Salam-e-Akhir Ghareeb detey hain pursa tumhare pyaroun ka Salam un pah jinhe sharm khaye jaati hae Khule saroun pah aseeri ki qaak aati hae Salam us pah joh zehmat kashe salasil hae Museebatoun mein imaamat ki pehli manzil hae Salam bhejtey hain apni shahzadi par Ke jisko soump gaye marte waqt ghar Sarwar Musafirat ne jise bebasi yeh dikhlaayi Nisaar kar diye bachhe na bach saka bhayi Aseer hoke jise shaamiyoun ke narghe mein Hussainiyat hae sikhana Ali ke lehje mein Sakina bibi tumhare ghulam haazir hain Bujhe joh pyaas toh ashkoun ke jaam haazir hain Pahaad raat badi der hae saverey mein Kahan ho shaame ghareeban ke ghup andheray mein Zameene garm yateemi ki saqtiyaan bibi Woh seena jis pah ke so-ti thi ab kahan bibi Yeh sin yeh hashr yeh sadmay naye naye bibi Kahan pa baithi ho qaime toh jal gaye bibi
Janab maadarey besheer ko bhi sab ka salaam Ajeeb waqt hae kya dein tassaliyoun ka payaam Abhi kaleje mein ek aag si lagi hogi Abhi toh goadh ki garmi na kam huvi hogi Na is tarah koi kheti hari bhari ujdey Tumhari maang bhi ujdi hae goadh bhi ujdi Nahin andheray mein kuch soojhta kahaan dhoondein Tumhara chand kahan chup gaya kahan dhoondein Nahin layeenoun mein insaan koyi Quda hafiz Darinde aur yeh bewaarisi Quda hafiz Salam turn pah shaheedon ke bekafan laasho Salam turn pah rasool-o-Batool ke pyaaro
Bachein toh aglay baras hum hain aur yeh gham phir hae Jo chal basein toh yeh apna salaame aaqir hae