi, kuch hum se na bole jhoot gaye kuch logo ne uksaya tumhein, kuch apne muqaddar phoot gaye kuch khood itne mohtat na they, kuch log b hum ko loot gaye
kuch talkh haqaa'iq they itne, k khuwab hi sarey toot gaye meray hum nafs meray hum nava, mujhay dost ban kay dagha na day, mein hoon dard-e-ishq say jaan balab, mujhay zindagi ki dua na day. na ye zindagi meri zindagi, na ye dastan meri dastan, mein khayal o vehm say duur hoon, mujhay aaj koi sada na day. meray ghar say durr hain rahatein, mujhay dhondhti hai musibatein, mujhay darr hai kay mera pata koi, gardishon ko bata na day. wo tarap jo shula-e-jaan main thee, mairay tan badan say lipat gaye, jo bujha sakay to bujha isay, na bujhaa sakay to hawaa na day. mairay sabar ka na lay imtihaan mairee khaamoshi ko sadaa na day jo tairay baghair na jee sakay, usay jeenay ki too duaa na day. tujhay tujhay mairee mairee
bhool kay na bhulaa sakoon , chah kay bhee na paa sakoon, hasratoon ko shumaar kar , chahatoon ka silaa na day.
tujhay gar milain kabhee fursatain, mairee shaam phir say sanwaar day,
gar qatal karna hay to qatal kar, yoon judaaiyoon ki sazaa na day .
tujhse bicchar ke ham bhii muqaddar ke ho gaye phir jo bhii dar mila hai usii dar ke ho gaye phir yun hu’aa ke ghair ko dil se lagaa liyaa andar vo nafraten thiin ke baahar ke ho gaye kyaa log the ke jaan se barh kar aziiz the ab dil se mahv naam bhii aksar ke ho gaye ai yaad-e-yaar tujh se karen kyaa shikaayaten ai dard-e-hijr hum bhii to patthar ke ho gaye samjhaa rahe the mujh ko sabhii nasehaan-e-shehar phir raftaa raftaa khud usii kaafir ke ho gaye ab ke na intizaar karen chaaragar kaa ham ab ke gaye to kuu-e-sitamgar ke ho gaye rote ho ek jaziira-e-jaan ko “faraz” tum dekho to kitne shah’r samandar ke ho gaye kyoon nahin . benaam sa ye dard, thehar kyon nahi jata, jo beet gaya hai, woh guzar kyon nahi jata, woh ek hi chera to, nahi sare jahan mein, jo dur hai woh dil se utar kyon nahi jata, main apni hi uljhi hui raho ka tamasha, jate hain jidhar sab, main udhar kyon nahi jata, woh naam jo barso se, na chehra na badan hai, woh khawaab agar hai to bikhar kyo nahi jata kuch khuwaab hain jin ko likhna hai tabeer ki surat deni hai
kuch log hain ujrre dil wale jinhain apni mohabbat deni hai kuch phool hain jin ko chunna hai aur haar ki surat deni hai kuch apni neenden baaki hain jinhain baantna hai kuch logon main aey umer-e- rawaan ahista chal abhi bohat sa karz chukaana hai meri umr say na simat sake mere dil men itnay sawal thay tere paas jitnay jawaab thay teri ik nigaah men aagay! tufan me kashti ko kinare bhi mil jate hai jahan me logo ko sahare bhi mil jate hai duniya me sabse pyari hai zindagi kuch log zindagi se pyare bhi mil jate hai
ujalay apni yaadon k hamare sath rehne do najane kis gali main zindagi ki shaam ho jay aik baat kahoon agar suntey ho ? tum mujh ko achey lagtey ho kuch chanchal se , kuch chup chup se kuch pagal pagal lagtey ho hain chahney waaley aur buhut par tum mein hai aik baat bohat....... tum apney apney lagtey ho aik baat kahoon agar suntey ho ? tum mujh ko achey lagtey ho yeh baat baat pe kaho jaana kuch kehtey kehtey ruk jaana yeh kis uljhan mein rehtey ho....? kiya baat hai hum se keh daalo aik baat kahoon agar suntey ho ?
tum mujh ko achey lagtey ho aagaaz ka wasoq na aanjam pee yaqeen aisay katy howay hain kisi dastaan say hum ussey kaho kay buhut na-murad shai hai junoon ussey kaho kay mujhey hai buhut junoon uss ka nazar se door hota ja raha hai k woh majboor hota ja raha hai ussey hum sey taghafal ka gilla hai jo khud maghroor hota ja raha hai azzal sey rouh to apni thii ghayal badan bhi choor hota ja raha hai mohabbat jurm banti ja rahi hai ajab dastoor hota ja raha hai khuda jaaney teri aankhon mein kya hai k dil majboor hota ja raha hai mohabbat ka ahdhoora sa fasaana buhat mashhoor hota ja raha hai